SHAWORDS

shaam Dhale jab paapaa ghar mein aate the — Deepak Ghazipuri

"shaam Dhale jab paapaa ghar mein aate the Dar ke maare ham paDhne lag jaate the ham do bhaai aise pyaar jataate the ik roTi mein aadhaa aadhaa khaate the yaad hamein hain ham bachpan mein ammaan ke chappal juute DanDe sab sah jaate the bachpan mein naani daadi ke qisson mein pariyon ki nagri mein ghuum ke aate the antar-desi ek lifaafa hotaa thaa jis mein ham dil ke armaan likh jaate the us bhaai se aaj muqadma laDte hain jis ki khaatir duniyaa se laD jaate the"
Urdu

شام ڈھلے جب پاپا گھر میں آتے تھے ڈر کے مارے ہم پڑھنے لگ جاتے تھے ہم دو بھائی ایسے پیار جتاتے تھے اک روٹی میں آدھا آدھا کھاتے تھے یاد ہمیں ہیں ہم بچپن میں اماں کے چپل جوتے ڈنڈے سب سہہ جاتے تھے بچپن میں نانی دادی کے قصوں میں پریوں کی نگری میں گھوم کے آتے تھے انتردیسی ایک لفافہ ہوتا تھا جس میں ہم دل کے ارماں لکھ جاتے تھے اس بھائی سے آج مقدمہ لڑتے ہیں جس کی خاطر دنیا سے لڑ جاتے تھے

Hindi

शाम ढले जब पापा घर में आते थे डर के मारे हम पढ़ने लग जाते थे हम दो भाई ऐसे प्यार जताते थे इक रोटी में आधा आधा खाते थे याद हमें हैं हम बचपन में अम्माँ के चप्पल जूते डंडे सब सह जाते थे बचपन में नानी दादी के क़िस्सों में परियों की नगरी में घूम के आते थे अंतर-देसी एक लिफ़ाफ़ा होता था जिस में हम दिल के अरमाँ लिख जाते थे उस भाई से आज मुक़दमा लड़ते हैं जिस की ख़ातिर दुनिया से लड़ जाते थे

shaam Dhale jab paapā ghar meñ aate the
Deepak Ghazipuri
Deepak Ghazipuri
Deepak Ghazipuri
poet7 quotes

More by Deepak Ghazipuri

View all →
Quote
"baadalon se 'ishq ki sab hasraton ko chhoD kar bundein aati hain zamin par khvaahishon ko chhoD kar gaanv ki miTTi ki sondhi khushbuon ko chhoD kar ham kamaane aa gae apni jaDon ko chhoD kar zindagi mein ham ko itne zakhm phulon se mile dil lagaayaa kaanTon se ham ne gulon ko chhoD kar daur-e-haazir mein 'adaalat kaa yahi insaaf hai saare kaaraagaar mein hain mujrimon ko chhoD kar aasmaan chhu lein magar buniyaad se lipTe rahein peD zinda rah na paayaa hai jaDon ko chhoD kar hai faqat duniyaa mein ab to jhuuT kaa hi kaarobaar kaun sach kahtaa yahaan hai aainon ko chhoD kar"
Deepak GhazipuriDeepak Ghazipuri
Quote
"yahi hai un ki tamanna to kar ke dekhte hain fazaa mein khushbu ke jaise bikhar ke dekhte hain mahaaz-e-jang mein ik din utar ke dekhte hain nahin visaal mayassar to mar ke dekhte hain ye dekhte hain hamein jo Thahar ke dekhte hain hamaare vaaste kyaa kar guzar ke dekhte hain ki un ke dil mein hai dhokaa nazar farebi hai ye jhuuT hai ki hamein aankh bhar ke dekhte hain charaagh phir se jalaate hain yaar ulfat ke ki nafraton ke chalo par katar ke dekhte hain ki titliyon se hi kuchh rang udhaar lete hain chalo na khvaab mein kuchh rang bhar ke dekhte hain"
Deepak GhazipuriDeepak Ghazipuri
Quote
"hain sach yaa jhuuT ke rishte kabhi na dekh sake naqaab mein chhupe chehre kabhi na dekh sake ye naa-khushi se vasiyyat ko dekhne vaale pitaa ke haath ke chhaale kabhi na dekh sake tumhaare 'ishq ke sapne hazaar dekhe par tumhaaraa haath pakaD kar kabhi na dekh sake yuun dekhne ko to nafrat ke shahr dekhe hain jahaan mein pyaar ke qasbe kabhi na dekh sake kisi faqir se sabr-o-sukun kharid sakein ham itne aaj bhi paise kabhi na dekh sake qafas mein qaid parinde udaas baiThe hain ki aasmaan mein uD kar kabhi na dekh sake"
Deepak GhazipuriDeepak Ghazipuri
Quote
"yuun gham baiThe hain sirhaane hamaare ki jaise dost hain sachche hamaare hamaari raah ham se puchhti hai hue kyon gum-shuda sapne hamaare milegi manzil-e-maqsud ik din hain kahte paanv ke chhaale hamaare abhi khaamosh rahnaa laazmi hai abhi gardish mein hain taare hamaare tumhaari yaad mein roeingi aankhein tumhein DhunDheinge aaine hamaare hamein tab ghair bhi apnaa kaheinge ki din aaeinge jab achchhe hamaare viraasat mein mili daulat sabhi ko hain zimmedaariyaan hisse hamaare hamein hi aankh ab dikhlaa rahe hain ki ye shatranj ke pyaade hamaare"
Deepak GhazipuriDeepak Ghazipuri

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari