Quote
"kahin jamaal-paziri ki had nahin rakhtaa main baDh rahaa huun tasalsul se qad nahin rakhtaa ye qabl o baad ke us paar ki hikaayat hai miraa davaam azal aur abad nahin rakhtaa vo ek ho ke bhi ham se ginaa nahin jaataa vo ek ho ke bhi aage adad nahin rakhtaa ye umr bhar ki riyaazat miraa muqaddar hai taraashtaa huun jise khaal-o-khad nahin rakhtaa vo ik sukhan hi hamaari sanad na ban jaae vo ik sukhan jo tumhaari sanad nahin rakhtaa 'turaab' kaasa-e-dil pesh kar diyaa jaae sunaa hai koi sakhaavat ki had nahin rakhtaa"
