"sang ko chhoD ke tu ne kabhi sochaa hi nahin apni hasti mein khudaa ko kabhi DhunDaa hi nahin uljhaa uljhaa saa hai kyuun apne bharam mein har-dam tu ne khud apne garebaan mein jhaankaa hi nahin tere hone se karam us kaa nazar aataa hai tujh se baDh kar koi shaahid vo dikhaataa hi nahin us ke bandon mein use DhunDh agar hai khvaahish vo sanam-khaanon ke dar par kabhi dikhtaa hi nahin lamha lamha vo samaayaa hai rag-o-pai mein 'sabaa' had se aage kabhi ehsaas ne chhoDaa hi nahin"
soz-e-firaaq dil mein chhupaae hue hain ham — Bubbles Hora Saba
"soz-e-firaaq dil mein chhupaae hue hain ham aur lab pe ik sukut sajaae hue hain ham jo aashnaa nahin hain mohabbat ki aanch se kyuun aas un se phir bhi lagaae hue hain ham shoale jo bujh chuke hain unhein tum havaa na do dil mein hi ek aag lagaae hue hain ham tauba re in ki sang-dili aur shauq-e-did kyaa khuub haal apnaa banaae hue hain ham kahne ko duur ham se bahut duur vo sahi par faasle dilon ke miTaae hue hain ham jaate hain de ke vo to 'sabaa' rut khizaaon ki dil ke chaman to phir bhi khilaae hue hain ham"
سوز فراق دل میں چھپائے ہوئے ہیں ہم اور لب پہ اک سکوت سجائے ہوئے ہیں ہم جو آشنا نہیں ہیں محبت کی آنچ سے کیوں آس ان سے پھر بھی لگائے ہوئے ہیں ہم شعلے جو بجھ چکے ہیں انہیں تم ہوا نہ دو دل میں ہی ایک آگ لگائے ہوئے ہیں ہم توبہ رے ان کی سنگ دلی اور شوق دید کیا خوب حال اپنا بنائے ہوئے ہیں ہم کہنے کو دور ہم سے بہت دور وہ سہی پر فاصلے دلوں کے مٹائے ہوئے ہیں ہم جاتے ہیں دے کے وہ تو صباؔ رت خزاؤں کی دل کے چمن تو پھر بھی کھلائے ہوئے ہیں ہم
सोज़-ए-फ़िराक़ दिल में छुपाए हुए हैं हम और लब पे इक सुकूत सजाए हुए हैं हम जो आश्ना नहीं हैं मोहब्बत की आँच से क्यूँ आस उन से फिर भी लगाए हुए हैं हम शो'ले जो बुझ चुके हैं उन्हें तुम हवा न दो दिल में ही एक आग लगाए हुए हैं हम तौबा रे इन की संग-दिली और शौक़-ए-दीद क्या ख़ूब हाल अपना बनाए हुए हैं हम कहने को दूर हम से बहुत दूर वो सही पर फ़ासले दिलों के मिटाए हुए हैं हम जाते हैं दे के वो तो 'सबा' रुत ख़िज़ाओं की दिल के चमन तो फिर भी खिलाए हुए हैं हम

More by Bubbles Hora Saba
View all →"jis ne jaanaa jahaan tamaashaa hai us ki Thokar mein ye zamaana hai be-gharaz haar-jit se jo ho zindagi us ki faatehaana hai fikr jo khud giraft mein rakkhe us kaa andaaz shaairaana hai garm rakhtaa hai jo khudi apni be-niyaazi se vo shanaasaa hai do hi pal kaa hai khel saaraa 'sabaa' baad mein khaak sab ko honaa hai"
"be-rukhi ne us ki kaisaa ye ishaaraa kar diyaa vaqt se pahle qayaamat kaa nazaaraa kar diyaa laakh kahne par bhi us ne rukh pe rakkhaa thaa naqaab ik jhalak ki aarzu ko naagavaaraa kar diyaa chal paDe daaman jhaTak kar ham ko pichhe chhoD kar tanhaa aaghaaz-e-safar par kyuun dobaara kar diyaa khud hi lau ummid ki us ne jagaai aur phir toD kar ummid khud hi be-kinaara kar diyaa kaisi bedardi se toDaa us ne naata pyaar kaa kyuun jahaan mein phir 'sabaa' ko be-sahaaraa kar diyaa"
"miri zindagi hai tanhaa tumhein kuchh asar to hotaa koi dost tum saa hotaa koi ham-safar to hotaa ye tamaam saae apne chalun kab talak sameTe koi ham-nashin to hotaa koi chaara-gar to hotaa kabhi kuchh gumaan hotaa mujhe manzilon kaa apni jise apnaa ham ne samjhaa vahi raahbar to hotaa main kahaan se laaun qismat jo banun tumhaare qaabil ki tumhaare ghar ke aage miraa koi ghar to hotaa hai ajiib kashmakash mein ye 'sabaa' ki bandagi bhi kabhi un ke dar ke laaeq kabhi meraa sar to hotaa"
"paas hone kaa ishaaraa mil gayaa ab to jiine kaa sahaaraa mil gayaa Dhal gayaa suraj to kuchh aisaa lagaa subh-e-nau kaa ik nazaaraa mil gayaa tum mile to mil gai hai zindagi marte marte bhi sahaaraa mil gayaa naa-umidi ko mili ummid ik ik sahaaraa jab tumhaaraa mil gayaa Dubne vaali thi kashti jaan ki ab to saahil kaa kinaaraa mil gayaa ye zamin-o-aasmaan kyaa hain 'sabaa' jab jahaan-e-ishq saaraa mil gayaa"
"khaamushi mein qayaas meraa hai bandishein hi libaas meraa hai khvaab phulon ke aankh ne gundhe phir chaman kyuun udaas meraa hai koi taabir-e-khvaab mil jaati kyaa muqaddar hi yaas meraa hai hasraton aaj duur hi rahnaa aaj phir dil udaas meraa hai tu guzar jaa udhar 'sabaa' ban kar ai sanam ye sipaas meraa hai"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"