SHAWORDS

shuur-e-faasla-e-khair-o-shar diyaa hai mujhe — Akhtar Usman

HomeAkhtar UsmanGhazal
"shuur-e-faasla-e-khair-o-shar diyaa hai mujhe tiri nigaah ne tabdil kar diyaa hai mujhe miraa maqaam kahin aur thaa pa lagtaa hai kisi ne rau mein kahin aur dhar diyaa hai mujhe bas ik gila saa tiri chashm-e-nim-baaz se hai ki us ne vaqt bahut mukhtasar diyaa hai mujhe mujhe khabar nahin saudaa hai yaa tajassus hai mire khamir ne kyaa dard-e-sar diyaa hai mujhe main apni raah banaa lungaa kohsaaron mein khirad ne koh-kani kaa hunar diyaa hai mujhe"
Urdu

شعور فاصلۂ خیر و شر دیا ہے مجھے تری نگاہ نے تبدیل کر دیا ہے مجھے مرا مقام کہیں اور تھا پہ لگتا ہے کسی نے رو میں کہیں اور دھر دیا ہے مجھے بس اک گلہ سا تری چشم نیم باز سے ہے کہ اس نے وقت بہت مختصر دیا ہے مجھے مجھے خبر نہیں سودا ہے یا تجسس ہے مرے خمیر نے کیا درد سر دیا ہے مجھے میں اپنی راہ بنا لوں گا کوہساروں میں خرد نے کوہ کنی کا ہنر دیا ہے مجھے

Hindi

शुऊ'र-ए-फ़ासला-ए-ख़ैर-ओ-शर दिया है मुझे तिरी निगाह ने तब्दील कर दिया है मुझे मिरा मक़ाम कहीं और था प लगता है किसी ने रौ में कहीं और धर दिया है मुझे बस इक गिला सा तिरी चश्म-ए-नीम-बाज़ से है कि उस ने वक़्त बहुत मुख़्तसर दिया है मुझे मुझे ख़बर नहीं सौदा है या तजस्सुस है मिरे ख़मीर ने क्या दर्द-ए-सर दिया है मुझे मैं अपनी राह बना लूँगा कोहसारों में ख़िरद ने कोह-कनी का हुनर दिया है मुझे

shu.ūr-e-fāsla-e-ḳhair-o-shar diyā hai mujhe
Akhtar Usman
Akhtar Usman
Akhtar Usman
poet19 quotes

More by Akhtar Usman

View all →

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri