"vo log mere bahut pyaar karne vaale the guzar gae hain jo mausam guzarne vaale the nai ruton mein dukhon ke bhi silsile hain nae vo zakhm taaza hue hain jo bharne vaale the ye kis maqaam pe sujhi tujhe bichhaDne ki ki ab to jaa ke kahin din sanvarne vaale the hazaar mujh se vo paimaan-e-vasl kartaa rahaa par us ke taur-tariqe mukarne vaale the tumhein to fakhr thaa shiraaza-bandi-e-jaan par hamaaraa kyaa hai ki ham to bikharne vaale the tamaam raat nahaayaa thaa shahr baarish mein vo rang utar hi gae jo utarne vaale the us ek chhoTe se qasbe pe rail Thahri nahin vahaan bhi chand musaafir utarne vaale the"
subh aataa huun yahaan aur shaam ho jaane ke baa'd — Jamal Ehsani
"subh aataa huun yahaan aur shaam ho jaane ke baa'd lauT jaataa huun main ghar naakaam ho jaane ke baa'd Dhaanp dete hain havas ko 'ishq ki poshaak mein log saare shahr mein badnaam ho jaane ke baa'd ik hujum-e-yaad hogaa in gali-kuchon ke biich dekho shahr-e-dil ki raunaq shaam ho jaane ke baa'd yaad karne ke sivaa ab kar bhi kyaa sakte hain ham bhuul jaane mein tujhe naakaam ho jaane ke baa'd khud jise mehnat mashaqqat se banaataa huun 'jamaal' chhoD detaa huun vo rasta 'aam ho jaane ke baa'd"
صبح آتا ہوں یہاں اور شام ہو جانے کے بعد لوٹ جاتا ہوں میں گھر ناکام ہو جانے کے بعد ڈھانپ دیتے ہیں ہوس کو عشق کی پوشاک میں لوگ سارے شہر میں بدنام ہو جانے کے بعد اک ہجوم یاد ہو گا ان گلی کوچوں کے بیچ دیکھو شہر دل کی رونق شام ہو جانے کے بعد یاد کرنے کے سوا اب کر بھی کیا سکتے ہیں ہم بھول جانے میں تجھے ناکام ہو جانے کے بعد خود جسے محنت مشقت سے بناتا ہوں جمالؔ چھوڑ دیتا ہوں وہ رستہ عام ہو جانے کے بعد
सुब्ह आता हूँ यहाँ और शाम हो जाने के बा'द लौट जाता हूँ मैं घर नाकाम हो जाने के बा'द ढाँप देते हैं हवस को 'इश्क़ की पोशाक में लोग सारे शहर में बदनाम हो जाने के बा'द इक हुजूम-ए-याद होगा इन गली-कूचों के बीच देखो शह्र-ए-दिल की रौनक़ शाम हो जाने के बा'द याद करने के सिवा अब कर भी क्या सकते हैं हम भूल जाने में तुझे नाकाम हो जाने के बा'द ख़ुद जिसे मेहनत मशक़्क़त से बनाता हूँ 'जमाल' छोड़ देता हूँ वो रस्ता 'आम हो जाने के बा'द

More by Jamal Ehsani
View all →"mujh ko vo bhi basaa-ghanimat thaa us se jo rishta-e-shikaayat thaa ab ye 'uqda khulaa ki us ke liye main mohabbat nahin zarurat thaa tu ne ehsaas hi na hone diyaa jo bhi kuchh thaa tiri badaulat thaa mujh pe us chashm-e-tar ne sahl kiyaa varna ye 'ishq to musibat thaa main ne vo hijr bhi guzaara hai jab tiraa qurb bhi nihaayat thaa"
"nashe ki lahr taari ho rahi hai miri aavaaz bhaari ho rahi hai raqibon par 'inaayat barsar-e-bazm bahut khaatir hamaari ho rahi hai sabhi mere maraz ko koste hain ye kyaa timaar-daari ho rahi hai chaman kaa raasta mat gher ke baiTh khafaa baad-e-bahaari ho rahi hai sab apne apne ghar mein mutmain hain mujhe kyon be-qaraari ho rahi hai gali ke ek ghar mein 'iid ke roz ye kaisi aah-o-zaari ho rahi hai sunaa hai us gali se 'aashiqon ki nai fehrist jaari ho rahi hai jo aae puchhtaa hai 'umr meri 'ajab timaardaari ho rahi hai mire pahlu mein vo hai aur mujh par 'ajab vahshat si taari ho rahi hai"
"muddaton baa'd shab-e-maah use dekhaa thaa par kisi aur ke hamraah use dekhaa thaa kyaa khabar thi ki kahaani koi ban jaaegi main ne kal bazm mein naagaah use dekhaa thaa vasl ki raat sitaaron ne baDi hasrat se gaah dekhaa thaa mujhe gaah use dekhaa thaa log use DhunDhne nikle to ye maa'lum huaa jis ne dekhaa thaa sar-e-raah use dekhaa thaa aaj ik 'umr ke baa'd us se milaa thaa lekin apne ahvaal se aagaah use dekhaa thaa us kaa kyaa Thiik ki logon ne ba-yak-vaqt 'jamaal' sar-e-mai-khaana-o-dargaah use dekhaa thaa"
"raat aati rahti hai din nikaltaa rahtaa hai aur khudaa ke bandon kaa kaam chaltaa rahtaa hai phir rahaa huun basti mein ye pata liye kab se ik charaagh us ghar mein din ko jaltaa rahtaa hai ek ghar hai main jis mein rahtaa huun khush-o-khurram ek baat hai jis se dil dahaltaa rahtaa hai main bhi aasmaanon mein roz izaafa kartaa huun vo bhi in zaminon kaa rukh badaltaa rahtaa hai ziist ki tamaazat mein shaakh-e-marg se aage raah-rau Thahartaa hai rasta chaltaa rahtaa hai 'ishq karne vaalon ko sirf ye suhulat hai kuchh na karne se bhi kuchh dil bahaltaa rahtaa hai main bisaat-e-duniyaa ko jab lapeT detaa huun koi dusraa mujh mein ghar badaltaa rahtaa hai"
"is samay koi nahin meri nigahbaani par ye ghaDi sakht kaDi hai tire zindaani par baa-khabar kar ke rah-e-ishq ki mushkil se tujhe faisla chhoD diyaa hai tiri aasaani par na havaa aur na miTTi pe kabhi ho paayaa jo bharosaa hai mujhe bahte hue paani par main abhi pahle khasaare se nahin niklaa huun phir bhi tayyaar hai dil dusri naadaani par kisi bhi vaqt badal saktaa hai lamha koi is qadar khush bhi na ho meri pareshaani par khatm hone ko hain ashkon ke zakhire bhi 'jamaal' roe kab tak koi is shahr ki viraani par"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"