Quote
"aasmaan se zamin kaa rishta kis qadar hai yaqin kaa rishta sirf mahdud hai zarurat tak aadmi kaa machine se rishta tu bhi utnaa hi meraa hai jitnaa saanp se aastin kaa rishta kar diyaa hai tire kharaab se tai main ne ik behtarin kaa rishta ye na zulm o sitam se TuuTe kabhi dil se hotaa hai diin kaa rishta mujh ko mashkuk kartaa rahtaa hai mere dil ke makin kaa rishta bevaqufon ki bhiiD se behtar 'saad' hai ik zahin kaa rishta"
