"musibaton se bhari zindagi hai majnun ki shab-e-firaaq mein lailaa dukhi hai majnun ki ba-khubi jaanti hai meraa haal ye duniyaa vo is liye ki udaasi likhi hai majnun ki lagegaa vaqt talaffuz ko saaf hone mein pakaD ghazal pe abhi to bani hai majnun ki umaD rahi hai javaani bhi sab mein baar-e-digar vo jab se photo puraani mili hai majnun ki"
safar mein apne vo rakht-e-safar ko bhuul gae — Harsh Kumar Bhatnagar
"safar mein apne vo rakht-e-safar ko bhuul gae sunahri dhuup mein soe shajar ko bhuul gae jo sipiyon mein samundar kaa shor sunte the vo ahl-e-'aql bhi khud ab bhanvar ko bhuul gae lagi hai lat ye parindon ko jab se pinjron ki safar to kyaa hi kareinge shajar ko bhuul gae milaa nahin hai dar-o-baam jin ko qismat mein saDak pe sote hain marne ke Dar ko bhuul gae jo intizaar mein din bhi guzaar lete the vo musaafiron se mile muntazar ko bhuul gae"
سفر میں اپنے وہ رخت سفر کو بھول گئے سنہری دھوپ میں سوئے شجر کو بھول گئے جو سیپیوں میں سمندر کا شور سنتے تھے وہ اہل عقل بھی خود اب بھنور کو بھول گئے لگی ہے لت یہ پرندوں کو جب سے پنجروں کی سفر تو کیا ہی کریں گے شجر کو بھول گئے ملا نہیں ہے در و بام جن کو قسمت میں سڑک پہ سوتے ہیں مرنے کے ڈر کو بھول گئے جو انتظار میں دن بھی گزار لیتے تھے وہ مسافروں سے ملے منتظر کو بھول گئے
सफ़र में अपने वो रख़्त-ए-सफ़र को भूल गए सुनहरी धूप में सोए शजर को भूल गए जो सीपियों में समंदर का शोर सुनते थे वो अहल-ए-'अक़्ल भी ख़ुद अब भँवर को भूल गए लगी है लत ये परिंदों को जब से पिंजरों की सफ़र तो क्या ही करेंगे शजर को भूल गए मिला नहीं है दर-ओ-बाम जिन को क़िस्मत में सड़क पे सोते हैं मरने के डर को भूल गए जो इंतिज़ार में दिन भी गुज़ार लेते थे वो मुसाफ़िरों से मिले मुंतज़र को भूल गए

More by Harsh Kumar Bhatnagar
View all →"teri nazar ke aage main be-ikhtiyaar huun jo bhi huun jaisaa bhi huun main hi teraa pyaar huun tu maangtaa hai jis ko tahajjud ke vaqt mein main vo khudaa kaa bhejaa huaa e'tibaar huun jo gesuon se chal ke kamar pe kare hai raqs tere badan se girtaa huaa aabshaar huun ik naukri ki aas mein kitne hi mar gae main bhi to marne ke hi liye be-qaraar huun"
"baiThaa huun ghar banaane ko jangal mein aa ke main sayyaad ban gayaa huun nasheman giraa ke main tasvir khinch aisi miraa dard bhi dikhe 'izzat baTor lungaa ye aansu bahaa ke main kirdaar maskhare kaa baDe shauq se kiyaa sab ko hansaa rahaa huun udaasi chhupaa ke main mere khudaa nasib mein kuchh aise zakhm de auqaat bhuul baiThaa huun duniyaa mein aa ke main"
"hai tamanna ye miri koi tamanna na rahe saans to chalti rahe aankh mein qatra na rahe meri khvaahish hai ki imdaad mile sab ko yahaan ik du'aa aisi karun koi bhi andhaa na rahe baarhaa dekh magar saath mein aankhein bhi jhapak baat bhi kar ki tujhe baa'd mein shikva na rahe dosti aisi ho taa-'umr tujhe yaad rakhein aur gar 'ishq ho to koi bhi pardaa na rahe dil agar TuuTe to phir donon kaa aisaa TuuTe main kisi kaa na rahun tu bhi kisi kaa na rahe"
"khushi hai ye ki dar-o-baam bach gae ghar ke mare hain log magar kaafi mere lashkar ke kharidtaa hai vo gham bhi udhaar logon se jo kaam aataa hai mahfil mein us sukhanvar ke sunaa thaa ye ki mohabbat mein koi martaa nahin vo sab bhi Tuut gae jo bane the patthar ke milegaa kaise nishaan mere qatl kaa tum ko dabi hai laash miri biich mein samundar ke main roz aataa huun ghar khaali haath le kar jab main aaina bhi nahin dekh paataa hans kar ke"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"