"main kis se puchhtaa ki bhalaa kyaa kami hui thaa shor jis gali mein vahaan khaamushi hui ik main hi to nahin huun pareshaan-o-pur-malaal ai shaam tere saath bhi ab ke baDi hui mahfuz kar na paaeinge divaar-o-baam-o-dar meri fughaan hui ki vo teri hansi hui divaar-e-jaan giraa ke hi niklegi yaad-e-yaar ek mekh jaise dil ke hai andar gaDhi hui khulti hi jaa rahi hai giraanbaari-e-junun zanjir kyaa hai paanv se mere bandhi hui ab dekhiye to kyaa ye vahi chashm hai 'naim' zambil thi ki khvaabon se koi bhari hui"
tulu-e-subh-e-safar ki ghaDi thi yaad aayaa — Naeem Gilani
"tulu-e-subh-e-safar ki ghaDi thi yaad aayaa judaai raasta roke khaDi thi yaad aayaa kisi ki khanda-labi se bhi khul nahin paai girah to ab ke dilon mein paDi thi yaad aayaa ye dil ke zakhm usi jang mein ataa hue hain jo tere naam pe khud se laDi thi yaad aayaa jo meraa vaqt mire haath aa nahin rahaa thaa miri kalaai pe teri ghaDi thi yaad aayaa gale mile the bichhaDte samay jab aakhiri baar vo shaam donon pe kitni kaDi thi yaad aayaa ragein badan ki yunhi to nahin khinchi hui thiin koi salib si dil mein gaDi thi yaad aayaa hui hai sarf na jaane kahaan kahaan ai 'naim' durun-e-chashm nami to baDi thi yaad aayaa"
طلوع صبح سفر کی گھڑی تھی یاد آیا جدائی راستہ روکے کھڑی تھی یاد آیا کسی کی خندہ لبی سے بھی کھل نہیں پائی گرہ تو اب کے دلوں میں پڑی تھی یاد آیا یہ دل کے زخم اسی جنگ میں عطا ہوئے ہیں جو تیرے نام پہ خود سے لڑی تھی یاد آیا جو میرا وقت مرے ہاتھ آ نہیں رہا تھا مری کلائی پہ تیری گھڑی تھی یاد آیا گلے ملے تھے بچھڑتے سمے جب آخری بار وہ شام دونوں پہ کتنی کڑی تھی یاد آیا رگیں بدن کی یوں ہی تو نہیں کھنچی ہوئی تھیں کوئی صلیب سی دل میں گڑی تھی یاد آیا ہوئی ہے صرف نہ جانے کہاں کہاں اے نعیمؔ درون چشم نمی تو بڑی تھی یاد آیا
तुलू-ए-सुब्ह-ए-सफ़र की घड़ी थी याद आया जुदाई रास्ता रोके खड़ी थी याद आया किसी की ख़ंदा-लबी से भी खुल नहीं पाई गिरह तो अब के दिलों में पड़ी थी याद आया ये दिल के ज़ख़्म उसी जंग में अता हुए हैं जो तेरे नाम पे ख़ुद से लड़ी थी याद आया जो मेरा वक़्त मिरे हाथ आ नहीं रहा था मिरी कलाई पे तेरी घड़ी थी याद आया गले मिले थे बिछड़ते समय जब आख़िरी बार वो शाम दोनों पे कितनी कड़ी थी याद आया रगें बदन की यूँही तो नहीं खिंची हुई थीं कोई सलीब सी दिल में गड़ी थी याद आया हुई है सर्फ़ न जाने कहाँ कहाँ ऐ 'नईम' दुरून-ए-चश्म नमी तो बड़ी थी याद आया

More by Naeem Gilani
View all →"guzre vaqt ki shaayad tujhe khabar kam hai mire safar mein koi tujh saa ham-safar kam hai gilaa muaaf magar main jahaan paDaa huaa huun mire charaagh tiri raushni udhar kam hai sharik-e-haal hui thi jahaan kahin duniyaa faqat vahin se tiraa hijr-e-mo'atabar kam hai gai ruton mein bahut guftugu rahi jis se bhare chaman mein vo bas ek hi shajar kam hai tiri nazar mein na hongi vo muntazir shamein ki dil-gali se to yuun bhi tiraa guzar kam hai badan se aage jo baDhtaa nahin tabib mire so dil ke zakhm ki jaanib tiri nazar kam hai"
"yuun bhi jab tak gham se mar nahin jaataa main raat gae tak lauT ke ghar nahin jaataa main dekhtaa rahtaa huun tujh ko us lamhe tak! jab tak saaraa dard se bhar nahin jaataa main utni der sameTun saare dukh tere jitni der ai dost bikhar nahin jaataa main tere gham kaa bojh uThaaungaa jab tak koh-e-gham se paar utar nahin jaataa main maut se aage tak ke manzar dekhe hain tanhaai se yunhi Dar nahin jaataa main 'naim' us se main apne saare dukh kahne sochtaa to rahtaa huun par nahin jaataa main"
"nasheb-e-hijr mein din ikhtitaam karte hue main khud mein Dubtaa jaataa thaa shaam karte hue har ek lahr hai apne isi bahaao mein main thak gayaa tire dariyaa ko raam karte hue baras paDaa jo kisi roz mujh pe aks miraa darun-e-aaina-khaana qayaam karte hue mire sukut ko dohraane vaale ye dar-o-baam sunaai dene lage hain kalaam karte hue tamaam-umr tiri rahguzar pe baiTh rahaa miraa ghubaar tiraa ehtiraam karte hue ye khaamushi hai to rukiye baghaur sunte hue sukhanvari hai to chaliye tamaam karte hue gurez-paai ki had se guzar gayaa thaa vo shakhs 'naim' duur se mujh ko salaam karte hue"
"kahin pe rukte hue aur kahin guzarte hue khajil to khuub hue naazirin guzarte hue main ik nigaah ki duuri pe istaada thaa guzarne vaale ne dekhaa nahin guzarte hue tiri havaaein ki jaanaa thaa aur samt unhein mire navaah mein ruk si gaiin guzarte hue main sab se pahle jise bhulne mein jaldi ki vo yaad aayaa dam-e-aakhrin guzarte hue guzar na jaae bashaarat ki saaat-e-avval zaraa si der rukein zaaerin guzarte hue"
"had se baDhti hui taazir mein dekhaa jaae khvaab ko khvaab ki taabir mein dekhaa jaae dekhne ko main faqat itnaa bachaa huun yaani mujh ko ik manzar-e-tasvir mein dekhaa jaae khul bhi saktaa hai jahaan par miraa andaaz-e-junun zakhm jo halqa-e-zanjir mein dekhaa jaae sabr bhi jis ke nishaane pe hai aur siina bhi hausla kitnaa hai us tiir mein dekhaa jaae is qadar dida-e-giryaan kaa to haq bantaa hai ab use naala-e-shab-gir mein dekhaa jaae tab kahin dard utartaa hai rag-o-pai mein 'naim' sher jab 'mir' ki taasir mein dekhaa jaae"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"