SHAWORDS

vahshat ke sau rang dikhaane vaalaa main — Mahir Abdul Hayee

"vahshat ke sau rang dikhaane vaalaa main khud apni zanjir banaane vaalaa main roz kuaan khodun to pyaas bujhaaun roz dariyaaon se pyaas bujhaane vaalaa main maazi ke be-barg shajar par baiThaa huun mustaqbil ke giit sunaane vaalaa main kaise mumkin hai apnon par vaar karun dushman ki choTein sahlaane vaalaa main andar andar dard ki lahrein uupar se har dam hansne aur hansaane vaalaa main baaghon ko viraan banaane vaale log sahraaon mein phuul khaane vaalaa main sadiyon se masmum havaa ki zad par huun ummidon ki fazl ugaane vaalaa main dekho kab tak paanv jamaae rahtaa huun unchi lahron se Takraane vaalaa main"
Urdu

وحشت کے سو رنگ دکھانے والا میں خود اپنی زنجیر بنانے والا میں روز کنواں کھودوں تو پیاس بجھاؤں روز دریاؤں سے پیاس بجھانے والا میں ماضی کے بے برگ شجر پر بیٹھا ہوں مستقبل کے گیت سنانے والا میں کیسے ممکن ہے اپنوں پر وار کروں دشمن کی چوٹیں سہلانے والا میں اندر اندر درد کی لہریں اوپر سے ہر دم ہنسنے اور ہنسانے والا میں باغوں کو ویران بنانے والے لوگ صحراؤں میں پھول کھانے والا میں صدیوں سے مسموم ہوا کی زد پر ہوں امیدوں کی فضل اگانے والا میں دیکھو کب تک پاؤں جمائے رہتا ہوں اونچی لہروں سے ٹکرانے والا میں

Hindi

वहशत के सौ रंग दिखाने वाला मैं ख़ुद अपनी ज़ंजीर बनाने वाला मैं रोज़ कुआँ खोदूँ तो प्यास बुझाऊँ रोज़ दरियाओं से प्यास बुझाने वाला मैं माज़ी के बे-बर्ग शजर पर बैठा हूँ मुस्तक़बिल के गीत सुनाने वाला मैं कैसे मुमकिन है अपनों पर वार करूँ दुश्मन की चोटें सहलाने वाला मैं अंदर अंदर दर्द की लहरें ऊपर से हर दम हँसने और हँसाने वाला मैं बाग़ों को वीरान बनाने वाले लोग सहराओं में फूल खाने वाला मैं सदियों से मस्मूम हवा की ज़द पर हूँ उम्मीदों की फ़ज़्ल उगाने वाला मैं देखो कब तक पाँव जमाए रहता हूँ ऊँची लहरों से टकराने वाला मैं

vahshat ke sau rañg dikhāne vaalā maiñ
Mahir Abdul Hayee
Mahir Abdul Hayee
Mahir Abdul Hayee
poet21 quotes

More by Mahir Abdul Hayee

View all →
Quote
"tanhaai kaa gham ruuh ke andar se nikaalun aavaaz koi de to qadam ghar se nikaalun duniyaa use pujegi ba-sad husn-e-aqidat main apni shabaahat ko jo patthar se nikaalun kho jaaun kahin tira-khalaaon mein to kyaa ho khud ko jo tire dard ke mehvar se nikaalun jo dost nazar aate hain ban jaaeinge dushman kyaa munh se na sach baat bhi is Dar se nikaalun hassaas ho duniyaa to jo nashtar se hai makhsus vo kaam bhi main barg-e-gul-e-tar se nikaalun dushvaar sahi phir bhi koi sulh kaa pahlu haalaat ke bigDe hue tevar se nikaalun sadiyon se lagi pyaas ko 'maahir' jo bujhaa de vo jura-e-zahraab samundar se nikaalun"
Mahir Abdul HayeeMahir Abdul Hayee
Quote
"saraab dekhtaa huun main ki aab dekhtaa huun main samajh mein jo na aa sake vo khvaab dekhtaa huun main lahun mein tairti hai koi shai tiri umiid si ugaa huaa shafaq mein aaftaab dekhtaa huun main miri nazar ke saamne hai aaina rakkhaa huaa tiri nazar kaa husn-e-intikhaab dekhtaa huun main ye kis maqaam par hai aaj rakhsh-e-fikr-o-aagahi ki jibrail ko bhi ham-rikaab dekhtaa huun main ye koi nazr to nahin nigaah dil navaaz ki khilaa huaa jo dil mein ik gulaab dekhtaa huun main kisi kaa daaman-e-talab kushaada is qadar nahin tiri ataa ko be-had-o-hisaab dekhtaa huun main samajh sakegaa kaun ai khudaa tiri kitaab ko badal gayaa hai sab kaa sab nisaab dekhtaa huun main abhi to sun rahaa huun main gaDhi hui kahaaniyaan khulegaa kab haqiqaton kaa baab dekhtaa huun main dil-o-nazar ki raushni hai jis ke harf harf mein rakhi hui vo taaq par kitaab dekhtaa huun main jo khelne mein tez thaa navaab ho gayaa hai vo paDhe likhe ko khasta-o-kharaab dekhtaa huun main vo hoshiyaar aadmi ki jaagtaa hai raat din kabhi kabhi use bhi mast-e-khvaab dekhtaa huun main jo 'maahir'-e-alam-zada ke lab pe aa gai hansi tu khaa rahaa hai koi pech-o-taab dekhtaa huun main"
Mahir Abdul HayeeMahir Abdul Hayee
Quote
"aavaara aavaara khushbu ham dono jaane kis din honge yaksu ham donon taaza taaza phulon ki rut kahti hai kar lein kuchh tafrih lab-e-ju ham donon phir kyaa shai hai maane saath nibhaane mein rakhte to hain yaksaan khushbu ham donon main chaltaa huun dil par aql-o-hosh pe to jis kaa toD nahin vo jaadu ham donon apni apni pahchaanon ke shaidaai taariki mein uDte jugnu ham donon Takraae to TuTeinge miT jaaeinge apne aap pe rakkhein qaabu ham donon rasmon ke bandhan se baazu khulte to aazaadi se uDte har-su ham donon us mein rah kar us se bachnaa mushkil hai duniyaa naavak afgan aahu ham donon tasviron kaa album laao dekhein to kitne the khush-qaamat khush-ru ham donon"
Mahir Abdul HayeeMahir Abdul Hayee
Quote
"zakhm par rakhtaa hai marham aasmaan nashtar samet amn kaa paighaam deti hai havaa khanjar samet jab mire hamdard ne be-dast-o-paa dekhaa mujhe le gayaa mere samundar se sadaf gauhar samet chaar-jaanib aag bhaDkaai gai is taur se ahl-e-binash ki nazar bhi jal gai manzar samet aasmaan ki chhat zamin kaa farsh bakhshtaa jaaegaa ghar ujaaDe jaaeinge buniyaad ke patthar samet tez raftaari ne duniyaa ki uDaayaa ye ghubaar har samaan dhundlaa gayaa us aaina-paikar samet jal rahe hain jo lahu se un diyon ke saamne haar baiThe hain parastraan-e-sarsar sarsar samet dekhnaa ye aansuon ki chand bundon kaa kamaal lahlhaa uThi hai pathrili zamin banjar samet main ne teraa naam le kar jab rakhaa takiye pe sar saaraa kamra khushbuon se bhar gayaa bistar samet murgh-e-kam-himmat fazaa-e-be-karaan hote hue aashiyaane tak rahaa mahdud baal-o-par samet kal zamin mere muqaabil vazn mein halki paDi mujh ko jab rakkhaa gayaa palre mein chashm-e-tar samet is tahi dasti mein 'maahir' aabru kaa kyaa savaal ham ganvaa baiThe hain dastaar-e-fazilat sar samet"
Mahir Abdul HayeeMahir Abdul Hayee
Quote
"kho gae yuun kaar-khaane yaa kisi daftar mein ham chhuTTiyon mein ajnabi lagte hain apne ghar mein ham faasle se dekhne vaalaa hamein samjhegaa kyaa pyaas kaa sahraa hain dariyaaon ke pas-manzar mein ham raat ko sone se pahle kyaa karein us kaa hisaab kitne saayon kaa taaaqub kar sake din-bhar mein ham bas hamin ham hain jahaan tak kaam karti hai nigaah ek zarra hain magar phaile hain bahr-o-bar mein ham mukhtalif khaakon mein chhinTon ki tarah taqsim hain kyaa ubhar kar saamne aaein kisi manzar mein ham dusri jaanib andheraa hai to kis ummid par jaagti aankhon ko rakh aae shigaaf-e-dar mein ham hai ye majburi ki aanch aati hai chaaron samt se varna sochaa thaa jiyeinge mom ke paikar mein ham haath jis shai ki taraf lapke vo ghaaeb ho gai phans gae 'maahir' ye kis aaseb ke chakkar mein ham"
Mahir Abdul HayeeMahir Abdul Hayee
Quote
"roz-e-avval hi se tafriq ye auqaat mein hai koi hai din ke ujaale mein koi raat mein hai main bhi majmua-e-azdaad huun duniyaa ki tarah kahin sahraa kahin gulzaar miri zaat mein hai hai mire gird miri maan ki duaaon kaa hisaar gham nahin hai koi dushman jo miri ghaat mein hai main tahi-dast huun lekin ye pata hai mujh ko vo mire naam hai jo chiiz tire haat mein hai daaman-e-shab mein chamakte hain sitaaron ki tarah aks kis kaa ye miri khaak ke zaat mein hai tirgi khauf ki pahlu mein basi hai lekin kuchh umidon ki chamak dil ke mazaafaat mein hai mil hi jaaegi kahin paanv Tikaane ki jagah ab sitaaron kaa jahaan meri futuhaat mein hai miri pasti pe bahut tanz na kar chashm-e-falak us ko bhi dekh bulandi jo khayaalaat mein hai ek hi rang mein rahti hai tabiat har dam farq jaaDe mein na garmi mein na barsaat mein hai dil laraztaa hai pas-e-parda na ho zahr koi kuchh ziyaada hi miThaas ab ke tiri baat mein hai dekhnaa vo bhi kahin chhuT na jaae 'maahir' jo chamaktaa huaa ik rang rivaayaat mein hai"
Mahir Abdul HayeeMahir Abdul Hayee

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari