"saaibaan chhaanv palak zulf ghaTaaein le kar chaand ru-posh huaa apni qabaaein le kar dil-kashi husn mahak nuur nazaare nikhat zindagi ruuTh gai saari adaaein le kar raqs paazeb khanak saaz tarannum naghma jaa chukaa hai koi rangin fazaaein le kar dosti pyaar vafaa uns mohabbat ikhlaas ham bhaTakte rahe tanhaa ye khataaein le kar karb ehsaas kasak soz tamaazat aansu aa gai hijr ki shab itni chitaaein le kar"
tumhaari phunk se kyaa farq paDne vaalaa hai — Amin Ejaz
"tumhaari phunk se kyaa farq paDne vaalaa hai ye shama vo hai jise aandhiyon ne paalaa hai gham-e-hayaat ne us par bhi bojh Daalaa hai ki jis ne hosh bhi apnaa nahin sanbhaalaa hai uDaa rahaa hai vahi meri muflisi kaa mazaaq ki jis ne sikkon mein imaan bech Daalaa hai hamaare sabr ko tum buzdili kaa naam na do isi khamoshi mein poshida ik javaalaa hai tumhein ghurur hai taaqat pe zar pe kasrat pe hamein ye naaz ki hamraah haq-taaalaa hai alaava is ke koi aur raasta hi nahin bahut samajh ke hi shoalon mein haath Daalaa hai hazaar saazish-e-paiham ke baavajud 'ejaaz' jahaan mein haqq-o-sadaaqat kaa bol-baalaa hai"
تمہاری پھونک سے کیا فرق پڑنے والا ہے یہ شمع وہ ہے جسے آندھیوں نے پالا ہے غم حیات نے اس پر بھی بوجھ ڈالا ہے کہ جس نے ہوش بھی اپنا نہیں سنبھالا ہے اڑا رہا ہے وہی میری مفلسی کا مذاق کہ جس نے سکوں میں ایمان بیچ ڈالا ہے ہمارے صبر کو تم بزدلی کا نام نہ دو اسی خموشی میں پوشیدہ اک جوالا ہے تمہیں غرور ہے طاقت پہ زر پہ کثرت پہ ہمیں یہ ناز کہ ہم راہ حق تعالی ہے علاوہ اس کے کوئی اور راستہ ہی نہیں بہت سمجھ کے ہی شعلوں میں ہاتھ ڈالا ہے ہزار سازش پیہم کے باوجود اعجازؔ جہاں میں حق و صداقت کا بول بالا ہے
तुम्हारी फूँक से क्या फ़र्क़ पड़ने वाला है ये शम्अ वो है जिसे आँधियों ने पाला है ग़म-ए-हयात ने उस पर भी बोझ डाला है कि जिस ने होश भी अपना नहीं सँभाला है उड़ा रहा है वही मेरी मुफ़लिसी का मज़ाक़ कि जिस ने सिक्कों में ईमान बेच डाला है हमारे सब्र को तुम बुज़दिली का नाम न दो इसी ख़मोशी में पोशीदा इक ज्वाला है तुम्हें ग़ुरूर है ताक़त पे ज़र पे कसरत पे हमें ये नाज़ कि हमराह हक़-तआ'ला है अलावा इस के कोई और रास्ता ही नहीं बहुत समझ के ही शो'लों में हाथ डाला है हज़ार साज़िश-ए-पैहम के बावजूद 'एजाज़' जहाँ में हक़्क़-ओ-सदाक़त का बोल-बाला है
More by Amin Ejaz
View all →"maa'sum farishton ke savaalon mein milungaa bachpan huun main paakiza khayaalon mein milungaa nafrat ke andheron mein mujhe DhunDne vaalo main mehr-o-mohabbat ke ujaalon mein milungaa main dast-e-hinaai ke tasallut se huun aazaad mehnat-kash-o-mazdur ke chhaalon mein milungaa saahil kaa sukun mere liye baa'is-e-tazlil tufaanon se Takraate jiyaalon mein milungaa amrit ke chhalakte hue saaghar se mujhe kyaa main sach huun tumhein zahr ke pyaalon mein milungaa takhliq miri maut ki paaband nahin hai mar kar bhi main urdu ke risaalon mein milungaa 'e'jaaz' agar aaj nahin qadr to kyaa gham kal mujh ko yaqin hai ki misaalon mein milungaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"