SHAWORDS

rah-e-ulfat mein jab tark-e-tavassut kaa maqaam aayaa — Khwaja Shauq

HomeKhwaja ShauqGhazal
"rah-e-ulfat mein jab tark-e-tavassut kaa maqaam aayaa na duniyaa mere kaam aai na main duniyaa ke kaam aayaa asiri ki fazaa kis darja hasrat-khez hoti hai nasheman kaa tasavvur bhi jo aayaa naa-tamaam aayaa hamaari zaat se hai kitni dilchaspi zamaane ko hamesha zer-e-ghaur aayaa to bas apnaa hi naam aayaa vafaa ki raah mein aasaaniyon kaa zikr hi kyaa hai yahaan jo bhi maqaam aayaa baDaa mushkil maqaam aayaa nasha kaisaa nahin ehsaas tak kuchh talkhi-e-mai kaa kahein kis se ki kyaa guzri jahaan gardish mein jaam aayaa visaal-e-dost ki manzil nahin maalum kab aae maqaam-e-hosh se guzre to hairat kaa maqaam aayaa zamaane par ayaan hone ko thaa raaz-e-alam meraa tiraa anjaan ho jaanaa bhi kis mauqe pe kaam aayaa na jaane vaqt ki tabdiliyaan kyaa kyaa dikhaati hain chaman vaalon ke haathon ab chaman kaa intizaam aayaa vufur-e-shauq mein insaan khud ko bhuul jaataa hai tum aae saamne to jab samajh mein ye maqaam aayaa usul-e-mai-kadaa aise banaa rakkhe hain saaqi ne jo niklaa be-khabar niklaa jo aayaa tishna-kaam aayaa shikaayat ki bhi gunjaaish kahaan hai 'shauq' phulon ko khizaan-e-zindagi ban kar bahaaron kaa payaam aayaa"
Urdu

رہ الفت میں جب ترک توسط کا مقام آیا نہ دنیا میرے کام آئی نہ میں دنیا کے کام آیا اسیری کی فضا کس درجہ حسرت خیز ہوتی ہے نشیمن کا تصور بھی جو آیا نا تمام آیا ہماری ذات سے ہے کتنی دلچسپی زمانے کو ہمیشہ زیر غور آیا تو بس اپنا ہی نام آیا وفا کی راہ میں آسانیوں کا ذکر ہی کیا ہے یہاں جو بھی مقام آیا بڑا مشکل مقام آیا نشہ کیسا نہیں احساس تک کچھ تلخیٔ مے کا کہیں کس سے کہ کیا گزری جہاں گردش میں جام آیا وصال دوست کی منزل نہیں معلوم کب آئے مقام ہوش سے گزرے تو حیرت کا مقام آیا زمانے پر عیاں ہونے کو تھا راز الم میرا ترا انجان ہو جانا بھی کس موقع پہ کام آیا نہ جانے وقت کی تبدیلیاں کیا کیا دکھاتی ہیں چمن والوں کے ہاتھوں اب چمن کا انتظام آیا وفور شوق میں انسان خود کو بھول جاتا ہے تم آئے سامنے تو جب سمجھ میں یہ مقام آیا اصول میکدہ ایسے بنا رکھے ہیں ساقی نے جو نکلا بے خبر نکلا جو آیا تشنہ کام آیا شکایت کی بھی گنجائش کہاں ہے شوقؔ پھولوں کو خزان زندگی بن کر بہاروں کا پیام آیا

Hindi

रह-ए-उल्फ़त में जब तर्क-ए-तवस्सुत का मक़ाम आया न दुनिया मेरे काम आई न मैं दुनिया के काम आया असीरी की फ़ज़ा किस दर्जा हसरत-ख़ेज़ होती है नशेमन का तसव्वुर भी जो आया ना-तमाम आया हमारी ज़ात से है कितनी दिलचस्पी ज़माने को हमेशा ज़ेर-ए-ग़ौर आया तो बस अपना ही नाम आया वफ़ा की राह में आसानियों का ज़िक्र ही क्या है यहाँ जो भी मक़ाम आया बड़ा मुश्किल मक़ाम आया नशा कैसा नहीं एहसास तक कुछ तल्ख़ी-ए-मय का कहें किस से कि क्या गुज़री जहाँ गर्दिश में जाम आया विसाल-ए-दोस्त की मंज़िल नहीं मा'लूम कब आए मक़ाम-ए-होश से गुज़रे तो हैरत का मक़ाम आया ज़माने पर अयाँ होने को था राज़-ए-अलम मेरा तिरा अंजान हो जाना भी किस मौक़े पे काम आया न जाने वक़्त की तब्दीलियाँ क्या क्या दिखाती हैं चमन वालों के हाथों अब चमन का इंतिज़ाम आया वुफ़ूर-ए-शौक़ में इंसान ख़ुद को भूल जाता है तुम आए सामने तो जब समझ में ये मक़ाम आया उसूल-ए-मै-कदा ऐसे बना रक्खे हैं साक़ी ने जो निकला बे-ख़बर निकला जो आया तिश्ना-काम आया शिकायत की भी गुंजाइश कहाँ है 'शौक़' फूलों को ख़िज़ान-ए-ज़िंदगी बन कर बहारों का पयाम आया

rah-e-ulfat meñ jab tark-e-tavassut kā maqām aayā
Khwaja Shauq
Khwaja Shauq
Khwaja Shauq
poet21 quotes

More by Khwaja Shauq

View all →
Quote
"masaafat zindagi aur haadson mein itni mubham hai khushi kahte hain jis ko ik zaraa saa vaqfa-e-gham hai bahaar-e-husn pinhaan hai junun tahrik-e-aalam hai jahaan ham hain vahaan gunjaaish-e-fikr-o-nazar kam hai nigaah-e-vaqt mein donon bhi shaanein paai jaati hain kahin zakhm-e-jigar hai aur kahin zakhmon kaa marham hai mazaaq-e-aam se kyaa mutmain honge nazar vaale shuur-e-shaadmaani tak nahin hai gham to phir gham hai machaate hain tabaahi pahle phir taskin dete hain musalsal ham pe ehsaan gulsitaan vaalon kaa kyaa kam hai vahi dil kaa lahu hai ashk kahiye yaa hansi kahiye bhaDak uTThe to shoala narm paD jaae to shabnam hai ba-qaid-e-hosh to vo hain rag-e-jaan ke qarin lekin talab hadd-e-junun mein ho to ye bhi faasla kam hai chhupaa leti hai khush-poshi bhi kyaa kyaa zakhm daaman mein sadaa-e-khanda-e-gul ek fariyaad-e-munazzam hai mizaaj-e-dahr kyaa un ki nazar ko dekh kar chup huun mujhe maalum hai haalaat mein jitnaa bhi dam-kham hai payaam-e-dost sunne gosh-bar-aavaaz rahtaa huun dhaDaktaa dil nahin pahlu mein jiitaa jaagtaa gham hai vo kaise log hain yaarab jo mar kar bhi nahin marte yahaan to zindagi mein zindagi kaa shaaiba kam hai ajab aalam hai 'shauq' ehsaas-e-gham ki paasdaari kaa ba-zaahir khushk hain aankhein magar daamaan-e-dil nam hai"
Khwaja ShauqKhwaja Shauq
Quote
"laala-o-gul kaa lahu laakh bahaayaa jaae ye chaman chhoD ke ham se to na jaayaa jaae phir rahe hain sabhi chehron pe naqaabein Daale kis ko haalaat kaa aaina dikhaayaa jaae rang par jashn-e-bahaaraan jabhi aa saktaa hai phuul kaanTon mein koi farq na paayaa jaae apni tahzib hi ikhlaas-o-ravaadaari hai is ko haTne se ba-har-haal bachaayaa jaae sab baraabar ke hain haqdaar chaman-saazi mein phir kise harf-e-ghalat kah ke miTaayaa jaae khud-bakhud qaum ki taqdir sanvar jaaegi pahle bigDaa huaa maahaul banaayaa jaae ji rahe hain sabhi ehsaas kuchal kar apnaa ab kise dard kaa ehsaas dilaayaa jaae sirf ham uTh gae uupar to koi shaan nahin shaan to ye hai ki girton ko uThaayaa jaae khuun bastaa hai tamannaaon kaa aankhein kyaa hain kaun saa khvaab nigaahon mein basaayaa jaae aadmiyyat ke charaaghon ki lavein tez karo na ho aisaa ki badan chhoD ke saaya jaae manzilein aisi bhi hain fikr-e-bashar se aage jin ki had mein na ishaara na kinaaya jaae 'shauq' dil naam to hai ek chaman zakhmon kaa silsila is kaa magar kis se milaayaa jaae"
Khwaja ShauqKhwaja Shauq
Quote
"chaak-dil ho koi yaa khaak-basar kyaa hogaa jis ko ehsaas nahin us ko asar kyaa hogaa haasil-e-dard ba-juz dida-e-tar kyaa hogaa nahin maalum yahaan apnaa guzar kyaa hogaa pahle aaghaaz-e-shab-e-gham to samajh mein aae baad ki baat hai hangaam-e-sahar kyaa hogaa dekh kar rang-e-jahaan-e-guzaraan hairaan huun jab ye aalam hai idhar kaa to udhar kyaa hogaa zindagi zauq-e-safar tark nahin kar sakti soch kar kyaa karun anjaam-e-safar kyaa hogaa aap to khair se barsaat kaa suraj Thahre ham gharibon ki umidon kaa magar kyaa hogaa is se to ruuh sanvarti hai nazar banti hai koi jalva bhi tiraa sarf-e-nazar kyaa hogaa duur tak vaqt ki raahon mein andheraa hai abhi dil na sulge to charaaghon kaa asar kyaa hogaa zindagi aur sukun ek khulaa dhokaa hai saans jab tak hai kashaakash se mafar kyaa hogaa khuun dil kaa na ho taamir mein jab tak shaamil mo'atabar koi bhi andaaz-e-nazar kyaa hogaa vaqt ke saath chale jaate hain jaane vaale sochte rahte hain sab zindagi bhar kyaa hogaa 'shauq' aazaar-talab fitrat-e-dil hai apni laakh ham chaaheinge aaraam magar kyaa hogaa"
Khwaja ShauqKhwaja Shauq
Quote
"chaak dil mein hai salaamat hai garebaan meraa kaun samjhegaa ilaahi gham-e-pinhaan meraa pahle ye thaa ki gham un kaa dil-e-viraan meraa ab main apnaa huun na dil hai kisi unvaan meraa tang daaman huun magar daaman-e-dil tang nahin hai miri hausla-mandi sar-o-saamaan meraa aaj zarraat-e-chaman bhi nahin vaaqif mujh se thaa kabhi naam gulistaan-ba-gulistaan meraa har nafas naghma-e-be-taabi-e-gham jaari hai chheDe jaataa hai koi saaz-e-rag-e-jaan meraa rukhsat ai sohbat-e-mai-khaana phir aa jaaungaa raasta dekhti hai gardish-e-dauraan meraa qaid huun apne khayaalaat ki zanjiron mein ban gayaa hai miraa ehsaas hi zindaan meraa apni be-naam adaaon ko bachaae rakhiye ye na ban jaaein kahin haal-e-pareshaan meraa dil ki dushvaar-pasandi ko duaa detaa huun kaam mushkil se huaa kartaa hai aasaan meraa mere afkaar ki khushbu hai kai phulon mein har gulistaan nazar aataa hai gulistaan meraa paas-e-aadaab-e-mohabbat mujhe 'shauq' itnaa hai chaak hone nahin paataa hai garebaan meraa"
Khwaja ShauqKhwaja Shauq
Quote
"ruuh kaa karb hai jiine ki sazaa hone ko ham bhi hain teri tarah khud se judaa hone ko laakh ho nashtar-e-gham sina-kushaa hone ko meraa daaman nahin phulon ki qabaa hone ko zauq-e-parvaaz sanvartaa hai giraftaari se ham tah-e-daam nahin aae rihaa hone ko aap qaail hon jafaa ke to yahi kyaa kam hai kaun kahtaa hai pashimaan-e-jafaa hone ko talkhi-e-kaam-o-dahan aa gai dil tak saaqi der kitni hai dar-e-mai-kadaa vaa hone ko maslak-e-dida-varaan ahl-e-havas kyaa jaanein naa-rasi kahte hain manzil pe rasaa hone ko kis qadar garm hai baazaar-e-siyaasat-kaari der lagti nahin hangaama bapaa hone ko husn ghaafil nahin arbaab-e-vafaa se lekin koi to baat ho shaayaan-e-jafaa hone ko hil na jaae kahin buniyaad zamin-e-dil ki gham kaa tufaan hai ab had se sivaa hone ko khafagi bhi tiri az-raah-e-inaayat hai magar log kyaa samjheinge is tarah khafaa hone ko muddaton baad to khvaab-e-shab-e-ishrat TuuTaa vaqt darkaar hai ab hosh bajaa hone ko 'shauq' zanjir-e-anaasir mujhe kyaa rokegi hukm ki der hai zindaan se rihaa hone ko"
Khwaja ShauqKhwaja Shauq
Quote
"milne ki tarah ham se vo ab tak kahaan mile kam-kam mile kashida mile bad-gumaan mile ai kaash zindagi ko vo jazb-e-nihaan mile dekhe mujhe koi to tumhaaraa nishaan mile kis hausle se ham ne basar ki hai zindagi tufaan se bhi mile to ba-azm-e-javaan mile nabz-e-chaman pe baad mein rakkheinge ungliyaan pahle tiraa mizaaj to ai baaghbaan mile raahat ki saans rahzan-e-zauq-e-safar hui lamhe masarraton ke ghamon se giraan mile jab sohbat-e-chaman se hi dil apnaa bujh gayaa karnaa hai kyaa bahaar mile yaa khizaan mile kyaa jaane kyon kisi se dil apnaa na mil sakaa milne ke vaaste to kai mehrbaan mile dariyaa lahu kaa shahr ki galiyon mein thaa ravaan akhbaar mein likhe hue amn-o-amaan mile vo pesh-pesh the jinhein hosh-e-safar na thaa jo manzil-aashnaa the pas-e-kaarvaan mile har gham se mustaqil hai taalluq hayaat kaa dekhein kahaan se silsila-e-daastaan mile phulon ko lab-kushaai kaa haq hai chaman mein 'shauq' zakhmon ko kam se kam kabhi izn-e-bayaan mile"
Khwaja ShauqKhwaja Shauq

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi