"khuleinge jab talak asraar koi utar jaaegaa dariyaa paar koi masihaa der hoti jaa rahi hai kahin mar jaaegaa bimaar koi main reza reza hotaa jaa rahaa huun mujhe darkaar hai me'maar koi main shab bhar toDtaa rahtaa huun is ko uThaa detaa hai phir divaar koi mujhe maqtal sadaaein de rahaa hai kahin gunji hai phir lalkaar koi laDaa huun jis tarah main khud se tanhaa havaa hai barsar-e-paikaar koi ye meraa des hai jannat khudaa ki hai vaaris koi daa'vedaar koi kisi ne qaid kar liin faakhtaaein uThaa kar le gayaa ashjaar koi miraa ik dard ye bhi hai ki meraa kahaani mein nahin kirdaar koi to kyaa main bhi banaataa daaere hi jo mil jaati mujhe parkaar koi"
phir se paagal banaa rahi hai mujhe — Alamdar Hussain
"phir se paagal banaa rahi hai mujhe phir tiri yaad aa rahi hai mujhe yaad bhi teri tere jaisi hai har ghaDi aazmaa rahi hai mujhe aa na jaaun kisi fareb mein main zindagi phir bulaa rahi hai mujhe dil ki dhaDkan sunun to lagtaa hai zindagi gungunaa rahi hai mujhe ek ummid us ke aane ki aaj phir gudgudaa rahi hai mujhe chhoD de mere haal par mujh ko zindagi kyuun sataa rahi hai mujhe raat vo chaand kab kaa Duub chukaa aur tu ab bataa rahi hai mujhe raat suraj abhi nahin niklaa be-vajah kyuun jagaa rahi hai mujhe raat vo teri dastaras mein nahin khvaab jis ke dikhaa rahi hai mujhe ek surat si vaahime jaisi tirgi mein Daraa rahi hai mujhe"
پھر سے پاگل بنا رہی ہے مجھے پھر تری یاد آ رہی ہے مجھے یاد بھی تیری تیرے جیسی ہے ہر گھڑی آزما رہی ہے مجھے آ نہ جاؤں کسی فریب میں میں زندگی پھر بلا رہی ہے مجھے دل کی دھڑکن سنوں تو لگتا ہے زندگی گنگنا رہی ہے مجھے ایک امید اس کے آنے کی آج پھر گدگدا رہی ہے مجھے چھوڑ دے میرے حال پر مجھ کو زندگی کیوں ستا رہی ہے مجھے رات وہ چاند کب کا ڈوب چکا اور تو اب بتا رہی ہے مجھے رات سورج ابھی نہیں نکلا بے وجہ کیوں جگا رہی ہے مجھے رات وہ تیری دسترس میں نہیں خواب جس کے دکھا رہی ہے مجھے ایک صورت سی واہمے جیسی تیرگی میں ڈرا رہی ہے مجھے
फिर से पागल बना रही है मुझे फिर तिरी याद आ रही है मुझे याद भी तेरी तेरे जैसी है हर घड़ी आज़मा रही है मुझे आ न जाऊँ किसी फ़रेब में मैं ज़िंदगी फिर बुला रही है मुझे दिल की धड़कन सुनूँ तो लगता है ज़िंदगी गुनगुना रही है मुझे एक उम्मीद उस के आने की आज फिर गुदगुदा रही है मुझे छोड़ दे मेरे हाल पर मुझ को ज़िंदगी क्यूँ सता रही है मुझे रात वो चाँद कब का डूब चुका और तू अब बता रही है मुझे रात सूरज अभी नहीं निकला बे-वजह क्यूँ जगा रही है मुझे रात वो तेरी दस्तरस में नहीं ख़्वाब जिस के दिखा रही है मुझे एक सूरत सी वाहिमे जैसी तीरगी में डरा रही है मुझे

More by Alamdar Hussain
View all →More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"