Quote
"na ho hayaat kaa haasil to bandagi kyaa hai jo be-niyaaz ho sajdon se zindagi kyaa hai sadaa-bahaar chaman mein bhi gar nasheman ho tire baghair jo guzre vo zindagi kyaa hai khudaa ko maan ke khud ko khudaa samajhtaa hai anaa-parasti saraasar hai bandagi kyaa hai bas ham kamaal samajhte hai jiite rahne ko ye karbalaa ne bataayaa ki zindagi kyaa hai vo jo faqir sifat khud ko kahtaa phirtaa hai qabaa harir ki pahne hai saadgi kyaa hai"
