SHAWORDS

shab mein suraj ko ham nikaaleinge — Muneer Saifi

HomeMuneer SaifiGhazal
"shab mein suraj ko ham nikaaleinge pattharon mein bhi jaan Daaleinge ham safar kar chuke khalaaon mein ab samundar ko bhi khangaaleinge ye parinde hain mere dil ki tarah ji jahaan chaahaa ghar banaa leinge aane deinge na jism-o-jaan mein khizaan zakhm har dam haraa-bharaa leinge dard-o-gham ke sivaa bhalaa 'saifi' ham faqiron se log kyaa leinge"
Urdu

شب میں سورج کو ہم نکالیں گے پتھروں میں بھی جان ڈالیں گے ہم سفر کر چکے خلاؤں میں اب سمندر کو بھی کھنگالیں گے یہ پرندے ہیں میرے دل کی طرح جی جہاں چاہا گھر بنا لیں گے آنے دیں گے نہ جسم و جاں میں خزاں زخم ہر دم ہرا بھرا لیں گے درد و غم کے سوا بھلا سیفیؔ ہم فقیروں سے لوگ کیا لیں گے

Hindi

शब में सूरज को हम निकालेंगे पत्थरों में भी जान डालेंगे हम सफ़र कर चुके ख़लाओं में अब समुंदर को भी खंगालेंगे ये परिंदे हैं मेरे दिल की तरह जी जहाँ चाहा घर बना लेंगे आने देंगे न जिस्म-ओ-जाँ में ख़िज़ाँ ज़ख़्म हर दम हरा-भरा लेंगे दर्द-ओ-ग़म के सिवा भला 'सैफ़ी' हम फ़क़ीरों से लोग क्या लेंगे

shab meñ sūraj ko ham nikāleñge
Muneer Saifi
Muneer Saifi
Muneer Saifi
poet31 quotes

More by Muneer Saifi

View all →
Quote
"talab se bhi kuchh aur ziyaada milaa badan par ghamon kaa labaada milaa mujhe har jagah sarfaraazi mili ki gham kaa mujhe shaahzaada milaa bahut saadgi us ke bachpan mein thi javaani kaa qissa bhi saada milaa ki be-saaz-o-saamaan thaa is liye mujhe har safar be-iraada milaa zamin par tu sau aasmaan oDh le makaan tujh ko kitnaa kushaada milaa rag-e-sang jab bhi nichoDi gai gulon kaa lahu taaza taaza milaa hansi ko taraste hue lab mile har ik shakl par gham kaa ghaaza milaa"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"aql ke jaal mein phansi hi nahin zindagi aaj tak khuli hi nahin mujh mein jiitaa rahaa sadaa koi zindagi apni main ne ji hi nahin sakht itni anaa ki thi divaar phir kisi bhi tarah giri hi nahin main ne duniyaa sameT li to khulaa kaam ki koi chiiz thi hi nahin chaand ke saath ho gai rukhsat jaise vo is jahaan ki thi hi nahin jis se sairaab ruuh ho jaati aisi baarish kabhi hui hi nahin sainkaDon zakhm hain zamaane ke dil mein yaadon ki ik ani hi nahin qaid aankhon mein hai bayaabaan bhi gham ke kuuze mein ik nadi hi nahin"
Muneer SaifiMuneer Saifi
Quote
"ye saaat-e-rangini-e-afkaar rahegi taa-umr yuun hi garmi-e-baazaar haigi khushbu-e-hadis-e-lab-o-rukhsaar rahegi kal itni javaan zulf-e-shab-e-taar rahegi divaangi jo be-dar-o-divaar rahegi galiyon mein to zanjir ki jhankaar rahegi chhat kaaghzi miTTi ki ye divaar rahegi baarish ki inaayat to lagaataar rahegi duniyaa mein yunhi raunaq-e-pindaar rahegi kaandhon pe mire sar hai to dastaar rahegi sukhaa huaa patta to havaaon mein uDegaa dharti ki taraf shaakh-e-samar-daar rahegi suraj miri nas nas mein pighalne lagaa yaaro phir dil pe gham-o-dard ki yalghaar rahegi chaTTaan ke kaT jaane kaa imkaan bahut hai paani ki isi tarah jo raftaar rahegi baarish ke darichon se chamakne lagi bijli 'saifi' ye ghani shab sahar-aasaar rahegi"
Muneer SaifiMuneer Saifi

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud