SHAWORDS

unvaan se maavaraa nahin thaa — Kamran Nafees

HomeKamran NafeesGhazal
"unvaan se maavaraa nahin thaa vo ishq thaa vaahima nahin thaa is rah mein kho gayaa thaa mujh se is rah mein jo milaa nahin thaa aaine to be-shumaar hote is dil ko vo toDtaa nahin thaa barsaat bhi thi magar nahin thi yaani mujhe bhignaa nahin thaa kyon itnaa qarib thaa main dil ke aisaa to kabhi huaa nahin thaa dil se jab ham-kalaam thaa main duniyaa kaa koi pataa nahin thaa qaabu mein havaas hi nahin the varna to khayaal kyaa nahin thaa aavaaz ke faaslon ke maabain kyon qurb vo boltaa nahin thaa"
Urdu

عنوان سے ماورا نہیں تھا وہ عشق تھا واہمہ نہیں تھا اس رہ میں کھو گیا تھا مجھ سے اس رہ میں جو ملا نہیں تھا آئینے تو بے شمار ہوتے اس دل کو وہ توڑتا نہیں تھا برسات بھی تھی مگر نہیں تھی یعنی مجھے بھیگنا نہیں تھا کیوں اتنا قریب تھا میں دل کے ایسا تو کبھی ہوا نہیں تھا دل سے جب ہم کلام تھا میں دنیا کا کوئی پتا نہیں تھا قابو میں حواس ہی نہیں تھے ورنہ تو خیال کیا نہیں تھا آواز کے فاصلوں کے مابین کیوں قرب وہ بولتا نہیں تھا

Hindi

उन्वान से मावरा नहीं था वो इश्क़ था वाहिमा नहीं था इस रह में खो गया था मुझ से इस रह में जो मिला नहीं था आईने तो बे-शुमार होते इस दिल को वो तोड़ता नहीं था बरसात भी थी मगर नहीं थी या'नी मुझे भीगना नहीं था क्यों इतना क़रीब था मैं दिल के ऐसा तो कभी हुआ नहीं था दिल से जब हम-कलाम था मैं दुनिया का कोई पता नहीं था क़ाबू में हवास ही नहीं थे वर्ना तो ख़याल क्या नहीं था आवाज़ के फ़ासलों के माबैन क्यों क़ुर्ब वो बोलता नहीं था

unvān se māvarā nahīñ thā
Kamran Nafees
Kamran Nafees
Kamran Nafees
poet60 quotes

More by Kamran Nafees

View all →
Quote
"koi din sabr ke phir mundamil ho jaaegaa gham nishaan rah jaaegaa aur mustaqil ho jaaegaa gham kisi lambe safar mein shaam ho jaaegi gham ko kahin ik raah takte muzmahil ho jaaegaa gham kise maalum thaa kaam aaegi sina-kharaashi aur is siine mein aakhir-kaar dil ho jaaegaa gham ufuq par Dubte dukh se sitaare kah rahe hain chamak uTTheinge ham jab muntaqil ho jaaegaa gham kisi fursat ki shab dil par udaasi chhaaegi aur kisi masruf din par mushtamil ho jaaegaa gham tumhein hasrat se ham dekheinge aur tum muskuraanaa us ik lamhe mein jab aa kar mukhil ho jaaegaa gham chalegi yaad jab tanhaai mein rauzan khulegaa maza aa jaaegaa jab munfail ho jaaegaa gham kahaan khalvat mayassar aaegi kam-fursaton ko judaa hogi khushi to muttasil ho jaaegaa gham khushi ik DhunDne niklegaa gham lekin achaanak baham ho kar kisi gham se khajil ho jaaegaa gham"
Kamran NafeesKamran Nafees
Quote
"khauf taamir ki buniyaad mein rakkhaa huaa hai haadisa surat-e-ijaad mein rakkhaa huaa hai ek imkaan chhupaa thaa kisi lahje mein vahaan ik tahayyur yahaan rudaad mein rakkhaa huaa hai kaise mizhgaan-e-hayaa toD ke baahar nikle girya ik zabt ki miaad mein rakkhaa huaa hai saans lete hi bhaDaktaa hai mire siine mein ik diyaa saa jo tiri yaad mein rakkhaa huaa hai khas-o-khaashaak hue kham to khuli khushbu-e-zulf lutf yaani kisi uftaad mein rakkhaa huaa hai in sitaaron se bhalaa kaun sune chang-o-rabaab zakhma-e-bakht zamin-zaad mein rakkhaa huaa hai"
Kamran NafeesKamran Nafees
Quote
"hijr ke maare kivaaDon se puraane se ye khvaab ashk ban kar nikal aate hain bahaane se ye khvaab raat bhar jaagtaa rahtaa hai isi soch mein dil chale jaaein na kahin niind ke aane se ye khvaab paaeinti se ho lagaa sar to sukun hai varna uTh ke aa jaate hain aankhon mein sirhaane se ye khvaab is liye bhi to nahin niind mein chaltaa huun main tez khaak ho jaaein na phir khaak uDaane se ye khvaab yaad aate hi diye mein bhaDak uThti hai vo lau baaz aate hi nahin siina jalaane se ye khvaab bhuul kar bhi na kahin tazkira karnaa un kaa ki dobaara nahin aate hain sunaane se ye khvaab jaagtaa rahtaa hai aankhon mein gai shab kaa malaal aur chhupte hi nahin laakh chhupaane se ye khvaab nahin miltaa hai agar aks to jhunjhlaa ke main phir khinch laataa huun tire aaina-khaane se ye khvaab"
Kamran NafeesKamran Nafees
Quote
"ye dil thaa pesh hamesha sar-e-masaafat-e-ishq junun talak hi lihaazaa mili ijaazat-e-ishq khat-e-shikasta mein kyaa jaane kab kashid aa jaae ki saans rok ke kariyo miyaan kitaabat-e-ishq har ik nafas hai muhaajir ki aarzi hai qiyaam so shahriyat nahin deti hai ik riyaasat-e-ishq ye bud-o-baash alag to nahin hai meri tiri lahu ke rang mein yaksaan hai jab saqaafat-e-ishq vo phuul ho ki sitaara vo shaam ho ki charaagh kabhi kabhi to bahut kam paDi vazaahat-e-ishq Dhali jo shaam to kyon dil huaa udaas miraa main jaantaa hi na thaa jab koi alaamat-e-ishq jab ek raat mujhe khvaab ik dikhaayaa gayaa tamaam ho gai us raat sab riyaazat-e-ishq phir ek subh mujhe niind se uThaayaa gayaa uThaa ke mujh ko ataa ki gai niyaabat-e-ishq bahut se kaam kiye main ne zindagi mein magar jo ek sajda adaa ho gayaa ba-haalat-e-ishq"
Kamran NafeesKamran Nafees

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil