SHAWORDS

parda-e-sher mein har dard 'ayaan kartaa huun — Nazeer Hussain Siddiqui

"parda-e-sher mein har dard 'ayaan kartaa huun dil ki haalat hai jo lafzon mein bayaan kartaa huun mahfil-aaraa-e-haqiqat hai miraa zauq-e-nazar dil ko khalvat-kada-e-bazm-e-butaan kartaa huun jalva-e-husn hai khud mahv-e-tamaashaa-e-jamaal hairat-e-‘ishq mein vo husn 'ayaan kartaa huun kitnaa gum-karda-e-ghaflat huun 'ayaazan-billaah apni hasti pe bhi hasti kaa gumaan kartaa huun jalva-e-barq hai nazzaara-e-khirman mujh ko chashm-e-dahqaan mein bhi ik khuun ravaan kartaa huun saaya-e-taair-e-maqsud ke nazzaaron mein asl maqsud ko nazron se nihaan kartaa huun meri aankhon se Tapaktaa hai miraa 'aalam-e-dil jazba-e-shauq nigaahon se 'ayaan kartaa huun vo mire saamne aate hue sharmaate hain kyaa vahi baat hai jis kaa main gumaan kartaa huun tiri hi yaad uDaati hai jigar ke TukDe naam teraa hi magar vird-e-zabaan kartaa huun dard ki manzil-e-aakhir mein ho kyaa haal 'junun' abhi taaqat hai abhi zabt-e-fughaan kartaa huun"
Urdu

پردۂ شعر میں ہر درد عیاں کرتا ہوں دل کی حالت ہے جو لفظوں میں بیاں کرتا ہوں محفل آرائے حقیقت ہے مرا ذوق نظر دل کو خلوت‌ کدۂ بزم بتاں کرتا ہوں جلوۂ حسن ہے خود محو تماشائے جمال حیرت عشق میں وہ حسن عیاں کرتا ہوں کتنا گم کردۂ غفلت ہوں عیاذاً باللہ اپنی ہستی پہ بھی ہستی کا گماں کرتا ہوں جلوۂ برق ہے نظارۂ خرمن مجھ کو چشم دہقاں میں بھی اک خون رواں کرتا ہوں سایۂ طائر مقصود کے نظاروں میں اصل مقصود کو نظروں سے نہاں کرتا ہوں میری آنکھوں سے ٹپکتا ہے مرا عالم دل جذبۂ شوق نگاہوں سے عیاں کرتا ہوں وہ مرے سامنے آتے ہوئے شرماتے ہیں کیا وہی بات ہے جس کا میں گماں کرتا ہوں تری ہی یاد اڑاتی ہے جگر کے ٹکڑے نام تیرا ہی مگر ورد زباں کرتا ہوں درد کی منزل آخر میں ہو کیا حال جنوںؔ ابھی طاقت ہے ابھی ضبط فغاں کرتا ہوں

Hindi

पर्दा-ए-शे'र में हर दर्द 'अयाँ करता हूँ दिल की हालत है जो लफ़्ज़ों में बयाँ करता हूँ महफ़िल-आरा-ए-हक़ीक़त है मिरा ज़ौक़-ए-नज़र दिल को ख़लवत-कदा-ए-बज़्म-ए-बुताँ करता हूँ जल्वा-ए-हुस्न है ख़ुद महव-ए-तमाशा-ए-जमाल हैरत-ए-‘इश्क़ में वो हुस्न 'अयाँ करता हूँ कितना गुम-कर्दा-ए-ग़फ़लत हूँ 'अयाज़न-बिल्लाह अपनी हस्ती पे भी हस्ती का गुमाँ करता हूँ जलवा-ए-बर्क़ है नज़्ज़ारा-ए-ख़िरमन मुझ को चश्म-ए-दहक़ाँ में भी इक ख़ून रवाँ करता हूँ साया-ए-ताइर-ए-मक़्सूद के नज़्ज़ारों में अस्ल मक़्सूद को नज़रों से निहाँ करता हूँ मेरी आँखों से टपकता है मिरा 'आलम-ए-दिल जज़्बा-ए-शौक़ निगाहों से 'अयाँ करता हूँ वो मिरे सामने आते हुए शरमाते हैं क्या वही बात है जिस का मैं गुमाँ करता हूँ तिरी ही याद उड़ाती है जिगर के टुकड़े नाम तेरा ही मगर विर्द-ए-ज़बाँ करता हूँ दर्द की मंज़िल-ए-आख़िर में हो क्या हाल 'जुनूँ' अभी ताक़त है अभी ज़ब्त-ए-फ़ुग़ाँ करता हूँ

parda-e-sher meñ har dard 'ayāñ kartā huuñ
Nazeer Hussain Siddiqui
Nazeer Hussain Siddiqui
Nazeer Hussain Siddiqui
poet15 quotes

More by Nazeer Hussain Siddiqui

View all →
Quote
"achchhaa hai dil ke saath jo roe jigar ko ham bhule hue the kyon nigah-e-fitnagar ko ham paayaa use to kho gae khud 'umr-bhar ko ham vo kyaa milaa taras gae apni khabar ko ham tum ko tumhaare husn ki dikhlaaeinge bahaar apnaa saa kar sake jo tumhaari nazar ko ham rahmat khudaa ki tujh pe ho ai be-khudi-e-shauq kab se talaash karte the us rahguzar ko ham us ki gali mein aa ke sabhi bhulte hain raah DhunDegaa raahbar hamein aur raahbar ko ham ik naqsh-e-yaas aisaa hi darkaar dil ko hai phir dekh lein bujhi hui sham'-e-sahar ko ham yaa-rab tiri khudaai ko khatra lagaa hai kyaa dekhein kabhi to us but-e-kaafir-asar ko ham kyaa jaante the ham tu sitamgar hai is qadar kyaa dekh aae the tire qalb-o-jigar ko ham is shauq mein to aate hi jaate nazar paDe chhup-chhup ke dekhte hain tiri rah-guzar ko ham kaaTe kaTi hai kis se khudaayaa shab-e-firaaq tu hi dikhaae ham ko to dekhein sahar ko ham vo sirf naaz-e-husn thaa ham mahv-e-zauq-e-did vo ham ko dekhtaa thaa aur us ki nazar ko ham kunj-e-qafas diyaa hai to itni sakat bhi de toDein taDap taDap ke har ik baal-o-par ko ham un ki khushi yahi hai tu gham mein bhi khush rahe samjhaa rahe hain der se us chashm-e-tar ko ham ye naqsh-e-paa-e-naaz hai ik sham’-e-husn kaa dil se lagaae baiThe hain daagh-e-jigar ko ham apne junun-e-dil kaa 'junun' hai yahi 'ilaaj laao ki sar pe Daal lein us khaak-e-dar ko ham"
Nazeer Hussain SiddiquiNazeer Hussain Siddiqui
Quote
"yuun aah par jo aah kiye jaa rahaa huun main phir gham ko ru-ba-raah kiye jaa rahaa huun main dekhaa hai zarre zarre mein main ne jamaal-e-dost har zarre ko gavaah kiye jaa rahaa huun main vo aaein yaa na aaein magar un ke shauq mein aankhon ko farsh-e-raah kiye jaa rahaa huun main har-chand sharm se vo uThaate nahin nazar aamaada-e-nigaah kiye jaa rahaa huun main ai rahmat-e-tamaam miraa e'timaad dekh har lahza ik gunaah kiye jaa rahaa huun main anjaam-e-kaar-e-‘ishq hai ik aah-e-jaan-gudaaz 'aalam ko intibaah kiye jaa rahaa huun main un ki nigaah-e-naaz ko khud chheD chheD kar ik tir-e-be-panaah kiye jaa rahaa huun main be-tere huun bhi yaa ki nahin teri jaan se duur is mein bhi ishtibaah kiye jaa rahaa huun main har raah se guzar ke milaa hai ye raasta ab dil ki dil se raah kiye jaa rahaa huun main rah rah ke rakh rahe hain mire dil pe haath vo tham tham ke aah aah kiye jaa rahaa huun main majbur huun tabi'at-e-izaa-pasand se phulon ko khaar-e-raah kiye jaa rahaa huun main apni nigaah-e-naaz ko tu dil banaa ke dekh dil ko tiri nigaah kiye jaa rahaa huun main sau baar us ko dekh ke sau baar hi 'junun' aankhon ko 'uzr-khvaah kiye jaa rahaa huun main"
Nazeer Hussain SiddiquiNazeer Hussain Siddiqui
Quote
"chaman hans paDaa gul khile jaa rahe hain bahaar aa rahi hai ki vo aa rahe hain ghazab thaa jise ik nazar dekh lenaa use dekhne aaj ham jaa rahe hain ye un ki navaazish hai kis tarh bhulun bhulaataa huun phir bhi vo yaad aa rahe hain sitam par nuzul-e-sitam hai ye kaisaa abhi aae the vo abhi jaa rahe hain baDhegaa miraa dard-e-dil aur is se vo kyon pursish-e-haal farmaa rahe hain adaa chhup ke aane ki pahunchi kahaan tak vo khud mujh se bhi ab chhupe jaa rahe hain tire daur-e-furqat mein ye bhi bahut hai tiri yaad se dil ko bahlaa rahe hain vo rasm-e-qadim un ki jaari hai ab bhi jo taDpaa rahe the vo taDpaa rahe hain baraabar hai us kaa ye paanaa na paanaa jise paa ke ham aap kho jaa rahe hain tilism-e-tamaashaa hai un kaa tasavvur jidhar jaa rahe hain unhein paa rahe hain vo hanste hain dete nahin bosa-e-lab pilaate nahin jaam chhalkaa rahe hain 'junun' un ke gesu hon yaa un ke 'aariz sab apne khayaalon mein uljhaa rahe hain"
Nazeer Hussain SiddiquiNazeer Hussain Siddiqui
Quote
"dil ki lagi ye us ne bujhaai tamaam raat ik aag par ik aag lagaai tamaam raat vo aur naaz-e-husn ke andaaz-e-be-panaah main aur dard-e-dil ki duhaai tamaam raat is sharmgin nigaah ki allaah ri hayaa bhule se bhi nazar na uThaai tamaam raat aane kaa vaa'da kar ke bhi aaya na haae-haae ik bevafaa ne raah dikhaai tamaam raat vo shahryaar-e-husn thaa aur meri chashm-e-shauq dekhaa kiyaa khudaa ki khudaai tamaam raat badla hai ye shikastan-e-saaghar kaa mohtasib TuuTaa jo teraa zuhd-e-riyaai tamaam raat vo mere paas hi rahaa goyaa shab-e-firaaq takhil ki vo sham' jalaai tamaam raat jab bakht so rahaa ho koi soe kis tarah bedaar-e-gham ko niind na aai tamaam raat ik baar mujh ko dekh ke sharmaa gayaa jo vo nazron se phir nazar na milaai tamaam raat tere khayaal mein main baraabar jagaa kiyaa aankhon ki niind dil ne uDaai tamaam raat vo be-niyaaz is pe bhi raazi na ho sakaa dil ne jabin-e-'ijz jhukaai tamaam raat vaa'de ki shab na aanaa thaa hargiz na aaya vo aai to us ki yaad hi aai tamaam raat main us nigaah-e-mast kaa makhmur huun 'junun' be-jaam-o-shisha jis ne pilaai tamaam raat"
Nazeer Hussain SiddiquiNazeer Hussain Siddiqui
Quote
"lazzat-andoz-e-khalish huun sozan-e-taqdir kaa si rahaa huun chaak apne daaman-e-tadbir kaa muskuraa kar is taraf chilman ko jumbish de gai zarra-zarra hil gayaa yaan zabt ki taamir kaa le gayaa har sunne vaalaa apne apne rang mein asl matlab rah gayaa lekin miri taqrir kaa khuun kar dil ko jhalak uTThegaa siina nuur se subh kaa rang-e-shafaq dibaacha hai tanvir kaa ashk kaa ik qatra-e-larzaan sar-e-mizhgaan huun main juun gul-e-shama-e-sahar huun muntazir ik tiir kaa ek lahn-e-muztarib hai meri mausiqi nahin mere naghmon mein asar hai shevan-e-dil-gir kaa zindagi ik khvaab-e-bedaari hai bedaari nahin maut hai pahlaa asar is khvaab ki taabir kaa is do-harfi lafz mein daftar ke daftar hain chhupe dil hai ik tumaar-e-pinhaan ishq ki tafsir kaa kis se uljhegaa ye daaman hi na hogaa jab 'junun' kyon na saamaan hi miTaa duun khaar-e-daaman-gir kaa"
Nazeer Hussain SiddiquiNazeer Hussain Siddiqui
Quote
"achchhaa hai dil ke saath jo roe jigar ko ham bhule hue the kyon nigah-e-fitna-gar ko ham paayaa use to kho gae khud umr-bhar ko ham vo kyaa milaa taras gae apni khabar ko ham tum ko tumhaare husn ki dikhlaaeinge bahaar apnaa saa kar sake jo tumhaari nazar ko ham rahmat khudaa ki tujh pe ho ai be-khudi-e-shauq kab se talaash karte the is rahguzar ko ham us ki gali mein aa ke sabhi bhulte hain raah DhunDegaa raahbar hamein aur raahbar ko ham ik naqsh-e-yaas aisaa hi darkaar dil ko hai phir dekh lein bujhi hui sham-e-sahar ko ham yaarab tiri khudaai ko khatra lagaa hai kyaa dekhein kabhi to us but-e-kaafir-asar ko ham kyaa jaante the ham tu sitamgar hai is qadar kyaa dekh aae the tire qalb-o-jigar ko ham is shauq mein to aate hi jaate nazar paDe chhup-chhup ke dekhte hain tiri rahguzar ko ham kaaTe kaTi hai kis se khudaayaa shab-e-firaaq tu hi dikhaae ham ko to dekhein sahar ko ham vo sarf-e-naaz-e-husn thaa ham mahv-e-zauq-e-did vo ham ko dekhtaa thaa aur us ki nazar ko ham kunj-e-qafas diyaa hai to itni sakat bhi de toDein taDap taDap ke har ik baal-o-par ko ham un ki khushi yahi hai tu gham mein bhi khush rahe samjhaa rahe hain der se is chashm-e-tar ko ham ye naqsh-e-paa-e-naaz hai ik sham-e-husn kaa dil se lagaae baiThe hain daagh-e-jigar ko ham apne junun-e-dil kaa 'junun' hai yahi ilaaj laao ki sar pe Daal lein us khaak-e-dar ko ham"
Nazeer Hussain SiddiquiNazeer Hussain Siddiqui

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi