Quote
"zulf-e-shab kaa saaya bhi kis qadar ghaneraa hai dil se un ki mahfil tak raasta andheraa hai aariz-e-tabassum par ghaaza-e-takalluf kyon muskuraa ke dekho to har taraf saveraa hai shaakh-e-gul si baahein hon yaa khunak havaaein hon taair-e-takhayyul kaa kab kahin baseraa hai un kaa naam jab leinge dil zarur dhaDkegaa un ki yaad kaa jab tak mere dil mein Deraa hai daaman-e-mohabbat mein aansuon ke moti hain yaa chaman mein shabnam ne laal-o-zar bikheraa hai tum mataa-e-gham 'saabir' jaise ho bachaa lenaa rahzanon ki basti hai daakuon kaa Deraa hai"
