SHAWORDS

raaz dil kaa bataa ke pachhtaae — Fauzia Mughal

HomeFauzia MughalGhazal
"raaz dil kaa bataa ke pachhtaae un ki baaton mein aa ke pachhtaae haal puchhaa na zindagaani mein khaak mein vo milaa ke pachhtaae koi apnaa nazar nahin aayaa un ki mahfil mein jaa ke pachhtaae zakhm-e-dil par namak chhiDakte hain zakhm un ko dikhaa ke pachhtaae naam hotaa jo 'ishq mein marte ham to daaman bachaa ke pachhtaae apne ashkon ko 'fauziya' pi lo ye na ho vo rulaa ke pachhtaae"
Urdu

راز دل کا بتا کے پچھتائے ان کی باتوں میں آ کے پچھتائے حال پوچھا نہ زندگانی میں خاک میں وہ ملا کے پچھتائے کوئی اپنا نظر نہیں آیا ان کی محفل میں جا کے پچھتائے زخم دل پر نمک چھڑکتے ہیں زخم ان کو دکھا کے پچھتائے نام ہوتا جو عشق میں مرتے ہم تو دامن بچا کے پچھتائے اپنے اشکوں کو فوزیہؔ پی لو یہ نہ ہو وہ رلا کے پچھتائے

Hindi

राज़ दिल का बता के पछताए उन की बातों में आ के पछताए हाल पूछा न ज़िंदगानी में ख़ाक में वो मिला के पछताए कोई अपना नज़र नहीं आया उन की महफ़िल में जा के पछताए ज़ख़्म-ए-दिल पर नमक छिड़कते हैं ज़ख़्म उन को दिखा के पछताए नाम होता जो 'इश्क़ में मरते हम तो दामन बचा के पछताए अपने अश्कों को 'फ़ौज़िया' पी लो ये न हो वो रुला के पछताए

raaz dil kā batā ke pachhtā.e
Fauzia Mughal
Fauzia Mughal
Fauzia Mughal
poet5 quotes

More by Fauzia Mughal

View all →
Quote
"vaasta ham se to pahle hi vo kam rakhte hain vo hamin hain jo mohabbat kaa bharam rakhte hain khol dein bhed hamaare na kisi din aankhein is liye jaan ke ham aankhon ko nam rakhte hain main adaa-band nahin par ye sunaa hai main ne vo adaa khaas hai jo mere sanam rakhte hain baanTte rahte hain muskaanein ham apni sab mein aur chhupaa kar dil-e-hamdard mein gham rakhte hain dekh lete hain bulaa kar unhein chaahein jis dam kam se kam itnaa to ham aankhon mein dam rakhte hain ho na jaae kahin naaraaz miraa vaada-shikan 'fauziya' is ke liye sar ko bhi kham rakhte hain"
Fauzia MughalFauzia Mughal
Quote
"de gai lazzat miri tanhaai ki 'aadat mujhe ab shikaayat hai kisi se aur na hai vahshat mujhe khoj mein apni nikalne kaa safar achchhaa lagaa lamha-lamha khud ko paane mein mili raahat mujhe meri apni zindagi hai daastaan-dar-daastaan qisse auron ke paDhun main ab kahaan fursat mujhe khud-parasti khud-sataai mujh ko duniyaa se mili jaa-ba-jaa DhunDegi mere naam se shohrat mujhe 'fauziya' is dil mein pinhaan hain talaatum-kheziyaan maar na Daale kahin jazbaat ki shiddat mujhe"
Fauzia MughalFauzia Mughal
Quote
"na main khayaal mein tere na main gumaan mein huun yaqin dil ko nahin hai ki is jahaan mein huun khudaayaa rakhiyegaa duniyaa mein sarfaraaz mujhe main pahle 'ishq ke pahle hi imtihaan mein huun vo jis ko dekh ke bachche bhi saare chhoD gae main ek TuuTaa khilaunaa kisi dukaan mein huun ye aur baat na chhat hai na is mein darvaaze khudaa kaa shukr hai apne hi main makaan mein huun baDaa tavil safar thaa ye zindagi kaa miri farishton sone do mujh ko ki main thakaan mein huun"
Fauzia MughalFauzia Mughal
Quote
"tum se mil kar ye lagaa khud se mulaaqaat hui aaj ye baab-e-mohabbat mein nai baat hui ab na pahli si tavajjoh na vo pahlaa saa suluk khatm ab jaise har ik rasm-e-muraa’aat hui chhaT gae sar se mire ranj-o-alam ke baadal raat-bhar aankhon se ashkon ki vo barsaat hui ham musaafir the rah-e-ishq ke yaa khaana-ba-dosh din kahin ham ne guzaaraa to kahin raat hui ham se insaanon ki is aalam-e-hasti mein bhalaa kis ko maa'lum hai kaise basar-auqaat hui aakhiri vaqt mein vo aae hain pursish ko miri fasl-e-jaan suukh gai apni to barsaat hui 'fauziya' mil hi gai manzil-e-maqsud hamein shukr hai gardish-e-ayyaam ko bhi maat hui"
Fauzia MughalFauzia Mughal

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud