Quote
"paas-e-naamus-e-mohabbat kaa savaal aaya to kahin un ko bhi kisi fikr mein Daal aaya to jin andheron mein farozaan thaa miri fikr kaa chaand un andheron ki siyaasat ko zavaal aaya to kar to duun tere junun-khez labon ki tashhir aur agar shisha-e-idraak mein baal aaya to shauq-e-manzil to mire kaam na aaya lekin kitni raahon ke kham-o-pech nikaal aaya to dil mein vo soz-o-tab-o-taab kahaan phir bhi 'atiq' zindagi ke kai goshe ko ujaal aaya to"
