SHAWORDS

ulfat-e-aariz-e-lailaa mein pareshaan niklaa — Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

"ulfat-e-aariz-e-lailaa mein pareshaan niklaa qais maanind-e-sahar chaak-garebaan niklaa ban gae khuub hadaf us sitam-ijaad ke aap lijiye hazrat-e-dil aaj to armaan niklaa na hui taaqat-e-nazzaara kisi aashiq ko shola-e-husn hijaab-e-rukh-e-jaanaan niklaa aa gai sadma-e-furqat se ajal aashiq ki hijr-e-mahbub firaaq-e-jasad-o-jaan niklaa ruuh ne khaana-e-tan chhoD diyaa aakhir-kaar mezbaan ham jise samjhe the vo mehmaan niklaa saaf-dil bahr-e-jahaan mein nahin rakhte daulat chashma-e-mahr se kab gauhar-e-ghaltaan niklaa tu vo hai husn mein yaktaa ki tajassus mein tire aasmaan le ke charaagh-e-mah-e-taabaan niklaa vo pari-ru huaa qismat se miri meraa mutia khat-e-taqdir khat-e-mohr-e-sulaimaan niklaa mere marne se hue saikDon armaan shahid 'aalim' anjaam mein dil ganj-e-shahidaan niklaa"
Urdu

الفت عارض لیلیٰ میں پریشاں نکلا قیس مانند سحر چاک گریباں نکلا بن گئے خوب ہدف اس ستم ایجاد کے آپ لیجئے حضرت دل آج تو ارماں نکلا نہ ہوئی طاقت نظارہ کسی عاشق کو شعلۂ حسن حجاب رخ جاناں نکلا آ گئی صدمۂ فرقت سے اجل عاشق کی ہجر محبوب فراق جسد و جاں نکلا روح نے خانۂ تن چھوڑ دیا آخر کار میزباں ہم جسے سمجھے تھے وہ مہماں نکلا صاف دل بحر جہاں میں نہیں رکھتے دولت چشمۂ مہر سے کب گوہر غلطاں نکلا تو وہ ہے حسن میں یکتا کہ تجسس میں ترے آسماں لے کے چراغ مہ تاباں نکلا وہ پری رو ہوا قسمت سے مری میرا مطیع خط تقدیر خط مہر سلیماں نکلا میرے مرنے سے ہوئے سیکڑوں ارمان شہید عالمؔ انجام میں دل گنج شہیداں نکلا

Hindi

उल्फ़त-ए-आरिज़-ए-लैला में परेशाँ निकला क़ैस मानिंद-ए-सहर चाक-गरेबाँ निकला बन गए ख़ूब हदफ़ उस सितम-ईजाद के आप लीजिए हज़रत-ए-दिल आज तो अरमाँ निकला न हुई ताक़त-ए-नज़्ज़ारा किसी आशिक़ को शोला-ए-हुस्न हिजाब-ए-रुख़-ए-जानाँ निकला आ गई सदमा-ए-फ़ुर्क़त से अजल आशिक़ की हिज्र-ए-महबूब फ़िराक़-ए-जसद-ओ-जाँ निकला रूह ने ख़ाना-ए-तन छोड़ दिया आख़िर-कार मेज़बाँ हम जिसे समझे थे वो मेहमाँ निकला साफ़-दिल बहर-ए-जहाँ में नहीं रखते दौलत चश्मा-ए-महर से कब गौहर-ए-ग़लताँ निकला तू वो है हुस्न में यकता कि तजस्सुस में तिरे आसमाँ ले के चराग़-ए-मह-ए-ताबाँ निकला वो परी-रू हुआ क़िस्मत से मिरी मेरा मुतीअ ख़त-ए-तक़्दीर ख़त-ए-मोहर-ए-सुलैमाँ निकला मेरे मरने से हुए सैकड़ों अरमान शहीद 'आलिम' अंजाम में दिल गंज-ए-शहीदाँ निकला

ulfat-e-āriz-e-lailā meñ pareshāñ niklā
Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi
Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi
Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi
poet18 quotes

More by Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

View all →
Quote
"main shama-e-bazm-e-aalam-e-imkaan kiyaa gayaa insaaniyat ko dekh ke insaan kiyaa gayaa ab mere imtihaan kaa saamaan kiyaa gayaa yaani supurd-e-aalam-e-imkaan kiyaa gayaa mahfuz main ne rakkhe junun ke tabarrukaat daaman agar phaTaa to garebaan kiyaa gayaa tai kar ke irtiqaa ke manaazil ko shauq se pahunchaa jab apne had pe to insaan kiyaa gayaa sach puchhiye to kyaa thaa faqat ek khaar-zaar mere liye jahaan ko gulistaan kiyaa gayaa dariyaa to aur bhi the zamaane mein be-shumaar aab-e-hayaat chashma-e-haivaan kiyaa gayaa kuchh aur raushni kaa baDhaa husn yaa nahin faanus mein jo shoale ko pinhaan kiyaa gayaa"
Mirza Altaf Husain Alim LucknowiMirza Altaf Husain Alim Lucknowi
Quote
"myaan se teraa agar khanjar nikal kar rah gayaa mere bhi dil mein baDaa armaan sitamgar rah gayaa kyaa faqat kuche mein tere meraa bistar rah gayaa balki mujh se chhuT kar dil hi kahin par rah gayaa mai-kashon ke daur mein baiThe the ham bhi baa-nasib ab to khaali haath mein saaqi ke saaghar rah gayaa mere kis armaan ne mere qatl se rokaa tujhe jo kamar se tere yuun khanjar nikal kar rah gayaa dar tak us ke main pahunch jaaungaa ye kahtaa huaa tere kuche mein miraa bhule se bistar rah gayaa maut aai hai mujhe lene ko ye kah de koi rahne vaalaa mar gayaa ujDaa huaa ghar rah gayaa vaae-naakaami ki uDne bhi na paayaa thaa abhi baandhte hi naama baazu-e-kabutar rah gayaa dil ki maayusi na puchho jab vo pahlu se uThe kar hi kyaa saktaa thaa taDpaa aur taDap kar rah gayaa sab ko lauh-e-qabr meraa bhi yuun hi degi nishaan aaine se jis tarah naam-e-sikandar rah gayaa ishq us ke gesuon kaa kyaa huaa 'aalim' mujhe saare aalam kaa jo saudaa thaa mire sar rah gayaa"
Mirza Altaf Husain Alim LucknowiMirza Altaf Husain Alim Lucknowi
Quote
"jaur-e-zamin na thaa sitam-e-aasmaan na thaa vo bhi thaa vaqt jab ki gham-e-do-jahaan na thaa koi bhi lutf-e-zist tah-e-aasmaan na thaa duniyaa miri kharaab thi tu mehrbaan na thaa suntaa ye kaun zabt pe qaabu nahin hai ab achchhaa huaa jo koi miraa raaz-daan na thaa divaangi ne baat banaa di ki us se main zid kar rahaa huun ab ki ye meraa bayaan na thaa badnaam khud hue ho zabaan se nikaal kar meraa sivaa tumhaare koi raaz-daan na thaa sajdon ki daad mil gai baab-e-qubul se maanaa nazar ke saamne vo aastaan na thaa maayusi-e-nazar ke manaazir hain khaufnaak phir aap hi kaheinge mujhe ye gumaan na thaa vo mere saamne the main thaa un ke saamne jab tak ki meraa raaz kisi par ayaan na thaa lillaah ham se qissa-e-'aalim' na puchhiye sunte hain laash par koi bhi nauha-khvaan na thaa"
Mirza Altaf Husain Alim LucknowiMirza Altaf Husain Alim Lucknowi
Quote
"ghir ke ghabraate na the hijr ke aazaaron mein jab ki taaqat thi kabhi aap ke bimaaron mein le ke ham dil gae kahte ye jafaa-kaaron mein kaun letaa hai ise itne kharidaaron mein di rihaai mujhe sayyaad ne ai vaae nasib dakhl jab fasl-e-khizaan kaa huaa gulzaaron mein mere marne kaa huaa ranj har ik qaidi ko ki hai kohraam bapaa tere giraftaaron mein dast-e-naazuk se mujhe jaam diyaa saaqi ne aabru baDh gai aur aaj se mai-khvaaron mein aatish-e-hijr se kyaa Dar jo tiri marzi se raat kar deinge basar loT ke angaaron mein pheink denaa na kahin bhuul ke hangaam-e-sahar dil bhi lipTaa hai inhin sukhe hue haaron mein naala-e-bulbul-e-shaidaa na jise phaand sake ye bulandi to nahin baagh ki divaaron mein niklaa vo tir-e-nigah bhi to ye kah kar niklaa meraa daaman na ulajh jaae kahin khaaron mein yuun sunaai gai hai us ko khabar 'aalim' ki mar gayaa koi tire taaza giraftaaron mein"
Mirza Altaf Husain Alim LucknowiMirza Altaf Husain Alim Lucknowi
Quote
"daad milti nazar-e-ahl-e-nazar se pahle maut aati jo kahin dil ko jigar se pahle tasfiya karte na hangaam-e-sahar se pahle puchh lete kisi maayus nazar se pahle meraa marnaa tumhein ho jaaegaa khud hi maalum dil taDap uTThegaa siine mein khabar se pahle tum to kahte the ki main dard kaa qaail hi nahin kaun chikhaa mire naalon ke asar se pahle naam jis chiiz kaa hai maut jahaan mein mashhur vaaqia ye to huaa dard-e-jigar se pahle aaj ki raat to kuchh aur khabar deti hai ho munaasib to chale aanaa sahar se pahle ek bijli si miri aankhon ke andar kaundi aur iraada jo huaa azm-e-safar se pahle roi majburiyon par chaaragaron ki qismat mar gayaa aap kaa bimaar sahar se pahle main bhi samjhaa huun tire naqsh-e-qadam kaa matlab main bhi guzraa thaa isi raahguzar se pahle"
Mirza Altaf Husain Alim LucknowiMirza Altaf Husain Alim Lucknowi

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari