SHAWORDS

phir aayaa jaam-ba-kaf gul-ezaar ai vaaiz — Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

"phir aayaa jaam-ba-kaf gul-ezaar ai vaaiz shikast-e-tauba ki phir hai bahaar ai vaaiz na jaan mujh ko tu mukhtaar sakht huun majbur nahin hai dil pe miraa ikhtiyaar ai vaaiz anaar-e-khuld ko tu rakh ke hain pasand hamein kuchein vo yaar ki rashk-e-anaar ai vaaiz usi ki kaakul pur-pech ki qasam hai mujhe ki tere vaaz hain sab pechdaar ai vaaiz hamaare dard ko kyaa jaane tu ki tujh ko hai na dard-e-yaar na dard-e-dayaar ai vaaiz kiyaa jo zikr-e-qayaamat ye kyaa qayaamat ki ki yaad aayaa mujhe qad-e-yaar ai vaaiz bhulaaegaa na kabhi yaad-e-gul-rukhaan 'ehsaan' koi vo samjhe hai samjhaa hazaar ai vaaiz"
Urdu

پھر آیا جام بکف گلعذار اے واعظ شکست توبہ کی پھر ہے بہار اے واعظ نہ جان مجھ کو تو مختار سخت ہوں مجبور نہیں ہے دل پہ مرا اختیار اے واعظ انار خلد کو تو رکھ کے ہیں پسند ہمیں کچیں وہ یار کی رشک انار اے واعظ اسی کی کاکل پر پیچ کی قسم ہے مجھے کہ تیرے وعظ ہیں سب پیچ دار اے واعظ ہمارے درد کو کیا جانے تو کہ تجھ کو ہے نہ درد یار نہ درد دیار اے واعظ کیا جو ذکر قیامت یہ کیا قیامت کی کہ یاد آیا مجھے قد یار اے واعظ بھلائے گا نہ کبھی یاد گل رخاں احساںؔ کوئی وہ سمجھے ہے سمجھا ہزار اے واعظ

Hindi

फिर आया जाम-ब-कफ़ गुल-एज़ार ऐ वाइज़ शिकस्त-ए-तौबा की फिर है बहार ऐ वाइज़ न जान मुझ को तू मुख़्तार सख़्त हूँ मजबूर नहीं है दिल पे मिरा इख़्तियार ऐ वाइज़ अनार-ए-ख़ुल्द को तू रख के हैं पसंद हमें कुचें वो यार की रश्क-ए-अनार ऐ वाइज़ उसी की काकुल पुर-पेच की क़सम है मुझे कि तेरे वाज़ हैं सब पेचदार ऐ वाइज़ हमारे दर्द को क्या जाने तू कि तुझ को है न दर्द-ए-यार न दर्द-ए-दयार ऐ वाइज़ किया जो ज़िक्र-ए-क़यामत ये क्या क़यामत की कि याद आया मुझे क़द-ए-यार ऐ वाइज़ भुलाएगा न कभी याद-ए-गुल-रुख़ाँ 'एहसाँ' कोई वो समझे है समझा हज़ार ऐ वाइज़

phir aayā jām-ba-kaf gul-ezār ai vaa.iz
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
poet87 quotes

More by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

View all →
Quote
"yunhi kufr har subh har shaam hogaa ilaahi kabhu yaan bhi islaam hogaa kahin kaam mein vo to khud-kaam hogaa yahaan kaam aakhir hai vaan kaam hogaa yahi dil agar hai yahi be-qaraari tah-e-khaak bhi khaak aaraam hogaa sanam tiin paanch aap kaa chaar din hai sadaa ek allaah kaa naam hogaa ye mizhgaan vo hain jin ki kaavish se ik din mushabbak jigar misl-e-baadaam hogaa buto jab ki aaghaaz-e-ulfat hai ye kuchh khudaa jaane kyaa is kaa anjaam hogaa duaa ke evaz gaaliyaan aur to kyaa inaayaat yahi mujh ko inaam hogaa ye do ik balaa hain giraftaar un kaa koi subh hogaa koi shaam hogaa yahi subh aur shaam tak gar amal hai amal teri zulfon kaa taa-shaam hogaa main vo naa-tavaan huun agar zabh kiije na ik naala mujh se sar-anjaam hogaa ju bismil tu kartaa hai bismillaah ai shokh tire kaam mein meraa bhi kaam hogaa miri lag rahin chhat se aankhein hain dekho musharraf kab is se lab-e-baam hogaa kabhu tu bhi hogaa musalmaan ai but sadaa teraa jhuTaa hi paighaam hogaa shikaar-e-ajal honge ik roz ham sab hamesha na rustam na yaan saam hogaa kahaan hai vo said-afgani gor mein aah khudaa jaane kyaa haal-e-bahraam hogaa na sun meri 'ehsaa۔n' mubaarak tujhe ishq mujhe kyaa tiraa naam badnaam hogaa"
Abdul Rahman Ehsan DehlviAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
Quote
"marte dam naam tiraa lab ke jo aa jaae qarib ji ko ThanDak ho tap-e-gham na mire aae qarib bosa maangun to kahein mujh se ye bulvaa ke qarib kis kaa munh hai jo mire munh ke vo munh laae qarib haath dauDaaun na kyuun jabki vo yuun aae qarib paanv phailaaun na kyuun paanv jo phailaae qarib paas aauun to kahe paas-e-adab bhi hai zarur duur jaaun to vahaan jaae taqaazaa-e-qarib mujh ko ai pir-e-mughaan mohtasib-e-naa-hanjaar qurb-e-mahshar hai ki be-qurbi se bulvaae qarib gham-e-duri se tire kuche ke royaa aashiq vaan se jab rauza-e-rizvaan use laae qarib meri bedaari se ai daulat-e-bedaar ho kyaa bakht jaagein jo mujhe apne to bulvaae qarib mere naalon se na din chain na shab ko hai qaraar marg ke pahunche hain ab to mire ham-saae qarib aisi majlis se agar rahiye baiid aulaa hai dil dimaagh apnaa to vo aur ye ghaughaa-e-qarib paas jaaun to machal kar kahe chal yaan se duur duur baiThun to ghuDak kar mujhe farmaae qarib ishq ke pech mein huun chaahiye hamdam pas-e-marg ishq-e-pechaan hi miri qabr ke lagvaae qarib mushk-o-sandal ho tire rang se baalon ham-sar ghussa dil ko mire kis tarah na aa jaae qarib kuchh radif ab ki baDhaa qaafiya 'ehsaan' tu badal phir qarib aise biThaa tujh ko vo biThlaae qarib"
Abdul Rahman Ehsan DehlviAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
Quote
"mahfil ishq mein jo yaar uThe aur baiThe hai vo malka ki subuk-baar uThe aur baiThe raqs mein jab ki vo tarraar uThe aur baiThe be-qaraari se ye bimaar uThe aur baiThe kasrat-e-khalq vo mahfil mein hai teri ik shakhs nahin mumkin hai ki yakbaar uThe aur baiThe sar uThaane ki bhi fursat nahin detaa hai hamein chu habaab-e-sar-e-ju yaar uThe aur baiThe khauf-e-badnaami se tujh paas na aae varna ham kai baar sun ai yaar uThe aur baiThe dard kyuun baiThe biThaae tire sar mein uTThaa ki qalaq se tire sau baar uThe aur baiThe teri divaar to kyaa gumbad-e-dvvaar bhi yaar chaahiye aah-e-sharar-baar uThe aur baiThe aap ki majlis-e-aali mein alarraghm raqib ba-ijaazat ye gunahgaar uThe aur baiThe aap se ab to is ahqar ko sarokaar nahin jis jagah chaahiye sarkaar uThe aur baiThe hazrat-e-dil sipar-e-daagh-e-junun ko le kar yuun bar-e-ishq jigar-khvaar uThe aur baiThe chuun dileraana koi munh pe sipar ko le kar sher-e-khun-khvaar ko lalkaar uThe aur baiThe kafashdoz un ke jab apne hi baraabar baiThein aisi majlis mein to paizaar uThe aur baiThe zaahid aayaa to gavaaraa nahin rindon ham ko apni is bazm mein makkaar uThe aur baiThe donon kaanon ko pakaD kar yahi hai us ki sazaa kah do sau baar ye ayyaar uThe aur baiThe baiThte uThte isi tarah ke likh aur ghazal jis mein 'ehsaan' ho na paikaar uThe aur baiThe"
Abdul Rahman Ehsan DehlviAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
Quote
"tumhaare qad se hain qaaem qayaamatein kyaa kyaa uThi hain baiThe biThaae ye aafatein kyaa kyaa labon pe jaan kaa aanaa ye khvaab kaa jaanaa khayaal-e-lab mein hain teri halaavatein kyaa kyaa dil apnaa tum ko diyaa phir rakhe vafaa ki umiid bayaan apni karun main himaaqatein kyaa kyaa zamin mein sharm se us qad ki gaD gayaa hai sarv hui hain us ko na haasil nadaamatein kyaa kyaa phiraa 'adam se koi ab talak na uktaa kar khudaa hi jaane vahaan hain faraaghatein kyaa kyaa tu be-nasib hai naaseh tujhe kahun kyaa main ki ranj-e-ishq mein hoti hain raahatein kyaa kyaa gale se lagte hi jitne gile the bhuul gae vagarna yaad thiin mujh ko shikaayatein kyaa kyaa mujhe hai girya main machlaae par hansi aati kahe hai sun ke tu jab meri haalatein kyaa kyaa kahe hai mujh ko miraa shoala-ru ba-sad tashnia bayaan teri karun main sharaartein kyaa kyaa kahun jo aa to phire mere gird pahron talak jo bolun jaa to jataae naqaahatein kyaa kyaa Daraae aah se gar aah sun ke main na Darun dikhaae ashk ki apni saraayatein kyaa kyaa jo zulf dekhi to chimTi mujhe balaa ki tarah nasib apne ki batlaaein shaamatein kyaa kyaa jo kholun band-e-qabaa phir khule hai teri zabaan nikaaltaa hai tu is mein qabaahatein kyaa kyaa jo surma duun huun to ik tutiyaa saa baandhe hai kahun jo baat banaae hikaayatein kyaa kyaa mariz-e-'ishq tu ho aur mujh ko rog lage rahein hain ab ki zamaane mein chaahatein kyaa kyaa jo zikr kal kaa kiyaa main ne munh chhupaa ke kahaa tujhe bhi yaad hain 'ehsaan' kinaayatein kyaa kyaa"
Abdul Rahman Ehsan DehlviAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
Quote
"chuTkiyaan li hi ki uTh baiTh jo mar jaae koi ai sitamgar tire haathon se kidhar jaae koi kyuun ki guzregi na guzroge jo tum yaar idhar pas ye marzi hai ki bas jaise guzar jaae koi mire marne se tiraa shohra huaa yaa qismat ki bigaD jaae koi aur sanvar jaae koi ek dam kaa bhi bharosaa nahin maanind-e-hayaat bahr-e-hasti mein habaab aa ke ubhar jaae koi shama saan sar na kaTe us kaa ye imkaan nahin bazm-e-khubaan mein jo baa-dida-e-tar jaae koi dil miraa tum ne churaayaa mujhe ulTi hai ye fikr na khabar paae koi taa na biphar jaae koi aap ke ahd mein ye rasm hai dekhi ham ne ki gunahgaar koi aur ho Dar jaae koi ghar se niklo ki hamein ghar ki na kuchh yaad rahe ghar mein baiThe hue kahti ho na ghar jaae koi yuun to samjhe sune aati nahin 'ehsaa۔n' ko samajh kyaa tamaashaa ho ki dil le ke mukar jaae koi"
Abdul Rahman Ehsan DehlviAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
Quote
"nim-chaa jald myaan hi na miyaan kijiyegaa nim-jaanon kaa abhi kaam ravaan kijiyegaa taaqat-e-garmi-e-khurshid-e-qayaamat hai kise taab ki daagh-e-jigar se na fughaan kijiyegaa dil mein tum ho na jalaao mire dil ko dekho meraa nuqsaan nahin apnaa ziyaan kijiyegaa kah do baqqaal pisar se ki miraa dil le kar qasd-e-akhz-e-dil-e-aghyaar na haan kijiyegaa dil se dil paas hain to bhi hai dilon ki khvaahish kyaa dilon ki kahin dilli mein dukaan kijiyegaa aur bhi soz-e-jigar bazm mein hogaa raushan shama saan qata agar meri zabaan kijiyegaa yaar jab saath safar mein ho kahaan ki rozi roz rozon hi mein id-e-ramzaan kijiyegaa kis se yaarab kahun ahvaal ye kahtaa hai vo but apni yaan raam-kahaani na bayaan kijiyegaa vo dhuaan-dhaar si zulfein hain nazar mein har shab vird ab sura-e-vallail-o-dukhaan kijiyegaa shahr-e-dil ki tumhein aabaadi kaa kuchh bhi hai khayaal yaa jahaan rahiyegaa viraan hi vahaan kijiyegaa meri jaanib se kaho mohtasib-e-shahr se ye sai-e-arzaani-e-mai az dil-o-jaan kijiyegaa paani pi pi ke tumhein deveinge dushnaam ye rind tum subuk hoge agar baada giraan kijiyegaa jald 'ehsaan' se kaho vo but-e-khud-kaam aayaa ab to lillaah kahin band zabaan kijiyegaa"
Abdul Rahman Ehsan DehlviAbdul Rahman Ehsan Dehlvi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb