SHAWORDS

shab-e-siyaah se jo istifaada karte hain — Asad Badayuni

HomeAsad BadayuniGhazal
"shab-e-siyaah se jo istifaada karte hain vahi charaaghon kaa maatam ziyaada karte hain dilon kaa dard kahaan jaam mein utartaa hai harif-e-vaqt ko ham gharq-e-baada karte hain puraani talkhiyaan daaman bahut pakaDti hain kabhi nayaa jo koi ham iraada karte hain paDi thi dil ki zamin jaane kab se be-masraf ab us mein yaadon ke but istaada karte hain ajiib daur hai ye jis mein saare daanish-var dilon ko tang makaan ko kushaada karte hain ye aasmaan-e-vatan kyuun ridaa hamaari hai ham is zamin ko kaise labaada karte hain"
Urdu

شب سیاہ سے جو استفادہ کرتے ہیں وہی چراغوں کا ماتم زیادہ کرتے ہیں دلوں کا درد کہاں جام میں اترتا ہے حریف وقت کو ہم غرق بادہ کرتے ہیں پرانی تلخیاں دامن بہت پکڑتی ہیں کبھی نیا جو کوئی ہم ارادہ کرتے ہیں پڑی تھی دل کی زمیں جانے کب سے بے مصرف اب اس میں یادوں کے بت ایستادہ کرتے ہیں عجیب دور ہے یہ جس میں سارے دانشور دلوں کو تنگ مکاں کو کشادہ کرتے ہیں یہ آسمان وطن کیوں ردا ہماری ہے ہم اس زمین کو کیسے لبادہ کرتے ہیں

Hindi

शब-ए-सियाह से जो इस्तिफ़ादा करते हैं वही चराग़ों का मातम ज़ियादा करते हैं दिलों का दर्द कहाँ जाम में उतरता है हरीफ़-ए-वक़्त को हम ग़र्क़-ए-बादा करते हैं पुरानी तल्ख़ियाँ दामन बहुत पकडती हैं कभी नया जो कोई हम इरादा करते हैं पड़ी थी दिल की ज़मीं जाने कब से बे-मसरफ़ अब उस में यादों के बुत ईस्तादा करते हैं अजीब दौर है ये जिस में सारे दानिश-वर दिलों को तंग मकाँ को कुशादा करते हैं ये आसमान-ए-वतन क्यूँ रिदा हमारी है हम इस ज़मीन को कैसे लबादा करते हैं

shab-e-siyāh se jo istifāda karte haiñ
Asad Badayuni
Asad Badayuni
Asad Badayuni
poet112 quotes

More by Asad Badayuni

View all →
Quote
"jalva-saamaan rukh-e-jaanaan na huaa thaa so huaa zarra zarra mah-e-taabaan na huaa thaa so huaa kuchh to pahle se hi afsurda the ahl-e-gulshan kuchh ye gham khun-e-bahaaraan na huaa thaa so huaa main ne dekhaa hai tiri kam-nigahi kaa anjaam aashnaa-e-gham-e-dauraan na huaa thaa so huaa ye inaayat ye tiraa jud-o-karam hai ki mujhe shikva-e-tangi-e-daamaan na huaa thaa so huaa allaah allaah mai-o-minaa kaa asar bhi kyaa hai kuchh ilaaj-e-gham-e-dauraan na huaa thaa so huaa ye tire sher tiraa husn-e-taghazzul 'asad' tire sheron se jo shaadaan na huaa thaa so huaa"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"shoala-e-tanhaai se sab baam-o-dar jal jaaeinge chand din ki baat hai buDhe khanDar jal jaaeinge ek din is dasht par suraj kaa dil aa jaaegaa ek din is dasht ke saare shajar jal jaaeinge jaaegaa azm-e-safar manzil pe tanhaa dosto raah ki garmi se sab ahl-e-safar jal jaaeinge sun rahaa huun jald hi barseinge sang-e-aaftaab aur mere shahr mein jitne hain ghar jal jaaeinge khaak rah jaaegi ik muTThi haqiqat ki faqat saare afsaane tavil-o-mukhtasar jal jaaeinge mujh ko kyon detaa hai tu unchi uDaanon ki sazaa dhuup kaa mausam hai zaalim mere par jal jaaeinge aag har lamha taaaqub kar rahi hai aap kaa aap 'asad' laakh rahiye baa-khabar jal jaaeinge"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"mire shajar tujhe mausam nayaa banaate rahein gulaab-e-sabr tiri Tahniyon pe aate rahein jo doston ki kamaanon ko tiir detaa hai hamein ye zarf bhi bakhshe ki zakhm khaate rahein bas ik charaagh hai apni mata-e-besh-bahaa so shaam aati rahe ham use jalaate rahein sahar ke rang darichon ko sair karte jaaein havaa ke jhonke khule aanganon mein aate rahein kabhi kabhi koi suraj tulu hotaa rahe ridaa-e-abr mein taare bhi munh chhupaate rahein fasil-e-shahr-e-anaa rafta rafta girti jaae ye zalzale miri jaan mein hamesha aate rahein"
Asad BadayuniAsad Badayuni
Quote
"jis ko honaa hai vo in aankhon se ojhal ho jaae us se pahle ki miraa kaam mukammal ho jaae main to bas dekhtaa rahtaa huun zaminon ke kaTaao aadmi sochne vaalaa ho to paagal ho jaae kahin aisaa na ho viraane hon phir se aabaad kahin aisaa na ho har shahr hi jangal ho jaae ye zamin jis pe hai gulzaaron ki taadaad bahut ye bhi ho saktaa hai kal ko vahi maqtal ho jaae reg-zaaron se bukhaaraat hi uThte hain magar kaun jaane ki ye garmi koi baadal ho jaae meraa pindaar hi divaar hai naakaami ki ye jo gir jaae to har khvaab mukammal ho jaae"
Asad BadayuniAsad Badayuni

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari