SHAWORDS

un se guft-o-shunid ho jaae — Akmal Nazeer

HomeAkmal NazeerGhazal
"un se guft-o-shunid ho jaae khun-e-dil ki kashid ho jaae qurbatein is qadar na rakkho tum koi rishta ba'id ho jaae kaasa-e-chashm diid maange hai kaash apni bhi 'iid ho jaae lab tire maail-e-tabassum hon dard-e-dil jab shadid ho jaae aankh hai halqa-e-tasavvur mein dil bhi un kaa murid ho jaae yuun na dekho kahin na is dil se kuchh tavaqqo' mazid ho jaae lab tire dil-shanaas ho jaaein ik ta'alluq jadid ho jaae phuuT paidaa kare dilon mein jo vo jahannum rasid ho jaae kaash aisaa bhi ho ki tu 'akmal' sach ki khaatir shahid ho jaae"
Urdu

ان سے گفت و شنید ہو جائے خون دل کی کشید ہو جائے قربتیں اس قدر نہ رکھو تم کوئی رشتہ بعید ہو جائے کاسۂ چشم دید مانگے ہے کاش اپنی بھی عید ہو جائے لب ترے مائل تبسم ہوں درد دل جب شدید ہو جائے آنکھ ہے حلقۂ تصور میں دل بھی ان کا مرید ہو جائے یوں نہ دیکھو کہیں نہ اس دل سے کچھ توقع مزید ہو جائے لب ترے دل شناس ہو جائیں اک تعلق جدید ہو جائے پھوٹ پیدا کرے دلوں میں جو وہ جہنم رسید ہو جائے کاش ایسا بھی ہو کہ تو اکملؔ سچ کی خاطر شہید ہو جائے

Hindi

उन से गुफ़्त-ओ-शुनीद हो जाए ख़ून-ए-दिल की कशीद हो जाए क़ुर्बतें इस क़दर न रक्खो तुम कोई रिश्ता ब'ईद हो जाए कासा-ए-चश्म दीद माँगे है काश अपनी भी 'ईद हो जाए लब तिरे माइल-ए-तबस्सुम हों दर्द-ए-दिल जब शदीद हो जाए आँख है हल्क़ा-ए-तसव्वुर में दिल भी उन का मुरीद हो जाए यूँ न देखो कहीं न इस दिल से कुछ तवक़्क़ो' मज़ीद हो जाए लब तिरे दिल-शनास हो जाएँ इक त'अल्लुक़ जदीद हो जाए फूट पैदा करे दिलों में जो वो जहन्नुम रसीद हो जाए काश ऐसा भी हो कि तू 'अकमल' सच की ख़ातिर शहीद हो जाए

un se guft-o-shunīd ho jaa.e
Akmal Nazeer
Akmal Nazeer
Akmal Nazeer
poet11 quotes

More by Akmal Nazeer

View all →
Quote
"main huun ghairaton ke hisaar mein tu nafas nafas hai maraa huaa main huun maslahat se gurez-paa tu hai maslahat pe aDaa huaa miri zindagi bhi usi ki hai tiri zindagi bhi usi ki hai main rahin-e-Khalq-e-khudaa nahin tu har ek dar pe jhukaa huaa vo jo itne shauq se paDh rahaa hai kitaab-e-gham ki 'ibaaratein use kyaa khabar rah-e-'ishq mein ye hai qismaton kaa likhaa huaa jo nadaamaton ke the daagh sab usi ek ashk ne dho diye vahi tere daaman-e-khair par jo hai ban ke moti paDaa huaa vahi qaid-o-band ke marhale vahi qatl-o-khun ke hain silsile vahi raah-e-haq mein hai sar abhi na jhukaa huaa na Daraa huaa yahaan jaane kitne hi naujavaan binaa jurm suuli pe chaDh gae na kahin pe koi sadaa uThi na kahin pe hashr bapaa huaa abhi 'akmal'-e-tihi-jaan se tu na puchh dil ke mu'aamle vo talaash-e-haq mein hai dar-ba-dar use kyaa khabar yahaan kyaa huaa"
Akmal NazeerAkmal Nazeer
Quote
"main hisaar-e-shab se nikal sakun koi aisi raah dikhaa mujhe yaa to hauslon ko kiran banaa yaa banaa ke jugnu jalaa mujhe main vo apne 'azm kaa biij huun jo har ik zamin ko 'ataa nahin kisi TuuTe dil ki zamin par tu banaa ke fasl ugaa mujhe main nadaamaton kaa vo ashk huun jo hai kab se sukhaa paDaa huaa kisi chashm-e-'aasi-o-khaati se tu banaa ke moti bahaa mujhe go shikasta hain mire baal-o-par pa huun hauslon ki amaan mein mire hauslon ko banaa ke par zaraa aasmaan mein uDaa mujhe main shikasta-dil main shikasta-paa mujhe raaston kaa ho kyaa pata mire 'azm ko hi tu paaon kar unhin raaston pe chalaa mujhe main huun ek jaahil-e-mahz aur tu 'alim aur khabir hai main bhikaari huun tire 'ilm kaa vahi 'ilm kar tu 'ataa mujhe main huun zillaton mein ghiraa huaa main nazar se apni giraa huaa koi ik uchaTti nigaah se tu nazar nazar mein uThaa mujhe"
Akmal NazeerAkmal Nazeer
Quote
"valvale khaamosh hain zinda-dili khaamosh hai tirgi hai har taraf har raushni khaamosh hai hai nizaam-e-'adl ab ahl-e-havas ke haath mein jhuuT kaa hai bol-baalaa raasti khaamosh hai raaste to muntazir hain kaarvaan-e-shauq ke raah-rau bad-zan hain saare rahbari khaamosh hai is qadar vahshat kaa 'aalam hai gulistaan mein abhi shor-o-ghul giton kaa hai par naghmagi baaqi nahin kijiye kyaa tazkira 'akmal' mohabbat kaa yahaan nafratein sinon mein hain aur zindagi khaamosh hai"
Akmal NazeerAkmal Nazeer
Quote
"miri justuju bhi 'ajib hai miri bandagi bhi 'ajib hai jo qarib thaa vo ba'id hai jo ba'id thaa vo qarib hai na amaarat-e-gham-e-zindagi na shikoh-e-faqr ki saadgi tu amir-e-shahr zarur hai tiraa muflisi hi nasib hai tiri milkiyat mein hain sim-o-zar pa tu ulfaton se hai be-khabar tu hi sab se zaalim-o-kam-nazar tu hi dil kaa sab se gharib hai na ho shauq jis ki namaaz mein na asar ho jis ke kalaam mein vo imaam koi imaam hai vo khatib koi khatib hai hai 'ajib dil kaa mu'aamla kabhi mujh se khush to kabhi khafaa miri jalvaton kaa rafiq hi miri khalvaton kaa raqib hai ye jo nafraton kaa hisaar hai tire ird-gird banaa huaa yahi maqtal-e-gham-e-zist hai yahi ulfaton ki salib hai kabhi ban ke teraa jo aaina kare tujh ko tujh se hi aashnaa vahi ham-navaa hai tiraa yahaan vahi dard-e-dil kaa tabib hai abhi nafraton ki na baat kar kahin jaa ke us ko talaash kar vahi ek 'akmal'-e-dar-ba-dar jo mohabbaton kaa naqib hai"
Akmal NazeerAkmal Nazeer
Quote
"zamaane ki fazaa badli vo tarz-e-zindagi badlaa tamiz-e-guftugu badli mazaaq-e-aadmi badlaa havaa aisi chali yaaro jise dekho vahi badlaa junun ke silsile badle shu'ur-e-aagahi badlaa 'ajab si kashmakash hai piine vaale ab kahaan jaaein nizaam-e-mai-kada badlaa usul-e-mai-kashi badlaa ta'assub hai vahi ab bhi takabbur hai vahi ab bhi na zaalim ki adaa badli na tarz-e-dushmani badlaa kabhi sochaa hai tum ne kaarvaan-e-zulm ke rahrau tumhaaraa haal kyaa hogaa jo tarz-e-rahbari badlaa salaamat hain abhi tak valvale duniyaa-e-ulfat ke na rasm-e-daar hi badli na 'azm-e-'aashiqi badlaa hazaaron rang badle hain zamaane ki adaaon ne na khu-e-makr hi badli na husn-e-saadgi badlaa zamaane mein taghayyur kaa faqat itnaa hai raaz 'akmal' ki jab bhi inqalaab aayaa nizaam-e-zindagi badlaa"
Akmal NazeerAkmal Nazeer

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil