Quote
"kar duaaein ki duaaon mein asar hotaa hai mehnati haath ke hisse mein samar hotaa hai ab faqiron ko vahi Taal diyaa karte hain maal-o-daulat se bharaa jin kaa bhi ghar hotaa hai aadhaa paani ho ghaDe mein to chhalaktaa hai bahut jhuk hi jaataa hai jo phaldaar shajar hotaa hai in chaTaanon ko badal detaa hai fan-paaron mein mehrbaan jin pe bhi vo jaan-e-hunar hotaa hai muntazir baiThe hain raste mein bichhaa kar aankhein dekhnaa ye hai ki kab un kaa guzar hotaa hai zulm ki aag ko itnaa na havaa do 'anjum' kaanp uThti hai zamin zulm agar hotaa hai"
