Quote
"is liye khauf aur hiraas nahin koi sarmaaya mere paas nahin har jagah mutmain kiyaa khud ko ab miraa dil kahin udaas nahin chhoD dein apni apni duniyaa ko is qadar donon bad-havaas nahin ghar ke peDon se uD gae panchhi chahchahaane ki koi aas nahin jal rahin hain sabhi ki divaarein ab munDeron pe koi ghaas nahin ek hi rang hai mohabbat kaa ye yaqin hai miraa qayaas nahin she'r main ne kahe hain jo 'gauhar' vo kitaabon kaa iqtibaas nahin"
