SHAWORDS

tanhaaiyon ke dasht mein bhaage jo raat bhar — Ata Turab

HomeAta TurabGhazal
"tanhaaiyon ke dasht mein bhaage jo raat bhar vo din ko khaak jaagegaa jaage jo raat bhar fikr-e-maaash ne unhein qissa banaa diyaa sajti thiin apni mahfilein aage jo raat bhar vo din ki raushni mein pareshaan ho gayaa suljhaa rahaa thaa bakht ke dhaage jo raat bhar kyaa kyaa na pyaas jaage mire dil ke dasht mein hasrat bhi ek aag hai laage jo raat bhar dasht-e-ghazal mein jaane kahaan tak chale gae su-e-ghazaal qaafiya bhaage jo raat bhar"
Urdu

تنہائیوں کے دشت میں بھاگے جو رات بھر وہ دن کو خاک جاگے گا جاگے جو رات بھر فکر معاش نے انہیں قصہ بنا دیا سجتی تھیں اپنی محفلیں آگے جو رات بھر وہ دن کی روشنی میں پریشان ہو گیا سلجھا رہا تھا بخت کے دھاگے جو رات بھر کیا کیا نہ پیاس جاگے مرے دل کے دشت میں حسرت بھی ایک آگ ہے لاگے جو رات بھر دشت غزل میں جانے کہاں تک چلے گئے سوئے غزال قافیہ بھاگے جو رات بھر

Hindi

तन्हाइयों के दश्त में भागे जो रात भर वो दिन को ख़ाक जागेगा जागे जो रात भर फ़िक्र-ए-मआश ने उन्हें क़िस्सा बना दिया सजती थीं अपनी महफ़िलें आगे जो रात भर वो दिन की रौशनी में परेशान हो गया सुलझा रहा था बख़्त के धागे जो रात भर क्या क्या न प्यास जागे मिरे दिल के दश्त में हसरत भी एक आग है लागे जो रात भर दश्त-ए-ग़ज़ल में जाने कहाँ तक चले गए सू-ए-ग़ज़ाल क़ाफ़िया भागे जो रात भर

tanhā.iyoñ ke dasht meñ bhāge jo raat bhar
Ata Turab
Ata Turab
Ata Turab
poet14 quotes

More by Ata Turab

View all →
Quote
"kahin jamaal-paziri ki had nahin rakhtaa main baDh rahaa huun tasalsul se qad nahin rakhtaa ye qabl o baad ke us paar ki hikaayat hai miraa davaam azal aur abad nahin rakhtaa vo ek ho ke bhi ham se ginaa nahin jaataa vo ek ho ke bhi aage adad nahin rakhtaa ye umr bhar ki riyaazat miraa muqaddar hai taraashtaa huun jise khaal-o-khad nahin rakhtaa vo ik sukhan hi hamaari sanad na ban jaae vo ik sukhan jo tumhaari sanad nahin rakhtaa 'turaab' kaasa-e-dil pesh kar diyaa jaae sunaa hai koi sakhaavat ki had nahin rakhtaa"
Ata TurabAta Turab
Quote
"kab kahaan kyaa mire dildaar uThaa laaeinge vasl mein bhi dil-e-be-zaar uThaa laaeinge chaahiye kyaa tumhein tohfe mein bataa do varna ham to baazaar ke baazaar uThaa laaeinge yuun mohabbat se na ham khaana-ba-doshon ko bulaa itne saada hain ki ghar-baar uThaa laaeinge ek misre se ziyaada to nahin baar-e-vajud tum pukaaroge to har baar uThaa laaeinge gar kisi jashn-e-masarrat mein chale bhi jaaein chun ke aansu tire gham-khvaar uThaa laaeinge kaun saa phuul sajegaa tire juuDe mein bhalaa is shash-o-panj mein gulzaar uThaa laaeinge"
Ata TurabAta Turab

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud