"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
parastish kar rahaa hai har javaan-o-pir patthar ki — Jauhar Badayuni
"parastish kar rahaa hai har javaan-o-pir patthar ki sanam-khaane mein aa kar jaag uThi taqdir patthar ki tasavvur ne but-e-kaafir ki dil mein shakl khinchi hai tamaasha dekhiye shishe mein hai tasvir patthar ki tasavvur dil mein ashk aankhon mein lab par mohr-e-khaamoshi banaa baiThaa huun un ki yaad mein tasvir patthar ki adab se zaahid-e-kaaba-nashin bhi chuum letaa hai tumhaare dar se lag kar baDh gai tauqir patthar ki gire aankhon se itne lakht-e-dil yaaqut ban ban kar nazar aataa thaa taar-e-ashk ik zanjir patthar ki na bal aa jaae 'jauhar' dast-e-naazuk mein khudaa-haafiz idhar hai sakhti-e-jaan aur udhar shamshir patthar ki"
پرستش کر رہا ہے ہر جوان و پیر پتھر کی صنم خانے میں آ کر جاگ اٹھی تقدیر پتھر کی تصور نے بت کافر کی دل میں شکل کھینچی ہے تماشہ دیکھیے شیشے میں ہے تصویر پتھر کی تصور دل میں اشک آنکھوں میں لب پر مہر خاموشی بنا بیٹھا ہوں ان کی یاد میں تصویر پتھر کی ادب سے زاہد کعبہ نشیں بھی چوم لیتا ہے تمہارے در سے لگ کر بڑھ گئی توقیر پتھر کی گرے آنکھوں سے اتنے لخت دل یاقوت بن بن کر نظر آتا تھا تار اشک اک زنجیر پتھر کی نہ بل آ جائے جوہرؔ دست نازک میں خدا حافظ ادھر ہے سختیٔ جاں اور ادھر شمشیر پتھر کی
परस्तिश कर रहा है हर जवान-ओ-पीर पत्थर की सनम-ख़ाने में आ कर जाग उठी तक़दीर पत्थर की तसव्वुर ने बुत-ए-काफ़िर की दिल में शक्ल खींची है तमाशा देखिए शीशे में है तस्वीर पत्थर की तसव्वुर दिल में अश्क आँखों में लब पर मोहर-ए-ख़ामोशी बना बैठा हूँ उन की याद में तस्वीर पत्थर की अदब से ज़ाहिद-ए-काबा-नशीं भी चूम लेता है तुम्हारे दर से लग कर बढ़ गई तौक़ीर पत्थर की गिरे आँखों से इतने लख़्त-ए-दिल याक़ूत बन बन कर नज़र आता था तार-ए-अश्क इक ज़ंजीर पत्थर की न बल आ जाए 'जौहर' दस्त-ए-नाज़ुक में ख़ुदा-हाफ़िज़ इधर है सख़्ती-ए-जाँ और उधर शमशीर पत्थर की
More on Yaad
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"