SHAWORDS

tu agar baa-usul ho jaae — Mohammad Ali Sahil

"tu agar baa-usul ho jaae rahmaton kaa nuzul ho jaae pyaar itnaa karo ki patthar bhi aise pighle ki phuul ho jaae un se milne mein Dar ye lagtaa hai koi ham se na bhuul ho jaae aaina aaina hi rahtaa hai chaahe jitni bhi dhuul ho jaae gham na ho zindagi agar tujh mein teraa honaa fuzul ho jaae dil se tauba kare agar 'saahil' teri tauba qubul ho jaae"
Urdu

تو اگر با اصول ہو جائے رحمتوں کا نزول ہو جائے پیار اتنا کرو کہ پتھر بھی ایسے پگھلے کہ پھول ہو جائے ان سے ملنے میں ڈر یہ لگتا ہے کوئی ہم سے نہ بھول ہو جائے آئنہ آئنہ ہی رہتا ہے چاہے جتنی بھی دھول ہو جائے غم نہ ہو زندگی اگر تجھ میں تیرا ہونا فضول ہو جائے دل سے توبہ کرے اگر ساحلؔ تیری توبہ قبول ہو جائے

Hindi

तू अगर बा-उसूल हो जाए रहमतों का नुज़ूल हो जाए प्यार इतना करो कि पत्थर भी ऐसे पिघले कि फूल हो जाए उन से मिलने में डर ये लगता है कोई हम से न भूल हो जाए आइना आइना ही रहता है चाहे जितनी भी धूल हो जाए ग़म न हो ज़िंदगी अगर तुझ में तेरा होना फ़ुज़ूल हो जाए दिल से तौबा करे अगर 'साहिल' तेरी तौबा क़ुबूल हो जाए

tū agar bā-usūl ho jaa.e
Mohammad Ali Sahil
Mohammad Ali Sahil
Mohammad Ali Sahil
poet27 quotes

More by Mohammad Ali Sahil

View all →
Quote
"miri taraf se nigaahein to vo haTaa legaa vo apne zehn se kaise mujhe nikaalegaa labon pe phuul mohabbat ke jo sajaa legaa use harif bhi baDh kar gale lagaa legaa gunahgaar na ban us ko bad-duaa de kar ghurur us kaa use khud hi maar Daalegaa har ek aag ko vo raushni samajhtaa hai main chuuk jaaun to vo ungliyaan jalaa legaa bahut sambhaal ke rakkhaa hai aansuo tum ko miri tarah tumhein aankhon mein kaun paalegaa agar junun ki had se guzar gayaa dariyaa to apne saath vo 'saahil' ko bhi bahaa legaa"
Mohammad Ali SahilMohammad Ali Sahil
Quote
"jatan kartaa to huun lekin ye bimaari nahin jaati jo mere khuun mein shaamil hai khud-daari nahin jaati ye us kaa kaam hai firqa-parasti chhoD de kaise siyaasat kuchh bhi kar le us ki makkaari nahin jaati vo buDhaa shakhs apni jaan tak nilaam kar baiThaa magar afsos us ke ghar ki dushvaari nahin jaati sulaayaa hai faqat paani pilaa kar us ne bachchon ko hain aansu khushk lekin us ki siskaari nahin jaati miri gham-khvaar ye duniyaa na ho to gham nahin 'saahil' miri fitrat mein shaamil hai ye gham-khvaari nahin jaati"
Mohammad Ali SahilMohammad Ali Sahil
Quote
"aisaa nahin salaam kiyaa aur guzar gae jab bhi mile kisi se to dil mein utar gae zulm-o-sitam ke aage kabhi jo jhuke nahin un ke nasib un ke muqaddar sanvar gae kirdaar bech dene kaa anjaam ye huaa dil mein utarne vaale nazar se utar gae kuchh kaifiyat ajiib rahi apni dosto ki dosti kisi se to had se guzar gae bachchon ki bhuuk maan ki davaa aur haath tang ye marhale bhi ham ko gunahgaar kar gae kuchh zindagi to mujh se masaail ne chhin li jo bach gai thi haadse barbaad kar gae 'saahil' jab un ko koi Thikaana nahin milaa gham un ke saare mere hi dil mein Thahar gae"
Mohammad Ali SahilMohammad Ali Sahil
Quote
"har ek haath mein patthar hai kyaa kiyaa jaae ye aaine kaa muqaddar hai kyaa kiyaa jaae banaa liyaa hai use markaz-e-nazar main ne saraapaa husn kaa paikar hai kyaa kiyaa jaae vo chaahe jaan bhi le le miri to hai manzur miraa bharosa usi par hai kyaa kiyaa jaae agar vo chaahe bhi ik pal to ji nahin saktaa ajal kaa vaqt muqarrar hai kyaa kiyaa jaae chalaa gayaa hai vo maqtal se qatl kar ke mujhe ye jurm bhi mire sar par hai kyaa kiyaa jaae koi mahal mein rahe aur kisi ko chhat na mile ye apnaa apnaa muqaddar hai kyaa kiyaa jaae jo fakhr kartaa rahaa hai mire usulon par vo shakhs mujh se bhi behtar hai kyaa kiyaa jaae junun mujh ko hai saahil talak pahunchne kaa magar ye gham kaa samundar hai kyaa kiyaa jaae"
Mohammad Ali SahilMohammad Ali Sahil
Quote
"justuju teri tarah gham tiri qurbat kyaa hai sochtaa rahtaa huun aakhir ye mohabbat kyaa hai ham ne logon se bahut zikr sunaa thaa lekin un ko dekhaa to ye jaanaa ki qayaamat kyaa hai vahshi duniyaa hai tiraa pyaar nahin samjhegi apne jazbaat dikhaane ki zarurat kyaa hai ye bhi qudrat kaa karishma hai ki duniyaa mein koi aaj tak ye na samajh paayaa ki qudrat kyaa hai tu ne duniyaa ki havas dil mein basaa rakkhi hai tere imaan se baDh kar tiri daulat kyaa hai ik tiri zaat se qaaem hai vajud insaan kaa varna insaan ki duniyaa mein haqiqat kyaa hai jism kaa husn tiri ruuh talak hai saahil ye nahin ho to ye miTTi ki imaarat kyaa hai"
Mohammad Ali SahilMohammad Ali Sahil

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb