SHAWORDS

pahle ham ishq kiyaa karte the — Akhtar Amaan

HomeAkhtar AmaanGhazal
"pahle ham ishq kiyaa karte the haan kabhi ham bhi jiyaa karte the apne daaman ki kabhi fikr na ki chaak auron ke siyaa karte the pahle har haal mein khush rahte the jaane kyaa kaam kiyaa karte the chaahne vaale bahut the lekin ham bas ik naam liyaa karte the kabhi aansu to kabhi mai 'akhtar' jo mayassar thaa piyaa karte the"
Urdu

پہلے ہم عشق کیا کرتے تھے ہاں کبھی ہم بھی جیا کرتے تھے اپنے دامن کی کبھی فکر نہ کی چاک اوروں کے سیا کرتے تھے پہلے ہر حال میں خوش رہتے تھے جانے کیا کام کیا کرتے تھے چاہنے والے بہت تھے لیکن ہم بس اک نام لیا کرتے تھے کبھی آنسو تو کبھی مے اخترؔ جو میسر تھا پیا کرتے تھے

Hindi

पहले हम इश्क़ किया करते थे हाँ कभी हम भी जिया करते थे अपने दामन की कभी फ़िक्र न की चाक औरों के सिया करते थे पहले हर हाल में ख़ुश रहते थे जाने क्या काम किया करते थे चाहने वाले बहुत थे लेकिन हम बस इक नाम लिया करते थे कभी आँसू तो कभी मय 'अख़्तर' जो मयस्सर था पिया करते थे

pahle ham ishq kiyā karte the
A
Akhtar Amaan
Akhtar Amaan
poet9 quotes

More by Akhtar Amaan

View all →
Quote
"tavil-tar hai safar mukhtasar nahin hotaa mohabbaton kaa shajar be-samar nahin hotaa phir us ke baad kai log mil ke bichhDe hain kisi judaai kaa dil par asar nahin hotaa har ek shakhs ki apni hi ek manzil hai koi kisi kaa yahaan ham-safar nahin hotaa tamaam umr guzar jaati hai kabhi pal mein kabhi to ek hi lamha basar nahin hotaa ye aur baat hai vo apnaa haal-e-dil na kahe koi bhi shakhs yahaan be-khabar nahin hotaa ajiib log hain ye ahl-e-ishq bhi 'akhtar' ki dil to hotaa hai par in kaa sar nahin hotaa"
A
Akhtar Amaan
Quote
"yahaan mausam bhi badlein to nazaare ek jaise hain hamaare roz-o-shab saare ke saare ek jaise hain hamein har aane vaalaa zakhm-e-taaza de ke jaataa hai hamaare chaand suraj aur sitaare ek jaise hain khudaayaa tere dam se apnaa ghar ab tak salaamat hai vagarna dost aur dushman hamaare ek jaise hain kahin gar farq niklegaa to bas shiddat kaa kuchh varna yahaan par gham hamaare aur tumhaare ek jaise hain main kis ummid pe daaman kisi kaa thaam luun 'akhtar' ki sab se dosti mein ab khasaare ek jaise hain"
A
Akhtar Amaan
Quote
"ye dil kahtaa hai koi aa rahaa hai nazar kahti hai vo bahlaa rahaa hai har ik ke dil pe kartaa hai hukumat vo apni saltanat phailaa rahaa hai kisi ki dastaras mein hai magar vo kabhi aa kar hamein miltaa rahaa hai kabhi detaa hai dil ko zakhm gahre kabhi lagtaa hai vo sahlaa rahaa hai khabar ik us ke aane ki suni thi diyaa ghar raat bhar jaltaa rahaa hai kaheinge log mere baad saare vo jaisaa bhi rahaa achchhaa rahaa hai kahaan par aa ke 'akhtar' ruk gae ho chalo aao zamaana jaa rahaa hai"
A
Akhtar Amaan
Quote
"mohabbaton mein bahut ras bhi hai miThaas bhi hai hamaare jiine ki bas ik yahi asaas bhi hai kabhi to qurb se bhi faasle nahin miTte go ek 'umr se vo shakhs mere paas bhi hai kisi ke aane kaa mausam kisi ke jaane kaa ye dil ki khush bhi hai lekin bahut udaas bhi hai badan ke shahr mein aabaad ik darinda hai agarche dekhne mein kitnaa khush-libaas bhi hai ye jaante hain ki sab thak ke gir paDeinge kahin shikasta logon mein jiine ki kitni aas bhi hai vo us kaa apnaa hi andaaz hai bayaan kaa 'amaan' har ek hukm pe kahtaa hai iltimaas bhi hai"
A
Akhtar Amaan

More on Ishq

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
N
Naeem Sameer
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"hijaab vaalon se vo be-hijaab ho na sakaa vo saamne thaa magar be-naqaab ho na sakaa vajud-e-khaak kaa insaan khitaab ho na sakaa ye zarra ghair-e-karam aaftaab ho na sakaa karam vo tuur pe ik be-niyaaz-e-jalva par vo be-niyaazi thi jis kaa javaab ho na sakaa uThaa ke parda chhupaa kasrat-e-tajalli mein vo be-naqaab huaa be-naqaab ho na sakaa tamaam umr rahe dekhte hayaat ke khvaab hamaari aankhon mein ye khvaab khvaab ho na sakaa rahi fareb-e-tasavvur ye raftani duniyaa saraab jaise kabhi ju-e-aab ho na sakaa zamir zaahir-o-baatin se ho gayaa aagaah kharaab baada-e-irfaan kharaab ho na sakaa mire karim ne bakhshaa isi bahaane se mire gunaahon kaa jab kuchh hisaab ho na sakaa abhi kami hai tire zauq-e-ishq mein 'aiman' lahu huaa tiraa aansu sharaab ho na sakaa"
A
Aiman Amritsari