"ye sannaaTaa bahut mahngaa paDegaa ise bhi phuuT kar ronaa paDegaa vahi do-chaar chehre ajnabi se unhin ko phir se dohraanaa paDegaa koi ghar se nikaltaa hi nahin hai havaa ko thak ke so jaanaa paDegaa yahaan suraj bhi kaalaa paD gayaa hai kahin se din bhi mangvaanaa paDegaa vo achchhe the jo pahle mar gae hain hamein ab aur pachhtaanaa paDegaa"
use maalum hai main sar-phiraa huun — Fazl Tabish
"use maalum hai main sar-phiraa huun magar khush hai ki us ko chaahtaa huun ye basti kab darindon se thi khaali main phir bhi Thiik logon mein rahaa huun jo chaahe vo mujhe be-daam le le kharidaaron ke haathon kam bikaa huun tiri chaahat bahaana hai yaqin kar ba-har surat main khud ko chaahtaa huun zaraa sun be-niyaaz-e-lams sun le main tujh ko chhu ke khud ko bhultaa huun kahaan toDaa hai main ne shaakh se gul main shaakh-e-gul pe gul ko maantaa huun"
اسے معلوم ہے میں سرپھرا ہوں مگر خوش ہے کہ اس کو چاہتا ہوں یہ بستی کب درندوں سے تھی خالی میں پھر بھی ٹھیک لوگوں میں رہا ہوں جو چاہے وہ مجھے بے دام لے لے خریداروں کے ہاتھوں کم بکا ہوں تری چاہت بہانہ ہے یقیں کر بہ ہر صورت میں خود کو چاہتا ہوں ذرا سن بے نیاز لمس سن لے میں تجھ کو چھو کے خود کو بھولتا ہوں کہاں توڑا ہے میں نے شاخ سے گل میں شاخ گل پہ گل کو مانتا ہوں
उसे मालूम है मैं सर-फिरा हूँ मगर ख़ुश है कि उस को चाहता हूँ ये बस्ती कब दरिंदों से थी ख़ाली मैं फिर भी ठीक लोगों में रहा हूँ जो चाहे वो मुझे बे-दाम ले ले ख़रीदारों के हाथों कम बिका हूँ तिरी चाहत बहाना है यक़ीं कर ब-हर सूरत मैं ख़ुद को चाहता हूँ ज़रा सुन बे-नियाज़-ए-लम्स सुन ले मैं तुझ को छू के ख़ुद को भूलता हूँ कहाँ तोड़ा है मैं ने शाख़ से गुल मैं शाख़-ए-गुल पे गुल को मानता हूँ

More by Fazl Tabish
View all →"jin khvaabon se niind uD jaae aise khvaab sajaae kaun ik pal jhuTi taskin paa kar saari raat ganvaae kaun ye tanhaai ye sannaaTaa dil ko magar samjhaae kaun itni bhayaanak raat mein aakhir milne vaalaa aae kaun sunte hain ki in raahon mein majnun aur farhaad luTe lekin ab aadhe raste se lauT ke vaapas jaae kaun sunte samajhte hon to un se koi apni baat kahe gungon aur bahron ke aage Dhol bajaane jaae kaun us mahfil mein log hain jitne sab ko apnaa ronaa hai 'taabish' main khaamosh-tabiat meraa haal sunaae kaun"
"na kar shumaar ki har shai gini nahin jaati ye zindagi hai hisaabon se ji nahin jaati ye narm lahja ye rangini-e-bayaan ye khulus magar laDaai to aise laDi nahin jaati sulagte din mein thi baahar badan mein shab ko rahi bichhaD ke mujh se bas ik tirgi nahin jaati naqaab Daal do jalte udaas suraj par andhere jism mein kyuun raushni nahin jaati har ek raah sulagte hue manaazir hain magar ye baat kisi se kahi nahin jaati machalte paani mein unchaai ki talaash fuzul pahaaD par to koi bhi nadi nahin jaati"
"kali kali kaa badan phoD kar jo niklaa hai vo zindagi kaa nahin maut kaa taqaazaa hai har ek jhuTaa payambar hai ye bhi Thiik nahin kahin kahin to magar sab ke saath ghaplaa hai main us kaa barf badan raundh kar pashemaan huun magar jo duur khaDe hain unhein vo shoala hai jo thuktaa hai har ek chiiz ko andhere se kabhi kabhi vahi din mujh mein Duub jaataa hai har ek samt ghalaazat bhare samundar hain magar ye main ne kinaare khaDe hi samjhaa hai"
"milon ke shahr mein ghaTtaa huaa din sochtaa hogaa dhuein ko jitne vaalon kaa suraj dusraa hogaa agar mar kar phir uThnaa hai to marne ki khushi kyaa hai badan khone kaa gham jiine ki khushiyon se sivaa hogaa sunaa hai ye zamin uDti phiregi ruui ki surat tamaashaa karne vaalaa hi tamaashaa dekhtaa hogaa main chiDiyon ko ulajhte dekh kar laDtaa samajhtaa huun magar sachchaai kyaa hai ye unhin se puchhnaa hogaa tumhaaraa jism meri aag mein tap kar nikhartaa hai magar ik roz meraa jism ThanDaa paD gayaa hogaa mujhe khushbu lapeTe jism kuchh achchhe nahin lagte magar us ko miraa khaali badan bhi kaaTtaa hogaa"
"har ik darvaaza mujh par band hotaa andheraa jism mein naakhun hotaa ye suraj kyuun bhaTaktaa phir rahaa hai mire andar utar jaataa to sotaa har ik shai khuun mein Duubi hui hai koi is tarah se paidaa na hotaa bas ab iqraar ko oDho bichhaao na hote khvaar jo inkaar hotaa salibon mein Tange bhi aadmi hain agar un ko bhi khud se pyaar hotaa"
More on Khudi
View all →"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"