SHAWORDS

vo agar bevafaa nahin hotaa — Dr. Bhawana Srivastava

"vo agar bevafaa nahin hotaa phir koi masala nahin hotaa qarz ham par zarur thaa koi varna ye silsila nahin hotaa jo mohabbat use bhi hoti to is qadar faasla nahin hotaa hai hidaayat hamaari hi khud ko dil se ab mashvara nahin hotaa zindagi le chale jidhar chaahe ham se ab faisla nahin hotaa"
Urdu

وہ اگر بے وفا نہیں ہوتا پھر کوئی مسئلہ نہیں ہوتا قرض ہم پر ضرور تھا کوئی ورنہ یہ سلسلہ نہیں ہوتا جو محبت اسے بھی ہوتی تو اس قدر فاصلہ نہیں ہوتا ہے ہدایت ہماری ہی خود کو دل سے اب مشورہ نہیں ہوتا زندگی لے چلے جدھر چاہے ہم سے اب فیصلہ نہیں ہوتا

Hindi

वो अगर बेवफ़ा नहीं होता फिर कोई मसअला नहीं होता क़र्ज़ हम पर ज़रूर था कोई वर्ना ये सिलसिला नहीं होता जो मोहब्बत उसे भी होती तो इस क़दर फ़ासला नहीं होता है हिदायत हमारी ही ख़ुद को दिल से अब मशवरा नहीं होता ज़िंदगी ले चले जिधर चाहे हम से अब फ़ैसला नहीं होता

vo agar bevafā nahīñ hotā
Dr. Bhawana Srivastava
Dr. Bhawana Srivastava
Dr. Bhawana Srivastava
poet27 quotes

More by Dr. Bhawana Srivastava

View all →
Quote
"zamaane ki tarah hamdam na honaa khataaon par meri barham na honaa masaail duriyaan hargiz nahin thiin masaail duriyon kaa come na honaa yahi to raat hone kaa sabab hai zamin kaa shams kaa baaham na honaa chale aao mohabbat kaa hai mausam dobaara ye hasin mausam na honaa 'ajab basti tumhaare dil ki basti kisi gham kaa jahaan maatam na honaa mire dil ki yahi taklif Thahri bichhaDte vaqt aankhein nam na honaa ishaara hai ye shaam-e-zindagi kaa mire dil mein tumhaaraa gham na honaa"
Dr. Bhawana SrivastavaDr. Bhawana Srivastava

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb