SHAWORDS

tiri nigaah mein ik shakl de rahaa hai mujhe — Anurag Arsh

HomeAnurag ArshGhazal
"tiri nigaah mein ik shakl de rahaa hai mujhe miraa hi aks miri naql de rahaa hai mujhe main ek tisri duniyaa mein mubtalaa huun kahin tu do-jahaan ki kahaan aql de rahaa hai mujhe main ik khayaal ke sahraa ki pyaas huun jaise koi saraab tiri shakl de rahaa hai mujhe zamin-e-dil pe muqaddar ne hijr boyaa thaa jo gham ki roz nai fasl de rahaa hai mujhe tire khayaal pas-e-ruh le gae mujh ko ye jism phir bhi vahaan dakhl de rahaa hai mujhe guzar hi jaaegi har shai yahi haqiqat hai vo ye dalil pas-e-qatl de rahaa hai mujhe ye 'arsh' zulm hai tanhaai ke musaafir par ye chaand khvaab-e-shab-e-vasl de rahaa hai mujhe"
Urdu

تری نگاہ میں اک شکل دے رہا ہے مجھے مرا ہی عکس مری نقل دے رہا ہے مجھے میں ایک تیسری دنیا میں مبتلا ہوں کہیں تو دو جہاں کی کہاں عقل دے رہا ہے مجھے میں اک خیال کے صحرا کی پیاس ہوں جیسے کوئی سراب تری شکل دے رہا ہے مجھے زمین دل پہ مقدر نے ہجر بویا تھا جو غم کی روز نئی فصل دے رہا ہے مجھے ترے خیال پس روح لے گئے مجھ کو یہ جسم پھر بھی وہاں دخل دے رہا ہے مجھے گزر ہی جائے گی ہر شے یہی حقیقت ہے وہ یہ دلیل پس قتل دے رہا ہے مجھے یہ عرشؔ ظلم ہے تنہائی کے مسافر پر یہ چاند خواب شب وصل دے رہا ہے مجھے

Hindi

तिरी निगाह में इक शक्ल दे रहा है मुझे मिरा ही अक्स मिरी नक़्ल दे रहा है मुझे मैं एक तीसरी दुनिया में मुब्तला हूँ कहीं तू दो-जहाँ की कहाँ अक़्ल दे रहा है मुझे मैं इक ख़याल के सहरा की प्यास हूँ जैसे कोई सराब तिरी शक्ल दे रहा है मुझे ज़मीन-ए-दिल पे मुक़द्दर ने हिज्र बोया था जो ग़म की रोज़ नई फ़स्ल दे रहा है मुझे तिरे ख़याल पस-ए-रूह ले गए मुझ को ये जिस्म फिर भी वहाँ दख़्ल दे रहा है मुझे गुज़र ही जाएगी हर शय यही हक़ीक़त है वो ये दलील पस-ए-क़त्ल दे रहा है मुझे ये 'अर्श' ज़ुल्म है तन्हाई के मुसाफ़िर पर ये चाँद ख़्वाब-ए-शब-ए-वस्ल दे रहा है मुझे

tirī nigāh meñ ik shakl de rahā hai mujhe
A
Anurag Arsh
Anurag Arsh
poet6 quotes

More by Anurag Arsh

View all →
Quote
"hamaari kahkashaan vaalon ki duniyaa mein andheraa hai kahaan hai tu yahaan vaalon ki duniyaa mein andheraa hai uThaa suraj to kirnein oDh kar soe sitaare sab ujaalaa aasmaan vaalon ki duniyaa mein andheraa hai ujaale apni par aaein to binaai fanaa kar dein ghanimat hai jahaan vaalon ki duniyaa mein andheraa hai mohabbat do dilon mein raushni ki baat hai pyaare agarche darmiyaan vaalon ki duniyaa mein andheraa hai tumhein lagtaa hai koi raushni uupar se utregi amaa donon jahaan vaalon ki duniyaa mein andheraa hai mohabbat arsh tak le jaaegi ye 'arsh' sochaa thaa magar in laa-makaan vaalon ki duniyaa mein andheraa hai"
A
Anurag Arsh
Quote
"ye na samjho raah ki dushvaariyaan chup ho gaiin gir paDe hain is liye baisaakhiyaan chup ho gaiin der tak sunte rahe chup-chaap ham khaamoshiyaan aur jab bole to phir khaamoshiyaan chup ho gaiin yaad karne vaale ham ko yaad ban kar rah gae ek muddat se hamaari hichkiyaan chup ho gaiin likhte likhte ruk gae the vo sisak kar jis jagah paDhte paDhte us jagah vo chiTThiyaan chup ho gaiin vaqt ne mujh ko dikhaae aise manzar baarhaa rafta rafta sab miri hairaaniyaan chup ho gaiin ek pal ko yuun lagaa thaa mar gae hain 'arsh' ham jab rihaai par hamaari beDiyaan chup ho gaiin"
A
Anurag Arsh
Quote
"bhige honTon kaa tasavvur liye sukhe hue honT hijr mein ham liye baiThe rahe tarse hue honT bevafaai labon kaa svaad badal deti hai ham na chumeinge kisi aur ke chume hue honT ruuh tak zaaiqe tabdil kiye hain us ne is pe kyaa chaunkein use chuum ke miThe hue honT kis qadar pyaas kaa taDpaayaa huaa hogaa vo kitne sukhe hain musavvir ke banaae hue honT chuum kar us ne hatheli se uDaayaa bosa main ne aankhon pe raqam kar liye uDte hue honT ye bataate hain samundar zamin kaa pyaasaa hai ye kinaaron ki taraf lahr ke aate hue honT raat us moajize kaa sab se hasin chehra hai chaand hai raat ke chehre pe sajaae hue honT"
A
Anurag Arsh
Quote
"koi to ho jo us ko rokne kaa moajiza kare yaa ho rahaa hai jo vo koi khvaab ho khudaa kare kuchh aastin tang thi to saanp ghuT ke mar gae khudaa aziiz doston ko maghfirat ataa kare mujhe to ishq ke liye duaa bhi naagavaar hai dilon ke biich kyon koi bhi aur faasla kare sunaa hai us ki tirgi pe note vaarte hain log hamein bhi raushni kaa kuchh muaavza milaa kare kabhi miri qasam hi khaa ke mujh ko kuchh yaqin dilaa mujhe bhi meri zindagi ki ahmiyat lagaa kare pata chalaa hai un ki kuhniyon mein dard aa gayaa hamaare vaaste duaa mein haath jo uThaa kare badan ki bhuuk kitni baar ishq ko nigal gai magar havas ki aag kaa jalaa kahaan bujhaa kare"
A
Anurag Arsh

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil