Quote
"jo chand lamhon mein ban gayaa thaa vo silsila khatm ho gayaa hai ye tum ne kaisaa yaqin dilaayaa mughaalta khatm ho gayaa hai zabaan honTon pe jaa ke phiki hi lauT aati hai kuchh dinon se namak nahin hai tire labon mein yaa zaaiqa khatm ho gayaa hai gumaan gaanv se main chalaa thaa yaqin ki manzilon ki jaanib magar tavahhum ke jangalon mein hi raasta khatm ho gayaa hai vo guftuguon ke narm chashme kahin fazaa mein hi jam gae hain vo saare message vo shaa'iri kaa tabaadala khatm ho gayaa hai kal ek sadma paDaa thaa ham par ke jis ne dil ko hilaa diyaa thaa chalo ke siine kaa jaaeza lein ki zalzala khatm ho gayaa hai mire tasavvur mein itni vus'at nahin ke teraa badan samaae main tujh ko sochun to aisaa lagtaa hai haafiza khatm ho gayaa hai main tujh ko paa kar hi mutmain huun ab aur koi talab nahin hai jo aaj tak thaa nasib se vo mutaalba khatm ho gayaa hai"
