SHAWORDS

vo roz-o-shab mohabbat karne vaale — Mahboob Mashmiri

"vo roz-o-shab mohabbat karne vaale kahaan hain ab mohabbat karne vaale mohabbat ki talab hoti nahin thi mile the jab mohabbat karne vaale fasaadi bhi kahin se siikh lete na the maktab mohabbat karne vaale sabhi phulon ki khushbu munfarid hai sabhi mazhab mohabbat karne vaale jahaan bhi hain rahein har-dam salaamat mire yaa-rab mohabbat karne vaale tiraa 'mahbub' bhi hogaa vahin par jidhar hain sab mohabbat karne vaale"
Urdu

وہ روز و شب محبت کرنے والے کہاں ہیں اب محبت کرنے والے محبت کی طلب ہوتی نہیں تھی ملے تھے جب محبت کرنے والے فسادی بھی کہیں سے سیکھ لیتے نہ تھے مکتب محبت کرنے والے سبھی پھولوں کی خوشبو منفرد ہے سبھی مذہب محبت کرنے والے جہاں بھی ہیں رہیں ہر دم سلامت مرے یا رب محبت کرنے والے ترا محبوبؔ بھی ہوگا وہیں پر جدھر ہیں سب محبت کرنے والے

Hindi

वो रोज़-ओ-शब मोहब्बत करने वाले कहाँ हैं अब मोहब्बत करने वाले मोहब्बत की तलब होती नहीं थी मिले थे जब मोहब्बत करने वाले फ़सादी भी कहीं से सीख लेते न थे मकतब मोहब्बत करने वाले सभी फूलों की ख़ुशबू मुनफ़रिद है सभी मज़हब मोहब्बत करने वाले जहाँ भी हैं रहें हर-दम सलामत मिरे या-रब मोहब्बत करने वाले तिरा 'महबूब' भी होगा वहीं पर जिधर हैं सब मोहब्बत करने वाले

vo roz-o-shab mohabbat karne vaale
Mahboob Mashmiri
Mahboob Mashmiri
Mahboob Mashmiri
poet12 quotes

More by Mahboob Mashmiri

View all →
Quote
"jo kuchh sochaa jo kuchh likkhaa tere naam meri ziist kaa lamha lamha tere naam rakh duun tere sar pe taaj mohabbat kaa kar duun apne pyaar ki duniyaa tere naam meri zaat kaa mehvar teri zaat faqat ik ik bandhan ik ik rishta tere naam us ki khushbu shaayad tujh tak pahunch sake dariyaa mein ik phuul bahaayaa tere naam dil saahil par tez havaa se kuchh pahle main ne ik paighaam likhaa thaa tere naam jaane vaale kaash kabhi tu lauT aae mere ghar kaa har ik rasta tere naam aankhon mein 'mahbub' jo rim-jhim rim-jhim hai is baarish kaa qatra qatra tere naam"
Mahboob MashmiriMahboob Mashmiri
Quote
"ye suhulat to hai bichhaDne mein koi diqqat na ho mukarne mein ab havaa ko bhi e'tiraaz nahin taaqche par charaagh dharne mein shaam to kab ki ho chuki hui thi lag gai der dhuup Dhalne mein sab kaa nuqsaan ek jaisaa hai faaeda kuchh nahin jhagaDne mein daaere kaa safar zaruri hai aage baDhne mein pichhe haTne mein bas saliqe kaa farq hotaa hai baat kahne mein baat karne mein us ne khud par nigaah Daalni thi aaine lag gae sanvarne mein faisla ek pal kaa thaa 'mahbub' ik sadi lag gai guzarne mein"
Mahboob MashmiriMahboob Mashmiri
Quote
"jaane ujlat mein kyaa huaa thaa mujhe mashvara der se milaa thaa mujhe saazishein ho rahi hain mere khilaaf sach mein aisaa hi lag rahaa thaa mujhe ab jo main sochtaa huun baiThaa huaa ye to pahle hi sochnaa thaa mujhe aks par pheinktaa thaa qahqaha main aks ro-ro ke dekhtaa thaa mujhe be-hisi bhi koi ilaaj nahin is kaa ehsaas ho chukaa thaa mujhe us ne vaapas zarur kar diyaa dil haan magar toD kar diyaa thaa mujhe main akelaa thaa apne lashkar mein bhaag jaane mein faaeda thaa mujhe"
Mahboob MashmiriMahboob Mashmiri

More on Mohabbat

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb