SHAWORDS

rabt asiron ko abhi us gul-e-tar se kam hai — Idris Babar

HomeIdris BabarGhazal
"rabt asiron ko abhi us gul-e-tar se kam hai ek rakhna saa hai divaar mein dar se kam hai harf ki lau main udhar aur baDhaa detaa huun aap batlaaein to ye khvaab jidhar se kam hai haath duniyaa kaa bhi hai dil ki kharaabi mein bahut phir bhi ai dost tiri ek nazar se kam hai soch lo main bhi huaa chup to giraan guzregaa ye andheraa jo mire shor o sharar se kam hai vo bujhaa jaae to ye dil ko jalaa de phir se shaam hi kaun si raahat mein sahar se kam hai khaak itni na uDaaein to hamein bhi 'baabar' dasht achchhaa hai ki viraani mein ghar se kam hai"
Urdu

ربط اسیروں کو ابھی اس گل تر سے کم ہے ایک رخنہ سا ہے دیوار میں در سے کم ہے حرف کی لو میں ادھر اور بڑھا دیتا ہوں آپ بتلائیں تو یہ خواب جدھر سے کم ہے ہاتھ دنیا کا بھی ہے دل کی خرابی میں بہت پھر بھی اے دوست تری ایک نظر سے کم ہے سوچ لو میں بھی ہوا چپ تو گراں گزرے گا یہ اندھیرا جو مرے شور و شرر سے کم ہے وہ بجھا جائے تو یہ دل کو جلا دے پھر سے شام ہی کون سی راحت میں سحر سے کم ہے خاک اتنی نہ اڑائیں تو ہمیں بھی بابرؔ دشت اچھا ہے کہ ویرانی میں گھر سے کم ہے

Hindi

रब्त असीरों को अभी उस गुल-ए-तर से कम है एक रख़्ना सा है दीवार में दर से कम है हर्फ़ की लौ मैं उधर और बढ़ा देता हूँ आप बतलाएँ तो ये ख़्वाब जिधर से कम है हाथ दुनिया का भी है दिल की ख़राबी में बहुत फिर भी ऐ दोस्त तिरी एक नज़र से कम है सोच लो मैं भी हुआ चुप तो गिराँ गुज़रेगा ये अँधेरा जो मिरे शोर ओ शरर से कम है वो बुझा जाए तो ये दिल को जला दे फिर से शाम ही कौन सी राहत में सहर से कम है ख़ाक इतनी न उड़ाएँ तो हमें भी 'बाबर' दश्त अच्छा है कि वीरानी में घर से कम है

rabt asīroñ ko abhī us gul-e-tar se kam hai
Idris Babar
Idris Babar
Idris Babar
poet78 quotes

More by Idris Babar

View all →
Quote
"is se phulon vaale bhi aajiz aa gae hain teri khaatir jo guldasta DhunD rahaa hai dil ko dhakke khaate nikaale jaate dekh ke saahil apnaa pakkaa dariyaa DhunD rahaa hai tasma khulaa jaise aazaad talaazma ho vaah ek pahan ke dusraa juutaa DhunD rahaa hai us ke flat se baahar koi duur kaa dost paas ke bus stop kaa rasta DhunD rahaa hai bas kar de ab, kab se matla DhunD rahaa hai kyaa koi tisraa chauthaa misraa DhunD rahaa hai ma kiye bint-e-mochi ko chauthaa saal hai tab se vo job aur karmu rishta DhunD rahaa hai har masnui pankhaa jhuTaa make-up kar ke zaat ki shahr-panaah mein rakhna DhunD rahaa hai lamp jalaate aur bujhaa ke phir se jalaate yaa vo mujhe gum kartaa hai yaa DhunD rahaa hai party Thap mehmaan-e-khususi shaair-e-aazam patli gali mein paan kaa khokhaa DhunD rahaa hai yaaro baiThe nahrein khodo baatein chhoDo main use DhunD luun mujhe jo tanhaa DhunD rahaa hai ik laDki apne liye laDki DhunD rahi hai ik laDkaa apne liye laDkaa DhunD rahaa hai mobile par app lagaao kaam chalaao kaun puraane shahar kaa naqsha DhunD rahaa hai roze rakhvaao khulvaao jannat paao banda to do vaqt kaa khaanaa DhunD rahaa hai meri iklauti T-shirt pe qabza jamaae achchhaa rōmmate apnaa kachchhaa DhunD rahaa hai khil-khilaa ke load-shedding se faiz uThaa ke yusuf-jaani tujhe ye andhaa DhunD rahaa hai gadle paani se dhulte station par kis ko garmaa-garm si chaae kaa piyaala DhunD rahaa hai siine par do qabron kai taaviz bandhe hain bach kar, dhup! mujhe ik saaya DhunD rahaa hai u-e-t mein chhuTTiyaan hone vaali hain dost kaun saa hostel kis kaa kamra DhunD rahaa hai"
Idris BabarIdris Babar
Quote
"dekh na is tarah guzaar arsa-e-chashm se mujhe fursat-e-did ho na ho mohlat-e-khvaab de mujhe bas-ki guzishtani hai vaqt bas-ki shikastani hai dil khvaab koi dikhaa ki jo yaad na aa sake mujhe khaam hi rakh ke pukhtagi shakl hai ik shikast ki aatish-e-vasl ki jagah khaak-e-firaaq de mujhe haan ai ghubaar-e-aashnaa main bhi thaa ham-safar tiraa pi gaiin manzilein tujhe khaa gae raaste mujhe der se ro nahin sakaa duur huun so nahin sakaa gham jo rulaa sake mujhe sam jo sulaa sake mujhe"
Idris BabarIdris Babar
Quote
"yahaan se chaaron taraf raaste nikalte hain Thahar Thahar ke ham is khvaab se nikalte hain kisi kisi ko hai tahzib-e-dasht-aaraai kai to khaak uDaate hue nikalte hain yahaan rivaaj hai zinda jalaa diye jaaein vo log jin ke gharon se diye nikalte hain ajiib dasht hai dil bhi jahaan se jaate hue vo khush hain jaise kisi baagh se nikalte hain ye log so rahe honge jabhi to aaj talak zaruf-e-khaak se khvaabon bhare nikalte hain sitaare dekh ke khush huun ki roz meri tarah jo kho gae hain unhein DhunDne nikalte hain"
Idris BabarIdris Babar
Quote
"ab masaafat mein to aaraam nahin aa saktaa ye sitaara bhi mire kaam nahin aa saktaa ye miri saltanat-e-khvaab hai aabaad raho is ke andar koi bahraam nahin aa saktaa jaane khilte hue phulon ko khabar hai ki nahin baagh mein koi siyah-faam nahin aa saktaa har havaa-khvaah ye kahtaa thaa ki mahfuz huun main bujhne vaalon mein miraa naam nahin aa saktaa main jinhein yaad huun ab tak yahi kahte honge shaahzaada kabhi naakaam nahin aa saktaa Dar hi lagtaa hai ki raste mein na rah jaaun kahin kahlavaa dijiye mein shaam nahin aa saktaa"
Idris BabarIdris Babar
Quote
"bhaai khudaa ke bande jaanein dil ko jaise raam kiyaa apni badhaai ho duniyaa par chaar chhe din jo kaam kiyaa ek nishaani si saahil par saari kahaani chhoD gai Dubti naav par us aakhiri mauj ne kyaa inaam kiyaa pyaare dushman jivan jogi aakhir tum bhi dekh hi loge khud ko khair se kahte sunoge ham ne mazaaq jo aam kiyaa naam pataa be-shak mat likkho pahunchegaa tum bas khat likkho aur is had tak gumnaami mein paidaa kis ne naam kiyaa khushiyaan gham jab hans ro baiThe aakhir ko sab chup ho baiThe bujhtaa alaav unghte taare ham ne khuub kalaam kiyaa kuchh mauzun naa-mauzun kartaa yaa yuun kartaa to kyon kartaa lekin khaali batri ne bharvaan banduq kaa kaam kiyaa"
Idris BabarIdris Babar
Quote
"matla ghazal kaa ghair zaruri kyaa kyuun kab kaa hissa hai zindagi chokleT cake hai thoDaa thoDaa sab kaa hissa hai ab jo bar mein tanhaa piitaa huun coffē ke naam pe zahr us ki talkh si shirini mein us ke lab kaa hissa hai lok kahaaniyon mein maa-baad-e-jadid ki pesh-aamad jaise fiction ki re-cell value mein mazhab kaa hissa hai ke-pi-ke afghanistan hai aur balochistan iraan sindh hai chiin mein aur pyaaraa punjab arab kaa hissa hai sohni yaa sohne se pahle haq hai ghaDe par paani kaa kab se ghaDi mein jab aur tab se zyaada ab kaa hissa hai maanaa hijr ki raat hai ye par kitni khushi ki baat hai ye gham ki rim-rim-jhim ki hamdam bazm-e-tarab kaa hissa hai cab chalaane vaale daaji tab chalaane vaalaa saaji vo jo adab kaa hissa the to ye bhi adab kaa hissa hai tai huaa nazm hi mustaqbil hai paan-sau bil hai bhai pyaaro aankh na maaro ghazal hamaare hasab-nasab kaa hissa hai ik din jab buDhe painter ke paas sharaab ke paise nahin the chhat par ye ghanghor ghaTaa tab se is pub kaa hissa hai sex jo pahle saakhtiyaati roz-o-shab kaa hissa thi ab maabaad-e-saakhtiyaati roz-o-shab kaa hissa hai qaafiya bahr radif vaghaira jaise harif zarif vaghaira in ko ThanDaa soDa pilaao bhaai ye kab kaa qissa hai"
Idris BabarIdris Babar

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil