SHAWORDS

nit-nae rang se kartaa rahaa dil ko paamaal — Ahmad Hamdani

HomeAhmad HamdaniGhazal
"nit-nae rang se kartaa rahaa dil ko paamaal barbat-e-jaan mein samaayaa huaa ik husn-e-malaal umar kaaTi hai ghani chhaanv mein zulfon ki bahut aao ab ranj ki dahliz pe sajde kuchh saal vo badan jis kaa ujaalaa thaa hamaari jannat dhyaan mein us ke hue aaj magar kaise niDhaal gori baahein bhi hamaail rahaa karti thiin kabhi aur ab sar bhi uThaanaa huaa zaanu se muhaal tu mayassar thaa to dil mein the hazaaron armaan tu nahin hai to har ik samt ajab rang-e-malaal har taraf apne andheraa hi andheraa lekin aasmaan par ye sitaaron kaa chamaktaa huaa jaal"
Urdu

نت نئے رنگ سے کرتا رہا دل کو پامال بربط جاں میں سمایا ہوا اک حسن ملال عمر کاٹی ہے گھنی چھاؤں میں زلفوں کی بہت آؤ اب رنج کی دہلیز پہ سجدے کچھ سال وہ بدن جس کا اجالا تھا ہماری جنت دھیان میں اس کے ہوئے آج مگر کیسے نڈھال گوری باہیں بھی حمائل رہا کرتی تھیں کبھی اور اب سر بھی اٹھانا ہوا زانو سے محال تو میسر تھا تو دل میں تھے ہزاروں ارماں تو نہیں ہے تو ہر اک سمت عجب رنگ ملال ہر طرف اپنے اندھیرا ہی اندھیرا لیکن آسماں پر یہ ستاروں کا چمکتا ہوا جال

Hindi

नित-नए रंग से करता रहा दिल को पामाल बरबत-ए-जाँ में समाया हुआ इक हुस्न-ए-मलाल उम्र काटी है घनी छाँव में ज़ुल्फ़ों की बहुत आओ अब रंज की दहलीज़ पे सज्दे कुछ साल वो बदन जिस का उजाला था हमारी जन्नत ध्यान में उस के हुए आज मगर कैसे निढाल गोरी बाहें भी हमाइल रहा करती थीं कभी और अब सर भी उठाना हुआ ज़ानू से मुहाल तू मयस्सर था तो दिल में थे हज़ारों अरमाँ तू नहीं है तो हर इक सम्त अजब रंग-ए-मलाल हर तरफ़ अपने अंधेरा ही अंधेरा लेकिन आसमाँ पर ये सितारों का चमकता हुआ जाल

nit-na.e rañg se kartā rahā dil ko pāmāl
Ahmad Hamdani
Ahmad Hamdani
Ahmad Hamdani
poet22 quotes

More by Ahmad Hamdani

View all →
Quote
"azal abad se bahut duur jhumte the ham kisi ke dhyaan mein kuchh din ko jaa base the ham vo gham ho yaa ho khushi kaif kam na hotaa thaa ajiib raah se ho kar guzar rahe the ham bahut aziiz the ham ko hamaare dost magar ik ajnabi ke liye sab se chhuT gae the ham karam se aap ke sarshaar thaa ye dil lekin khushi ki aanch mein kyaa kyaa pighal rahe the ham tumhein to yaad kahaan honge ab magar vo din na dekh kar tumhein har lamha dekhte the ham vo ek kaif kaa aalam vo aarzu-mandi na jaane kaun si duniyaa mein ji rahe the ham"
Ahmad HamdaniAhmad Hamdani
Quote
"nahin milte vo ab to kyaa baat hai yahaan khud se bhi kab mulaaqaat he tire dhyaan ke sab ujaale gae bas ab ham hain aur dukh bhari raat hai hamaari taraf bhi kabhi ik nigaah hamein bhi bahut nashsha-e-zaat hai sulagtaa huaa din jo kaT bhi gayaa to phir aanch deti hui raat hai shikaayat kisi se to kyaa thi magar gila ek rasm-e-kharaabaat hai nayaa dukh to miltaa hai kis ko yahaan magar gham ki har shab nai raat hai har ik shaam taaza umid-e-visaal har ik roz roz-e-mukaafaat hai"
Ahmad HamdaniAhmad Hamdani
Quote
"ye vafaaein saari dhoke phir ye dhoke bhi kahaan chand din ki baat hai phir log ham se bhi kahaan tum ko aanaa thaa na aae vaqt lekin kaT gayaa muzmahil hote ho kyuun ham raat roe bhi kahaan peD ye sukhe hue kuchh ye zamin tapti hui chalte chalte aaj Thahre ham to Thahre bhi kahaan aaj to vo der tak baiThe rahe khaamosh se rafta rafta bin-kahe haalaat pahunche bhi kahaan chand yaadein chand aansu chand shikve aur umr ishq to kiyaa thaa magar ab ye saliqe bhi kahaan dil lahu hotaa hai yaaro baat ye aasaan nahin lahza lahza rote guzri aur roe bhi kahaan"
Ahmad HamdaniAhmad Hamdani
Quote
"kuchh us ko yaad karun us kaa intizaar karun bahut sukut hai main khud ko be-qaraar karun bharun main rang nae muzmahil tamannaa mein udaas raat ko aasuda-e-bahaar karun kuchh aur chaah baDhaaun kuchh aur dard sahun jo mujh se duur hai yuun us ko ham-kanaar karun vafaa ke naam pe kyaa kyaa jafaaein hoti rahin main har libaas-e-jafaa aaj taar taar karun vo meri raah mein kaanTe bichhaae main lekin usi ko pyaar karun us pe e'tibaar karun ye mere khvaab miri zindagi kaa sarmaaya na kyuun ye khvaab bhi main aaj nazr-e-yaar karun"
Ahmad HamdaniAhmad Hamdani
Quote
"ab ye hogaa shaayad apni aag mein khud jal jaaeinge tum se duur bahut rah kar bhi kyaa paayaa kyaa paaeinge dukh bhi sachche sukh bhi sachche phir bhi teri chaahat mein ham ne kitne dhoke khaae kitne dhoke khaaeinge kal ke dukh bhi kaun se baaqi aaj ke dukh bhi kai din ke jaise din pahle kaaTe the ye din bhi kaT jaaeinge aql pe ham ko naaz bahut thaa lekin ye kab sochaa thaa ishq ke haathon ye bhi hogaa log hamein samjhaaeinge aankhon se ojhal honaa kyaa dil se ojhal honaa hai tujh se chhuT kar bhi ahl-e-gham kyaa tujh se chhuT jaaeinge ham se aabla-paa jab tanhaa ghabraaeinge sahraa mein raaste sab tere hi ghar ki jaanib ko muD jaaeinge"
Ahmad HamdaniAhmad Hamdani
Quote
"gard kaisi hai ye dhuaan saa kyaa jaa rahaa hai vo kaarvaan saa kyaa ho gayaa koi mehrbaan saa kyaa ranj kaa bandh gayaa samaan saa kyaa tak rahe hain khalaa mein ham kis ko ban rahaa hai vo ik nishaan saa kyaa silsila kuchh udaasiyon kaa bhi jagmagaataa hai kahkashaan saa kyaa ham bhi achchhe hain dard bhi kam hai dil se uTThaa magar dhuaan saa kyaa kaise TuuTe sukut-e-shaam-e-firaaq har taraf shor-e-be-amaan saa kyaa ye mohabbat hai yaa hai koi tilism pichhaa kartaa hai ik gumaan saa kyaa"
Ahmad HamdaniAhmad Hamdani

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud