SHAWORDS

saamne khanjar rakh kar dekhein — Mohammad Ali Asar

"saamne khanjar rakh kar dekhein dil hai phuul ki patthar dekhein ek jazira ho aur ham tum chaaron-or samundar dekhein ab kyaa naam ki zebaaish hi har ghar ki takhti par dekhein dam-kham hai aandhi mein kitnaa aao diip jalaa kar dekhein aag hai donon ki aankhon mein jaltaa hai kis kaa ghar dekhein saamne manzar hi aate hain aap 'asar' pas-e-manzar dekhein"
Urdu

سامنے خنجر رکھ کر دیکھیں دل ہے پھول کہ پتھر دیکھیں ایک جزیرہ ہو اور ہم تم چاروں اور سمندر دیکھیں اب کیا نام کی زیبائش ہی ہر گھر کی تختی پر دیکھیں دم خم ہے آندھی میں کتنا آؤ دیپ جلا کر دیکھیں آگ ہے دونوں کی آنکھوں میں جلتا ہے کس کا گھر دیکھیں سامنے منظر ہی آتے ہیں آپ اثرؔ پس منظر دیکھیں

Hindi

सामने ख़ंजर रख कर देखें दिल है फूल कि पत्थर देखें एक जज़ीरा हो और हम तुम चारों-ओर समुंदर देखें अब क्या नाम की ज़ेबाइश ही हर घर की तख़्ती पर देखें दम-ख़म है आँधी में कितना आओ दीप जला कर देखें आग है दोनों की आँखों में जलता है किस का घर देखें सामने मंज़र ही आते हैं आप 'असर' पस-ए-मंज़र देखें

sāmne ḳhanjar rakh kar dekheñ
Mohammad Ali Asar
Mohammad Ali Asar
Mohammad Ali Asar
poet9 quotes

More by Mohammad Ali Asar

View all →
Quote
"aavaazon ke jangal mein sunaai nahin detaa vo bhiiD hai chehraa bhi sujhaai nahin detaa aafaaq ki vusat mein bikharne ko huun bechain kyuun jism ke zindaan se rihaai nahin detaa vo haqq-e-rifaaqat ki rivaayat kaa amiin hai vo haq bhi to ik bhaai ko bhaai nahin detaa paD jaae agar vaqt to is daur mein koi parbat to baDi baat hai raai nahin detaa baarish mein bhi vo bhigtaa rahtaa hai khushi se aandhi mein bhi vo peD duhaai nahin detaa be maange bhi de detaa hai shaahi jise chaahe aur maangne vaale ko gadaai nahin detaa vo shakhs jo rahtaa hai 'asar' aankh mein har-dam hairat hai ki khud mujh ko dikhaai nahin detaa"
Mohammad Ali AsarMohammad Ali Asar
Quote
"ghazal-mizaaj hai yaksar ghazal kaa lahja hai saraapaa jaise nazaakat kaa istiaara hai qadam qadam pe charaaghon ki saans rukti hai ki ab to shahron mein jiinaa azaab lagtaa hai jhulasti shaam badalne lagi hai pairaahan tire badan ki tamaazat mein sehr kaisaa hai shagufta harf-e-navaa ajnabi se lagte hain udaas lafzon se apnaa qadim rishta hai na mausamon mein mahak hai na rat-jagon mein asar tumhaare shahr kaa mausam bhi kitnaa phikaa hai chahaar-samt khayaalon ki ret bikhri hui hamaari pyaas kaa manzar ye reg-e-sahraa hai ab apni tishna-labi par na jaaiyegaa 'asar' samundaron kaa muhaafiz bhi aaj pyaasaa hai"
Mohammad Ali AsarMohammad Ali Asar
Quote
"TuuT kar rah gayaa aaine se rishta apnaa ek muddat hui dekhnaa nahin chehraa apnaa koi tufaan hai na ab koi talaatum dil mein saahil-e-dard pe Thahraa hai safina apnaa lafz-o-maa'ni ke nae phuul ubhar aaeinge naqsh ho jaae jo qirtaas pe lahja apnaa yaad khushbu hai chhupaane se kahaan chhupti hai mauj-e-gul khud hi banaa leti hai rasta apnaa jis ke jaane se munavvar hue palkon pe charaagh aaj tak us ne dikhaayaa nahin chehraa apnaa raat ke saath 'asar' lauT ke ghar jaataa hai raasta dekh rahaa hogaa daricha apnaa"
Mohammad Ali AsarMohammad Ali Asar

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud