SHAWORDS

nur-e-mah ko shab tah-e-abr-e-tunak kyaa laaf thaa — Mamnoon Nizamuddin

"nur-e-mah ko shab tah-e-abr-e-tunak kyaa laaf thaa baal us mukhDe se uTh jaate to matlaa saaf thaa saafi dil-ghazand ki kyaa thi dam-e-bos-o-kanaar bose ko mushkil Thaharnaa siine se taa naaf thaa ik nigah kaa duur se bhi aaj kal mahrum hai dil ki teraa muddaton khu-karda-e-altaaf thaa ho dar-e-mai-khaana par be-dukht-e-raz baiThe hue hazrat-e-'mamnun' yahi kyaa sheva-e-ashraaf thaa"
Urdu

نور مہ کو شب تہ ابر تنک کیا لاف تھا بال اس مکھڑے سے اٹھ جاتے تو مطلع صاف تھا صافی دلغزند کی کیا تھی دم بوس و کنار بوسہ کو مشکل ٹھہرنا سینہ سے تا ناف تھا اک نگہ کا دور سے بھی آج کل محروم ہے دل کہ تیرا مدتوں خوکردۂ الطاف تھا ہو در مے خانہ پر بے دخت رز بیٹھے ہوئے حضرت ممنوںؔ یہی کیا شیوۂ اشراف تھا

Hindi

नूर-ए-मह को शब तह-ए-अब्र-ए-तनक क्या लाफ़ था बाल उस मुखड़े से उठ जाते तो मतला साफ़ था साफ़ी दिल-ग़ज़ंद की क्या थी दम-ए-बोस-ओ-कनार बोसे को मुश्किल ठहरना सीने से ता नाफ़ था इक निगह का दूर से भी आज कल महरूम है दिल कि तेरा मुद्दतों ख़ू-कर्दा-ए-अल्ताफ़ था हो दर-ए-मय-ख़ाना पर बे-दुख़्त-ए-रज़ बैठे हुए हज़रत-ए-'ममनूँ' यही क्या शेवा-ए-अशराफ़ था

nūr-e-mah ko shab tah-e-abr-e-tunak kyā laaf thā
M
Mamnoon Nizamuddin
Mamnoon Nizamuddin
poet20 quotes

More by Mamnoon Nizamuddin

View all →
Quote
"jo baad-e-marg bhi dil ko rahi kanaar mein jaa to so chukaa main faraaghat se bas mazaar mein jaa tamaam dard hon maalum kuchh nahin ki kahaan tire khadang ne ki hai tan-e-nazaar mein jaa yahi to rizq hai baad-e-fanaa miraa zaalim samajh ke barq-e-sharar-baar khaarzaar mein jaa qadam samajh ke tu rakh tishnigaan-e-hasrat se tihi nahin hai Tuk ulfat ki rahguzaar mein jaa uThi jo kulfat-e-dil kam ho meri kulfat mein ghubaar jaise ki mil jaae hai ghubaar mein jaa na ho kahin ki do-sad-khun-e-khufta hon bedaar sabaa jo jaae to aahista ku-e-yaar mein jaa khadang-e-ghamza to khaar-shigaaf hai us kaa chhupaae ji ko koi kaun se hisaar mein jaa"
M
Mamnoon Nizamuddin
Quote
"tire bimaar ki shaayad vidaa-e-jaan hai tan se janaaze ki vagarna vaan hai tayyaari kaa kyaa baais kahin vaqt-e-khitaab ai yaar apne munh se niklaa thaa lagaa kahne ki mujh mein aap mein yaari kaa kyaa baais mariz apne ko dekhaa aah khuun aaluda kyaa kyaa the na thaa gar dard dil mein naala-o-zaari kaa kyaa baais nahin kuchh zor se letaa koi dil do na do 'mamnun' ye majburi kaa kyaa maujib ye naa-chaari kaa kyaa baais mire siine mein gar aatish-kada pinhaan nahin zaalim fughaan o aah se har dam sharar-baari kaa kyaa baais tasavvur chashm-e-khubaan kaa muqarrar tum ko rahtaa hai vagarna hazrat-e-dil itni bimaari kaa kyaa baais huaa jab kaam apnaa kaam dil jab puchhne aae mujhe gham khaa chukaa ab meri gham-khvaari kaa kyaa baais ajab divaangi hai koi bhi yuun dil phansaataa hai bahut daanaa the tum 'mamnun' giraftaari kaa kyaa baais"
M
Mamnoon Nizamuddin
Quote
"khaa ke kal ho pech-o-taab uThThaa jo dil se naala thaa jaa ke gardun pe chamaktaa shoala-e-javvaala thaa khvaab mein bosa liyaa thaa raat ba-lab-e-naazuki subh dam dekhaa to us ke honTh pe but-khaala thaa vaah ri afsurdagi is khaatir-e-dil-gir ki ashk kaa qatra jo Tapkaa chashm se so zhaala thaa thi khayaale-e-mah-rukhaan se shab baghal labrez nuur aab se khaali va-lekin mai ba-rang-e-haala thaa kal ba-rang-e-ghuncha thi kis ko majaal-e-guftugu baat jab kartaa thaa munh mein dil kaa yak parkaala thaa bad-gumaani se Daraa varna liyaa teraa jo naam dekhnaa bose ki khaatir main lab-e-dallaala thaa"
M
Mamnoon Nizamuddin

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil