SHAWORDS

raah mein yuun to marhale hain bahut — Balbir Rathi

HomeBalbir RathiGhazal
"raah mein yuun to marhale hain bahut ham-safar phir bhi aa gae hain bahut ye alag baat ham na DhunDh sake varna manzil ke raaste hain bahut jin ko manzil na raaste kaa pata aise rahbar hamein mile hain bahut aao suraj ko chhin kar laaein ye andhere to baDh gae hain bahut duur ki manzilein hain nazron mein ab ke yaaron ke hausle hain bahut ik junun kaa jo daur thaa mujh par us ke qisse hi ban gae hain bahut baat kyaa hai ki in dinon ham log sochte kam hain bolte hain bahut"
Urdu

راہ میں یوں تو مرحلے ہیں بہت ہم سفر پھر بھی آ گئے ہیں بہت یہ الگ بات ہم نہ ڈھونڈھ سکے ورنہ منزل کے راستے ہیں بہت جن کو منزل نہ راستے کا پتہ ایسے رہبر ہمیں ملے ہیں بہت آؤ سورج کو چھین کر لائیں یہ اندھیرے تو بڑھ گئے ہیں بہت دور کی منزلیں ہیں نظروں میں اب کے یاروں کے حوصلے ہیں بہت اک جنوں کا جو دور تھا مجھ پر اس کے قصے ہی بن گئے ہیں بہت بات کیا ہے کہ ان دنوں ہم لوگ سوچتے کم ہیں بولتے ہیں بہت

Hindi

राह में यूँ तो मरहले हैं बहुत हम-सफ़र फिर भी आ गए हैं बहुत ये अलग बात हम न ढूँढ सके वर्ना मंज़िल के रास्ते हैं बहुत जिन को मंज़िल न रास्ते का पता ऐसे रहबर हमें मिले हैं बहुत आओ सूरज को छीन कर लाएँ ये अँधेरे तो बढ़ गए हैं बहुत दूर की मंज़िलें हैं नज़रों में अब के यारों के हौसले हैं बहुत इक जुनूँ का जो दौर था मुझ पर उस के क़िस्से ही बन गए हैं बहुत बात क्या है कि इन दिनों हम लोग सोचते कम हैं बोलते हैं बहुत

raah meñ yuuñ to marhale haiñ bahut
Balbir Rathi
Balbir Rathi
Balbir Rathi
poet20 quotes

More by Balbir Rathi

View all →
Quote
"'ataa kar di kisi ne vo balaa ki tishnagi mujh ko na raas aaegi shaayad zindagi-bhar zindagi mujh ko miri ye bebasi to khair kuchh aisi nahin hamdam magar jiine nahin degi tiri bechaargi mujh ko bhalaa main rutba-e-divaangi kaa mustahiq kab thaa kisi ke pyaar ne de di yunhi divaangi mujh ko koi manzil bhi ho vo meri manzil ho nahin sakti azal se hi mili hai be-sabab aavaargi mujh ko mujhe to zindagi mein baarhaa mahsus hotaa hai mire maa'sum khvaabon ne hi di hai naghmagi mujh ko"
Balbir RathiBalbir Rathi
Quote
"kisi bhi khvaab mein jab dilkashi baaqi nahin rahti to phir jazbaat mein vo baat hi baaqi nahin rahti guzar to ho hi jaati hai sanbhal kar chalne vaalon ki magar phir zindagi mein zindagi baaqi nahin rahti tumhein achchhi nahin lagtin miri be-baakiyaan lekin takalluf mein bhi aksar dosti baaqi nahin rahti javaani mein bhalaa kaise karein ham hosh ki baatein ki aisi be-khudi mein aagahi baaqi nahin rahti haTaao saaghar-o-minaa nahin mai ki talab mujh ko hasin aankhon se pi kar tishnagi baaqi nahin rahti"
Balbir RathiBalbir Rathi
Quote
"phir fazaa mein koi zahrilaa dhuaan bhar jaaegaa phir kisi din apne andar kuchh na kuchh mar jaaegaa phailtaa jaataa hai ye jo har-taraf ik shor saa ek sannaaTaa kisi dahliz par dhar jaaegaa yuun rahaa to saare manzar bad-numaa ho jaaeinge ik bhayaanak rang har tasvir mein bhar jaaegaa kar rahaa hai apni basti mein jo khushiyon ki talaash koi tikhaa dard apne saath le kar jaaegaa yuun achaanak bhi huaa kartaa hai koi haadisa mujh ko kyaa maalum thaa vo is tarah mar jaaegaa chhaa gai nafrat ki gahri dhund itni duur tak pyaar kaa suraj vahaan tak kaun le kar jaaegaa raah-rau ab tak khaDe hain raah mein is aas par koi aaegaa idhar aur kuchh na kuchh kar jaaegaa"
Balbir RathiBalbir Rathi
Quote
"abhi tak talkhi-e-mai mein kami maa'lum hoti hai labon par ik balaa ki tishnagi maa'lum hoti hai tasavvur mein tumhaari muskuraahaT rach gai shaayad mujhe har shai masarrat se bhari maa'lum hoti hai sunaa hai zindagi mein kashmakash se log Darte hain mujhe to kashmakash hi zindagi maa'lum hoti hai miri maa'sumiyat to dekh lo fart-e-mohabbat mein tumhaari be-rukhi bhi dil-lagi maa'lum hoti hai khulus-e-dil se kyaa jazba numaayaan kar diyaa tum ne ki har surat mujhe kuchh ajnabi maa'lum hoti hai kisi ki dosti mein dushmani ki bu to kyaa aae mujhe to dushmani bhi dosti maa'lum hoti hai"
Balbir RathiBalbir Rathi

More on Safar

View all →
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar