SHAWORDS

nikhat-o-nur kaa samaan hogaa — Dagh Niyazi

HomeDagh NiyaziGhazal
"nikhat-o-nur kaa samaan hogaa us kaa charchaa jahaan-jahaan hogaa vo jahaan bhi ho aasmaan hogaa ye na puchho kahaan kahaan hogaa be-zamiri kaa raaz agar kholun us kaa chehra dhuaan dhuaan hogaa jaan-o-dil se main chaahtaa huun jise mujh se kyaa vo bhi bad-gumaan ho gaa mausam-e-nafrat-o-taassub hai ab to gulshan ye be-nishaan hogaa kyaa abhi aur zakhm khaane hain kyaa abhi aur imtihaan hogaa Dhaa rahaa hai jo 'daagh' zulm-o-sitam ek din vo bhi mehrbaan hogaa"
Urdu

نکہت و نور کا سماں ہوگا اس کا چرچا جہاں جہاں ہوگا وہ جہاں بھی ہو آسماں ہوگا یہ نہ پوچھو کہاں کہاں ہوگا بے ضمیری کا راز اگر کھولوں اس کا چہرہ دھواں دھواں ہوگا جان و دل سے میں چاہتا ہوں جسے مجھ سے کیا وہ بھی بد گماں ہو گا موسم نفرت و تعصب ہے اب تو گلشن یہ بے نشاں ہوگا کیا ابھی اور زخم کھانے ہیں کیا ابھی اور امتحاں ہوگا ڈھا رہا ہے جو داغؔ ظلم و ستم ایک دن وہ بھی مہرباں ہوگا

Hindi

निकहत-ओ-नूर का समाँ होगा उस का चर्चा जहाँ-जहाँ होगा वो जहाँ भी हो आसमाँ होगा ये न पूछो कहाँ कहाँ होगा बे-ज़मीरी का राज़ अगर खोलूँ उस का चेहरा धुआँ धुआँ होगा जान-ओ-दिल से मैं चाहता हूँ जिसे मुझ से क्या वो भी बद-गुमाँ हो गा मौसम-ए-नफ़रत-ओ-तअ'स्सुब है अब तो गुलशन ये बे-निशाँ होगा क्या अभी और ज़ख़्म खाने हैं क्या अभी और इम्तिहाँ होगा ढा रहा है जो 'दाग़' ज़ुल्म-ओ-सितम एक दिन वो भी मेहरबाँ होगा

nikhat-o-nūr kā samāñ hogā
Dagh Niyazi
Dagh Niyazi
Dagh Niyazi
poet10 quotes

More by Dagh Niyazi

View all →
Quote
"bahaar naam hai mausam ke rukh badalne kaa lo vaqt aa gayaa baaghon mein aam phalne kaa main haar maan chukaa huun khushaamadein kar ke magar vo naam hi letaa nahin pighalne kaa vo Dagmagaa ke bhi saabit-qadam hi rahtaa hai hamein bhi us se hunar sikhnaa hai chalne kaa ajab nahin hai ki rusvaaiyaan hi haath aaein sanbhal bhi jaa ki abhi vaqt hai sanbhalne kaa hatheliyon pe sajaae hain jaan parvaane ab intizaar hai bas un ko shama jalne kaa har ek moD pe pahre biThaa diye gae 'daagh' koi bhi raasta baaqi nahin nikalne kaa"
Dagh NiyaziDagh Niyazi
Quote
"dil yaad karke us ko pareshaan hai abhi lekin vo mere haal se anjaan hai abhi rukhsat vo jaane kab kaa mire ghar se ho gayaa main dekhtaa huun dil mein vo mehmaan hai abhi main chaadar-e-sukun bhalaa kaise oDh luun jab haadson kaa shahr mein imkaan hai abhi chhoDeinge ham na raah-e-vafaa-o-khulus ko dekho hamaare haath mein quraan hai abhi zulm-o-sitam vo had se sivaa kar sakegaa kyaa har ik gharib be-sar-o-saamaan hai abhi ik ek qatra apne lahu kaa bahaaungaa tu aazmaa le tan mein mire jaan hai abhi buniyaad tujh se zulm-o-sitam ki paDi magar mehr-o-vafaa se 'daagh' tu anjaan hai abhi"
Dagh NiyaziDagh Niyazi
Quote
"vajud us se hamaaraa kahin judaa na lage vo saath saath rahe aur hamein pataa na lage vaqaar mein jo izaafa hai aap ko manzur sanbhal ke chaliye jahaan ki kahin havaa na lage fareb-o-makr pe inaam log paate hain main baat sach bhi kahun aur taaziyaana lage hamaari zaat se pahle gurez thaa us ko ab e'tiraaf-e-navaazish use buraa na lage ilaahi tujh se guzaarish hai baar baar yahi mire sanam ko kisi ki bhi badduaa na lage jazira dil kaa hai suunaa tumhaari yaad baghair chale bhi aao ki mausam baDaa suhaanaa lage vo bhuul saktaa hai ai 'daagh' mujh ko jald magar use bhulaane mein shaayad mujhe zamaana lage"
Dagh NiyaziDagh Niyazi
Quote
"jab talak be-khudi nahin hoti ishq mein chaashni nahin hoti koshishein main ne kiin bahut lekin haadson mein kami nahin hoti jab se chhoDaa hai us ne saath miraa dil ko raahat kabhi nahin hoti aap chaahein to ruuTh sakte hain ham se to be-rukhi nahin hoti ham ne jaan tak nisaar kar Daali un ko ab bhi khushi nahin hoti jab na hon husn-e-yaar ki baatein shaaeri shaaeri nahin hoti pahle hoti thiin baiTh kar baatein ab mulaaqaat bhi nahin hoti un ke milne se 'daagh' dil ko mire ab to koi khushi nahin hoti"
Dagh NiyaziDagh Niyazi

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi