SHAWORDS

sunahri dhuup se chehra nikhaar leti huun — Asima Tahir

HomeAsima TahirGhazal
"sunahri dhuup se chehra nikhaar leti huun udaasiyon mein bhi khud ko sanvaar leti huun mire vajud ke andar hai ik qadim makaan jahaan se main ye udaasi udhaar leti huun kabhi kabhi mujhe khud par yaqin nahin hotaa kabhi kabhi main khudaa ko pukaar leti huun janam janam ki thakaavaT hai mere siine mein jise main apne sukhan mein utaar leti huun main ab bhi yaad to karti huun aasima us ko usi kaa gham hai jise main sahaar leti huun"
Urdu

سنہری دھوپ سے چہرہ نکھار لیتی ہوں اداسیوں میں بھی خود کو سنوار لیتی ہوں مرے وجود کے اندر ہے اک قدیم مکان جہاں سے میں یہ اداسی ادھار لیتی ہوں کبھی کبھی مجھے خود پر یقیں نہیں ہوتا کبھی کبھی میں خدا کو پکار لیتی ہوں جنم جنم کی تھکاوٹ ہے میرے سینے میں جسے میں اپنے سخن میں اتار لیتی ہوں میں اب بھی یاد تو کرتی ہوں عاصمہ اس کو اسی کا غم ہے جسے میں سہار لیتی ہوں

Hindi

सुनहरी धूप से चेहरा निखार लेती हूँ उदासियों में भी ख़ुद को सँवार लेती हूँ मिरे वजूद के अंदर है इक क़दीम मकान जहाँ से मैं ये उदासी उधार लेती हूँ कभी कभी मुझे ख़ुद पर यक़ीं नहीं होता कभी कभी मैं ख़ुदा को पुकार लेती हूँ जनम जनम की थकावट है मेरे सीने में जिसे मैं अपने सुख़न में उतार लेती हूँ मैं अब भी याद तो करती हूँ आसिमा उस को उसी का ग़म है जिसे मैं सहार लेती हूँ

sunahrī dhuup se chehra nikhār letī huuñ
Asima Tahir
Asima Tahir
Asima Tahir
poet25 quotes

More by Asima Tahir

View all →
Quote
"apni aankhein jo band kar dekhun sabz khvaabon kaa main safar dekhun Dubne ki na tairne ki khabar ishq-dariyaa mein bas utar dekhun baad us ke nahin khabar kyaa hai aaine tak to chashm tar dekhun dil mein bajtaa huaa dhaDaktaa huaa apni tanhaai kaa gajar dekhun bain karti hui bahaaron mein khud mein ik shor-e-khair-o-shar dekhun khvaab ki lahlahaati vaadi mein khushbuon se banaa nagar dekhun aasmaan le rahaa hai angDaai titliyon ke nagar mein Dar dekhun mauja-e-gul ke haath mein lipTi 'aasima' dasht ki khabar dekhun"
Asima TahirAsima Tahir
Quote
"lafz khushbu mein Dhaaltaa manzar lijiye sher ban gayaa manzar kaisaa sundar thaa ik zamaane mein teri aankhon mein Dubtaa manzar rang mausam se uD gae saare canvas par paDaa rahaa manzar aap kaa jism bhi hai miTTi kaa ek naazuk saa bhurbhuraa manzar mujh ko hairat se maar Daalegaa aaine mein sajaa huaa manzar aah kamre mein jaagte rahnaa aah khiDki mein so gayaa manzar us ne daaman jhaTak liyaa tauba mere haathon se gir gayaa manzar tum yahaan the to thaa yahin par vo phir darakhton mein jaa chhupaa manzar koi aavaaz phir se gunji hai ho gayaa phir haraa-bharaa manzar kis ki aahaT hai suuni galiyon mein kis kaa khultaa hai raat kaa manzar koi muflis ki punji ho jaise joDti huun zaraa zaraa manzar"
Asima TahirAsima Tahir
Quote
"apni haalat pe aansu bahaane lage sard raaton mein khud ko jagaane lage surkh taaron ke hamraah kar ke safar khvaab-zaaron se kyuun aage jaane lage duur bajne lagi hai kahin baansuri ham bhi zindaan mein giit gaane lage jo basaarat basirat se mahrum hain shahr ke aainon ko sajaane lage ham ne jab haal-e-dil un se apnaa kahaa vo bhi qissa kisi kaa sunaane lage nisti kaa sitam koi kam thaa jo tum apni hasti kaa dukh bhi manaane lage jab bujhi meri aankhon ki lau 'aasima' tiira manzar bhi jalva dikhaane lage"
Asima TahirAsima Tahir

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari