SHAWORDS

tarab kaa rang rukh-e-gul pe aashkaar aayaa — Miyan Haji Tajalli

"tarab kaa rang rukh-e-gul pe aashkaar aayaa kali si khil gai junhi vo gul-ezaar aayaa taDap ke jaan nikal jaaegi abhi sayyaad na kahiyo baagh mein phir mausam-e-bahaar aayaa milaa main khaak mein mar mar ke aah par to bhi na be-qaraari-e-dil ke taiin qaraar aayaa miri vafaa pe tujhe roz shak thaa ai zaalim ye sar ye tegh hai le ab to e'tibaar aayaa ye shauq dekho pas-e-marg bhi 'tajalli' ne kafan mein khol diin aankhein sunaa jo yaar aayaa"
Urdu

طرب کا رنگ رخ گل پہ آشکار آیا کلی سی کھل گئی جوں ہی وہ گلعذار آیا تڑپ کے جان نکل جائے گی ابھی صیاد نہ کہیو باغ میں پھر موسم بہار آیا ملا میں خاک میں مر مر کے آہ پر تو بھی نہ بے قرارئ دل کے تئیں قرار آیا مری وفا پہ تجھے روز شک تھا اے ظالم یہ سر یہ تیغ ہے لے اب تو اعتبار آیا یہ شوق دیکھو پس مرگ بھی تجلیؔ نے کفن میں کھول دیں آنکھیں سنا جو یار آیا

Hindi

तरब का रंग रुख़-ए-गुल पे आश्कार आया कली सी खिल गई जूँही वो गुल-एज़ार आया तड़प के जान निकल जाएगी अभी सय्याद न कहियो बाग़ में फिर मौसम-ए-बहार आया मिला मैं ख़ाक में मर मर के आह पर तो भी न बे-क़रारी-ए-दिल के तईं क़रार आया मिरी वफ़ा पे तुझे रोज़ शक था ऐ ज़ालिम ये सर ये तेग़ है ले अब तो ए'तिबार आया ये शौक़ देखो पस-ए-मर्ग भी 'तजल्ली' ने कफ़न में खोल दीं आँखें सुना जो यार आया

tarab kā rañg ruḳh-e-gul pe āshkār aayā
M
Miyan Haji Tajalli
Miyan Haji Tajalli
poet1 quotes

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari