SHAWORDS

rang hone lage zaahir mere — Sunil Aftab

HomeSunil AftabGhazal
"rang hone lage zaahir mere dhyaan rakh kuchh to musavvir mere yuun na aankhon se huaa kar ojhal bujhne lagte hain manaazir mere kaam aai na khamoshi meri raaz khul hi gae aakhir mere guunj uThaa naghmon se aangan meraa lauT aae sabhi taair mere"
Urdu

رنگ ہونے لگے ظاہر میرے دھیان رکھ کچھ تو مصور میرے یوں نہ آنکھوں سے ہوا کر اوجھل بجھنے لگتے ہیں مناظر میرے کام آئی نہ خموشی میری راز کھل ہی گئے آخر میرے گونج اٹھا نغموں سے آنگن میرا لوٹ آئے سبھی طائر میرے

Hindi

रंग होने लगे ज़ाहिर मेरे ध्यान रख कुछ तो मुसव्विर मेरे यूँ न आँखों से हुआ कर ओझल बुझने लगते हैं मनाज़िर मेरे काम आई न ख़मोशी मेरी राज़ खुल ही गए आख़िर मेरे गूँज उठा नग़्मों से आँगन मेरा लौट आए सभी ताइर मेरे

rañg hone lage zāhir mere
Sunil Aftab
Sunil Aftab
Sunil Aftab
poet47 quotes

More by Sunil Aftab

View all →
Quote
"un se har roz mulaaqaat kahaan hoti hai apni sochi hui har baat kahaan hoti hai shaam hote hi chamak uThte hain palkon pe charaagh apni aankhon mein bhalaa raat kahaan hoti hai ye to sab khvaabon-khayaalon ki hain baatein varna bichhDe logon se mulaaqaat kahaan hoti hai khel to aayaa huun main 'ishq mein aakhir baazi dekhnaa ye hai mujhe maat kahaan hoti hai dekhte rahte hain chup-chaap bas ik-dusre ko log milte hain koi baat kahaan hoti hai apne jazbaat bhi rishte bhi bachaae rakhnaa har kisi se ye karaamaat kahaan hoti hai"
Sunil AftabSunil Aftab
Quote
"jidhar bhi dekhtaa huun har taraf siyaasat hai nae nizaam se mujh ko baDi shikaayat hai hamein buzurg ye qisse sunaayaa karte the yahi fasaana thaa jo aaj ki haqiqat hai tumhaare saath miri chaahatein tumhin tak thiin tumhaare baa'd sabhi se mujhe mohabbat hai abhi khafaa hai phir aa kar gale lagaa legaa main jaantaa huun ye us ki puraani 'aadat hai ye hansti-khelti duniyaa ye zindagi ke rang karam usi kaa hai saaraa usi ki rahmat hai ye saaraa khel Tikaa hai hamaare karmon par tumhaare paas hai jitnaa vahi ghanimat hai"
Sunil AftabSunil Aftab
Quote
"safar mein ab ke dariyaa paD gayaa hai hamein rasta badalnaa paD gayaa hai bharosa kar liyaa thaa raushni par hamein ye daanv ulTaa paD gayaa hai hamaare phuul murjhaane lage hain na jaane kis kaa saaya paD gayaa hai tumhaare hijr mein jheli hai vo dhuup hamaaraa rang pakkaa paD gayaa hai bichhaDne vaale kyaa tujh ko khabar hai koi kitnaa akelaa paD gayaa hai ye baarish to bahut dilkash hai lekin hamein raste mein ruknaa paD gayaa hai tumhaare khvaab se bhar li hain aankhein ye saudaa ham ko mahngaa paD gayaa hai"
Sunil AftabSunil Aftab

More on Khamoshi

View all →
Quote
"tire bichhaDne kaa dukh apne khaandaan kaa dukh hamaari zaat ko hai saare kaarvaan kaa dukh huzur aap ko to 'ilm hai haqiqat kaa huzur aap to sunte the be-zabaan kaa dukh khamosh baiTh ke ik dusre ko sunte hain za'if peD samajhtaa hai naujavaan kaa dukh safar tavil hai aur zaad-e-raah bhi kam hai lagaa huaa hai mujhe nam-zada makaan kaa dukh safar mein tu hai magar paanv thak rahe hain mire thakaa rahaa hai mujhe yuun tiri thakaan kaa dukh kaniz-e-khaas banaa di gai thi shahzaadi use diyaa bhi gayaa to usi ki shaan kaa dukh gharib ke liye to dukh hi dukh hain duniyaa mein kabhi makaan kaa dukh hai kabhi dukaan kaa dukh nahin hai kuchh bhi yahaan is hisaar se baahar kahin khamoshi kaa gham hai kahin bayaan kaa dukh"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"vo bigDe hain ruke baiThe hain jhunjlaate hain laDte hain kabhi ham joDte hain haath gaahe paanv paDte hain gae hain hosh aise gar kahin jaane ko uThtaa huun to jaataa huun idhar ko aur udhar ko paanv paDte hain hamaaraa le ke dil kyaa ek bosa bhi nahin deinge vo yuun dil mein to raazi hain magar zaahir jhagaDte hain jo tum ko ik shikaayat hai to mujh ko laakh shikve hain lo aao mil bhi jaao ye kahin qisse nabaDte hain udhar vo aur aaina hai aur kaakul banaanaa hai idhar vahm aur khaamoshi hai aur dil mein bigaDte hain yahaan to sab hamaari jaan ko naaseh ban ke aate hain vahaan jaate hue dil chhuTte hain dam ukhaDte hain na dil mein ghar na jaa mahfil mein yaan bhi baiThnaa mushkil tire kuche mein ab zaalim kab apne paanv gaDte hain sahar ko rouun yaa un ko manaaun dil ko yaa rokun ye qismat vaade ki shab jhagDe sau sau aan paDte hain kabhi jhiDki kabhi gaali kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai bane kyuun kar ki sau sau baar ik dam mein bigaDte hain 'nizaam' un ki khamoshi mein bhi sadhaa lutf hain lekin jo baatein karte hain to munh se goyaa phuul jhaDte hain"
N
Nizam Rampuri
Quote
"vo dil mein aur qarib-e-rag-e-gulu bhi mile zaraa saa lutf magar ham se ru-ba-ru bhi mile jo koi vaaqif-e-aadaab-e-rang-o-bu bhi mile to ashk-e-khun mein bu-e-zakhm-e-aarzu bhi mile hazaar zakhm ko kyaa be-shumaar zakhm lage usi ke saath magar fursat-e-rafu bhi mile ye but-kada na sahi phir bhi mai-kada to nahin yahaan to ham ko kai rind be-vuzu bhi mile hamein to aarzu-e-izn-e-haaziri hai bahut zahe-nasib agar izn-e-guftugu bhi mile vo is ko kaise khamoshi qaraar de aakhir mire sukut mein jab jurm-e-guftugu bhi mile mile jahaan bhi payaam-e-hayaat-e-nau mujh ko maza to jab hai vahin mere yaar tu bhi mile vo ek aap hi apni misaal hai 'akhgar' aur aap jaise kai us ko hu-ba-hu bhi mile"
Haneef AkhgarHaneef Akhgar
Quote
"dil ko gham raas hai yuun gul ko sabaa ho jaise ab to ye dard ki surat hi davaa ho jaise har-nafs halqa-e-zanjir nazar aataa hai zindagi jurm-e-tamannaa ki sazaa ho jaise kaan bajte hain sukut-e-shab-e-tanhaai mein vo khamoshi hai ki ik hashr bapaa ho jaise ab to divaanon se yuun bach ke guzar jaati hai bu-e-gul bhi tire daaman ki havaa ho jaise kahte kahte gham-e-dil umr guzaari lekin phir bhi ehsaas ye hai kuchh na kahaa ho jaise 'hosh' be-taabi-e-ehsaas kaa aalam tauba mujh mein chhup kar vo mujhe dekh rahaa ho jaise"
Hosh TirmiziHosh Tirmizi
Quote
"bhuul kar pahlu-e-ummid main aayaa na gayaa jo pataa ham ko bataayaa thaa vo paayaa na gayaa qalam-andaaz-e-fanaa huun miri vaqat dekho main huun vo harf-e-mukarrar jo miTaayaa na gayaa is takalluf pe kahaan lutf ham-aaghoshi kaa aap se pahlu-e-tasvir mein aayaa na gayaa vo adaa aur thi ye aur hai phir aur sahi be-niyaazi se koi rang jamaayaa na gayaa is rukaavaT mein bhi nairang-e-dil-aavezi hai ruuTh jaane ki hai khubi ki manaayaa na gayaa de diyaa taaq se aaina uThaa kar un ko haal mujh se dil-e-hairaan kaa dikhaayaa na gayaa varaq-e-hashr lagaayaa hai adam ke pichhe jab miraa haal khamoshi se jataayaa na gayaa rabt-o-be-rabti-e-anfaas se kuchh bhi na huaa ye ghubaar-e-gham-e-dil thaa ki uDaayaa na gayaa bekasi-haa-e-tamannaa se hayaa aane lagi teri tasvir ko siine se lagaayaa na gayaa dekhnaa charkh-e-jafaa-kaar ki majburi ko is tarah ham ko giraayaa ki uThaayaa na gayaa ai 'vafaa' aarzu-e-marg ne ji chhoD diyaa dast-e-ahbaab se ab zahr bhi khaayaa na gayaa"
Abdul Hadi WafaAbdul Hadi Wafa