SHAWORDS

pyaar kaa abr khul ke barsaa hai — Niyaz Husain Lakhwera

"pyaar kaa abr khul ke barsaa hai TuuT kar main ne tujh ko chaahaa hai is se baDh kar judaai kyaa hogi ab to aankhon se khuun bahtaa hai shaayad ab phir kabhi na mil paaein main ne khvaabon mein tujh ko dekhaa hai ik kiran ko taras rahe hain ham sehn-e-dil mein baDaa andheraa hai sab ko phulon ki aarzu hai 'niyaaz' kaun patton se pyaar kartaa hai"
Urdu

پیار کا ابر کھل کے برسا ہے ٹوٹ کر میں نے تجھ کو چاہا ہے اس سے بڑھ کر جدائی کیا ہوگی اب تو آنکھوں سے خون بہتا ہے شاید اب پھر کبھی نہ مل پائیں میں نے خوابوں میں تجھ کو دیکھا ہے اک کرن کو ترس رہے ہیں ہم صحن دل میں بڑا اندھیرا ہے سب کو پھولوں کی آرزو ہے نیازؔ کون پتوں سے پیار کرتا ہے

Hindi

प्यार का अब्र खुल के बरसा है टूट कर मैं ने तुझ को चाहा है इस से बढ़ कर जुदाई क्या होगी अब तो आँखों से ख़ून बहता है शायद अब फिर कभी न मिल पाएँ मैं ने ख़्वाबों में तुझ को देखा है इक किरन को तरस रहे हैं हम सेहन-ए-दिल में बड़ा अंधेरा है सब को फूलों की आरज़ू है 'नियाज़' कौन पत्तों से प्यार करता है

pyaar kā abr khul ke barsā hai
Niyaz Husain Lakhwera
Niyaz Husain Lakhwera
Niyaz Husain Lakhwera
poet12 quotes

More by Niyaz Husain Lakhwera

View all →
Quote
"aaina pyaar kaa ik aks tiraa maange hai dil bhare shahr mein bas teri sadaa maange hai jism khud-sar hai ki har dard sahe jaataa hai aisaa ziddi hai ki jiine ki sazaa maange hai raat Dhal jaae to haathon ki lakirein jaagein be-sukun zehn hamesha ye duaa maange hai khush badan ho to zaraa khud ko bachaa kar rakkho mausam-e-zard koi peD haraa maange hai main hi khud ko kisi maqtal mein sajaa kar rakh duun tez aandhi koi nanhaa saa diyaa maange hai kaun hai jo ki saraabon se ulajhnaa chaahe kaun hai jo ki mire ghar kaa pata maange hai parvarish jis mein gul-e-taaza ki hoti hai 'niyaaz' pyaar kaa phuul vahi aab-o-havaa maange hai"
Niyaz Husain LakhweraNiyaz Husain Lakhwera
Quote
"vo ek shakhs ki jo aaftaab jaisaa hai qarib aae to taaza gulaab jaisaa hai khudaa kare ki kabhi bhi na TuTne paae ye teraa meraa milan ek khvaab jaisaa hai zaraa bhi tez havaa ho to kaanp uThtaa hai vo khush-jamaal to shaakh-e-gulaab jaisaa hai kuchh aise lagtaa hai jaise guzar gaiin sadiyaan tiri judaai kaa mausam azaab jaisaa hai samay ke tez bagulon ki zad mein Thahraa huun mire vajud kaa dariyaa habaab jaisaa hai tiri jabin pe ibaarat hai din-e-ishq 'niyaaz' tiraa vajud muqaddas kitaab jaisaa hai"
Niyaz Husain LakhweraNiyaz Husain Lakhwera
Quote
"andheri shab hai zarurat nahin bataane ki miri taraf se ijaazat hai lauT jaane ki koi to ho jo mizaaj-e-aashnaa-e-dilbar ho kisi ke paas to chaabi ho is khazaane ki vo chaahtaa to mujhe sang-dil banaa detaa zyaadti mire dil par mire khudaa ne ki main dusron ke gharon ko bachaa rahaa huun magar kisi ko fikr nahin meraa ghar bachaane ki main apne aap se munkir huaa to TuuT gayaa ye dushmani mire andar ki intihaa ne ki jise harif samajh kar kiyaa hai qatl 'niyaaz' vo aabru thaa usi be-navaa gharaane ki"
Niyaz Husain LakhweraNiyaz Husain Lakhwera
Quote
"qillat khulus ki hai mohabbat kaa kaal hai is shahr-e-naa-sipaas mein jiinaa muhaal hai peDon pe chaandni ke hayule hain mahv-e-raqs kamre mein tirgi ki lakiron kaa jaal hai saanson kaa rabt jaise musalsal azaab ho vo shakhs kyaa jiye jise teraa khayaal hai lamhon ne chhin li hai ruton se shaguftagi ye saal mausamon ke taghayyur kaa saal hai ab to shikast-e-jaan ke amal se najaat de ye naa-tavaan vajud dukhon se niDhaal hai chiDiyaan chahak chahak ke pareshaan ho gaiin kavvon kaa shor ghar ki fazaa kaa vabaal hai phulon kaa lams chaand ki ThanDak bhi hech hai vo khush badan to aap hi apni misaal hai aa phir se mere pyaar ki taqdis ban 'niyaaz' aa kaanpte labon pe tiraa hi savaal hai"
Niyaz Husain LakhweraNiyaz Husain Lakhwera
Quote
"koi aaseb hai saaya hai ki jaadugar hai jaane kyaa baat hai har shakhs ke dil mein Dar hai ek hi rele mein bah jaaegi khasta buniyaad sail-e-be-mehr ke shaanon pe hamaaraa ghar hai tere dil mein bhi mohabbat ki haraarat na rahi meraa sarmaaya-e-ehsaas bhi muTThi-bhar hai saaneha hai ki hamein luuTaa gayaa hai phir bhi shahr luT jaane kaa ilzaam hamaare sar hai jism ujDi hui basti kaa khanDar lagtaa hai ruuh viraan jaziron ki tarah banjar hai mujhe dhaDkaa hai to bas TuuT ke gir jaane kaa soch kaa koh-e-garaan-baar mire sar par hai jism andar se har ik lamha chaTakhtaa hai 'niyaaz' yuun to qabron ki si khaamoshi mire baahar hai"
Niyaz Husain LakhweraNiyaz Husain Lakhwera
Quote
"tan-e-nahif ki khaatir ridaa nahin maangi bahut dinon se khudaa se duaa nahin maangi khud apni laash ko apne lahu se Dhaanpaa hai hari ruton se gulon ki qabaa nahin maangi chhaton pe pyaas paDaav kiye rahi lekin siyaah-bakht gharon ne ghaTaa nahin maangi koi shajar na kharidaa khulus-e-jaan ke evaz shadid dhuup mein ThanDi havaa nahin maangi sukut-e-marg labon ko pasand hai itnaa jo mustaaar mile vo sadaa nahin maangi nuzul-e-mausam-e-tahqir-e-jaan se bachne ki gulaab aise badan ne duaa nahin maangi"
Niyaz Husain LakhweraNiyaz Husain Lakhwera

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil