"phir aayaa jaam-ba-kaf gul-ezaar ai vaaiz shikast-e-tauba ki phir hai bahaar ai vaaiz na jaan mujh ko tu mukhtaar sakht huun majbur nahin hai dil pe miraa ikhtiyaar ai vaaiz anaar-e-khuld ko tu rakh ke hain pasand hamein kuchein vo yaar ki rashk-e-anaar ai vaaiz usi ki kaakul pur-pech ki qasam hai mujhe ki tere vaaz hain sab pechdaar ai vaaiz hamaare dard ko kyaa jaane tu ki tujh ko hai na dard-e-yaar na dard-e-dayaar ai vaaiz kiyaa jo zikr-e-qayaamat ye kyaa qayaamat ki ki yaad aayaa mujhe qad-e-yaar ai vaaiz bhulaaegaa na kabhi yaad-e-gul-rukhaan 'ehsaan' koi vo samjhe hai samjhaa hazaar ai vaaiz"
yak dast-e-fitna barpaa ham ne jahaan mein dekhaa — Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
"yak dast-e-fitna barpaa ham ne jahaan mein dekhaa mansur ko saraasar daarul-amaan mein dekhaa aatish jigar mein gaahe gah shoala jaan mein dekhaa allaah ham ne kyaa kyaa ishq-e-butaan mein dekhaa kis shoala-ru ki ulfat juun barq dil mein chamki aatish kaa yak zubaana kaam-o-dahaan mein dekhaa ham ko kafan usi kaa laazim hai maah-ru yaan ulfat kaa partav-aasaa ham ne kataan mein dekhaa jo hain khare unhin ko das khoTiyaan sunaae ham ne nayaa saliqa us naujavaan mein dekhaa ai ahl-e-dil khudaa-e-dil ne yahaan dikhaae dilli mein thaa jo dekhaa ku-e-butaan mein dekhaa us khaak-e-paa kaa surma aankhon mein jab na dekhaa kyaa khaak aa ke ham ne is khaak-daan mein dekhaa kyaa rang ashk-e-khunin furqat mein hain dikhaati rang-e-bahaar ham ne fasl-e-khizaan mein dekhaa aansu sadaa ravaan hain apnaa hai ab ye naqsha yaarab ye kis kaa naqsha aab-e-ravaan mein dekhaa tujh ko kabhi na dekhaa dekhaa jahaan saaraa garche tujhi ko main ne saare jahaan mein dekhaa jitne hain ahl-e-jauhar un ko zamin na paave ham ne gharaz ye jauhar is aasmaan mein dekhaa shohra hai lucknow kaa lekin nauz-billaah momin jo vaan hain un ko kufr-e-nihaan mein dekhaa dilli ke hinduon mein hain ahl-e-dil hazaaron dilli saa shahr kis ne hindostaan mein dekhaa do din se main judaa huun us mu kamar se 'ehsaan' ik sau tarah kaa sadma is darmiyaan mein dekhaa"
یک دست فتنہ برپا ہم نے جہاں میں دیکھا منصور کو سراسر دار الاماں میں دیکھا آتش جگر میں گاہے گہہ شعلہ جاں میں دیکھا اللہ ہم نے کیا کیا عشق بتاں میں دیکھا کس شعلہ رو کی الفت جوں برق دل میں چمکی آتش کا یک زبانہ کام و دہاں میں دیکھا ہم کو کفن اسی کا لازم ہے ماہرو یاں الفت کا پرتو آسا ہم نے کتاں میں دیکھا جو ہیں کھرے انہیں کو دس کھوٹیاں سنائے ہم نے نیا سلیقہ اس نوجواں میں دیکھا اے اہل دل خدائے دل نے یہاں دکھائے دلی میں تھا جو دیکھا کوئے بتاں میں دیکھا اس خاک پا کا سرمہ آنکھوں میں جب نہ دیکھا کیا خاک آ کے ہم نے اس خاکداں میں دیکھا کیا رنگ اشک خونیں فرقت میں ہیں دکھاتی رنگ بہار ہم نے فصل خزاں میں دیکھا آنسو سدا رواں ہیں اپنا ہے اب یہ نقشہ یا رب یہ کس کا نقشہ آب رواں میں دیکھا تجھ کو کبھی نہ دیکھا دیکھا جہان سارا گرچہ تجھی کو میں نے سارے جہاں میں دیکھا جتنے ہیں اہل جوہر ان کو زمیں نہ پاوے ہم نے غرض یہ جوہر اس آسماں میں دیکھا شہرہ ہے لکھنؤ کا لیکن نعوذ باللہ مومن جو واں ہیں ان کو کفر نہاں میں دیکھا دلی کے ہندوؤں میں ہیں اہل دل ہزاروں دلی سا شہر کس نے ہندوستاں میں دیکھا دو دن سے میں جدا ہوں اس مو کمر سے احساںؔ اک سو طرح کا صدمہ اس درمیاں میں دیکھا
यक दस्त-ए-फ़ितना बरपा हम ने जहाँ में देखा मंसूर को सरासर दारुल-अमाँ में देखा आतिश जिगर में गाहे गह शो'ला जाँ में देखा अल्लाह हम ने क्या क्या इश्क़-ए-बुताँ में देखा किस शो'ला-रू की उल्फ़त जूँ बर्क़ दिल में चमकी आतिश का यक ज़ुबाना काम-ओ-दहाँ में देखा हम को कफ़न उसी का लाज़िम है माह-रू याँ उल्फ़त का परतव-आसा हम ने कताँ में देखा जो हैं खरे उन्हीं को दस खोटियाँ सुनाए हम ने नया सलीक़ा उस नौजवाँ में देखा ऐ अहल-ए-दिल ख़ुदा-ए-दिल ने यहाँ दिखाए दिल्ली में था जो देखा कू-ए-बुताँ में देखा उस ख़ाक-ए-पा का सुर्मा आँखों में जब न देखा क्या ख़ाक आ के हम ने इस ख़ाक-दाँ में देखा क्या रंग अश्क-ए-ख़ूनीं फ़ुर्क़त में हैं दिखाती रंग-ए-बहार हम ने फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ में देखा आँसू सदा रवाँ हैं अपना है अब ये नक़्शा यारब ये किस का नक़्शा आब-ए-रवाँ में देखा तुझ को कभी न देखा देखा जहान सारा गरचे तुझी को मैं ने सारे जहाँ में देखा जितने हैं अहल-ए-जौहर उन को ज़मीं न पावे हम ने ग़रज़ ये जौहर इस आसमाँ में देखा शोहरा है लखनऊ का लेकिन नऊज़-बिल्लाह मोमिन जो वाँ हैं उन को कुफ़्र-ए-निहाँ में देखा दिल्ली के हिंदुओं में हैं अहल-ए-दिल हज़ारों दिल्ली सा शहर किस ने हिन्दोस्ताँ में देखा दो दिन से मैं जुदा हूँ उस मू कमर से 'एहसाँ' इक सौ तरह का सदमा इस दरमियाँ में देखा

More by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
View all →"yunhi kufr har subh har shaam hogaa ilaahi kabhu yaan bhi islaam hogaa kahin kaam mein vo to khud-kaam hogaa yahaan kaam aakhir hai vaan kaam hogaa yahi dil agar hai yahi be-qaraari tah-e-khaak bhi khaak aaraam hogaa sanam tiin paanch aap kaa chaar din hai sadaa ek allaah kaa naam hogaa ye mizhgaan vo hain jin ki kaavish se ik din mushabbak jigar misl-e-baadaam hogaa buto jab ki aaghaaz-e-ulfat hai ye kuchh khudaa jaane kyaa is kaa anjaam hogaa duaa ke evaz gaaliyaan aur to kyaa inaayaat yahi mujh ko inaam hogaa ye do ik balaa hain giraftaar un kaa koi subh hogaa koi shaam hogaa yahi subh aur shaam tak gar amal hai amal teri zulfon kaa taa-shaam hogaa main vo naa-tavaan huun agar zabh kiije na ik naala mujh se sar-anjaam hogaa ju bismil tu kartaa hai bismillaah ai shokh tire kaam mein meraa bhi kaam hogaa miri lag rahin chhat se aankhein hain dekho musharraf kab is se lab-e-baam hogaa kabhu tu bhi hogaa musalmaan ai but sadaa teraa jhuTaa hi paighaam hogaa shikaar-e-ajal honge ik roz ham sab hamesha na rustam na yaan saam hogaa kahaan hai vo said-afgani gor mein aah khudaa jaane kyaa haal-e-bahraam hogaa na sun meri 'ehsaa۔n' mubaarak tujhe ishq mujhe kyaa tiraa naam badnaam hogaa"
"marte dam naam tiraa lab ke jo aa jaae qarib ji ko ThanDak ho tap-e-gham na mire aae qarib bosa maangun to kahein mujh se ye bulvaa ke qarib kis kaa munh hai jo mire munh ke vo munh laae qarib haath dauDaaun na kyuun jabki vo yuun aae qarib paanv phailaaun na kyuun paanv jo phailaae qarib paas aauun to kahe paas-e-adab bhi hai zarur duur jaaun to vahaan jaae taqaazaa-e-qarib mujh ko ai pir-e-mughaan mohtasib-e-naa-hanjaar qurb-e-mahshar hai ki be-qurbi se bulvaae qarib gham-e-duri se tire kuche ke royaa aashiq vaan se jab rauza-e-rizvaan use laae qarib meri bedaari se ai daulat-e-bedaar ho kyaa bakht jaagein jo mujhe apne to bulvaae qarib mere naalon se na din chain na shab ko hai qaraar marg ke pahunche hain ab to mire ham-saae qarib aisi majlis se agar rahiye baiid aulaa hai dil dimaagh apnaa to vo aur ye ghaughaa-e-qarib paas jaaun to machal kar kahe chal yaan se duur duur baiThun to ghuDak kar mujhe farmaae qarib ishq ke pech mein huun chaahiye hamdam pas-e-marg ishq-e-pechaan hi miri qabr ke lagvaae qarib mushk-o-sandal ho tire rang se baalon ham-sar ghussa dil ko mire kis tarah na aa jaae qarib kuchh radif ab ki baDhaa qaafiya 'ehsaan' tu badal phir qarib aise biThaa tujh ko vo biThlaae qarib"
"mahfil ishq mein jo yaar uThe aur baiThe hai vo malka ki subuk-baar uThe aur baiThe raqs mein jab ki vo tarraar uThe aur baiThe be-qaraari se ye bimaar uThe aur baiThe kasrat-e-khalq vo mahfil mein hai teri ik shakhs nahin mumkin hai ki yakbaar uThe aur baiThe sar uThaane ki bhi fursat nahin detaa hai hamein chu habaab-e-sar-e-ju yaar uThe aur baiThe khauf-e-badnaami se tujh paas na aae varna ham kai baar sun ai yaar uThe aur baiThe dard kyuun baiThe biThaae tire sar mein uTThaa ki qalaq se tire sau baar uThe aur baiThe teri divaar to kyaa gumbad-e-dvvaar bhi yaar chaahiye aah-e-sharar-baar uThe aur baiThe aap ki majlis-e-aali mein alarraghm raqib ba-ijaazat ye gunahgaar uThe aur baiThe aap se ab to is ahqar ko sarokaar nahin jis jagah chaahiye sarkaar uThe aur baiThe hazrat-e-dil sipar-e-daagh-e-junun ko le kar yuun bar-e-ishq jigar-khvaar uThe aur baiThe chuun dileraana koi munh pe sipar ko le kar sher-e-khun-khvaar ko lalkaar uThe aur baiThe kafashdoz un ke jab apne hi baraabar baiThein aisi majlis mein to paizaar uThe aur baiThe zaahid aayaa to gavaaraa nahin rindon ham ko apni is bazm mein makkaar uThe aur baiThe donon kaanon ko pakaD kar yahi hai us ki sazaa kah do sau baar ye ayyaar uThe aur baiThe baiThte uThte isi tarah ke likh aur ghazal jis mein 'ehsaan' ho na paikaar uThe aur baiThe"
"tumhaare qad se hain qaaem qayaamatein kyaa kyaa uThi hain baiThe biThaae ye aafatein kyaa kyaa labon pe jaan kaa aanaa ye khvaab kaa jaanaa khayaal-e-lab mein hain teri halaavatein kyaa kyaa dil apnaa tum ko diyaa phir rakhe vafaa ki umiid bayaan apni karun main himaaqatein kyaa kyaa zamin mein sharm se us qad ki gaD gayaa hai sarv hui hain us ko na haasil nadaamatein kyaa kyaa phiraa 'adam se koi ab talak na uktaa kar khudaa hi jaane vahaan hain faraaghatein kyaa kyaa tu be-nasib hai naaseh tujhe kahun kyaa main ki ranj-e-ishq mein hoti hain raahatein kyaa kyaa gale se lagte hi jitne gile the bhuul gae vagarna yaad thiin mujh ko shikaayatein kyaa kyaa mujhe hai girya main machlaae par hansi aati kahe hai sun ke tu jab meri haalatein kyaa kyaa kahe hai mujh ko miraa shoala-ru ba-sad tashnia bayaan teri karun main sharaartein kyaa kyaa kahun jo aa to phire mere gird pahron talak jo bolun jaa to jataae naqaahatein kyaa kyaa Daraae aah se gar aah sun ke main na Darun dikhaae ashk ki apni saraayatein kyaa kyaa jo zulf dekhi to chimTi mujhe balaa ki tarah nasib apne ki batlaaein shaamatein kyaa kyaa jo kholun band-e-qabaa phir khule hai teri zabaan nikaaltaa hai tu is mein qabaahatein kyaa kyaa jo surma duun huun to ik tutiyaa saa baandhe hai kahun jo baat banaae hikaayatein kyaa kyaa mariz-e-'ishq tu ho aur mujh ko rog lage rahein hain ab ki zamaane mein chaahatein kyaa kyaa jo zikr kal kaa kiyaa main ne munh chhupaa ke kahaa tujhe bhi yaad hain 'ehsaan' kinaayatein kyaa kyaa"
"nim-chaa jald myaan hi na miyaan kijiyegaa nim-jaanon kaa abhi kaam ravaan kijiyegaa taaqat-e-garmi-e-khurshid-e-qayaamat hai kise taab ki daagh-e-jigar se na fughaan kijiyegaa dil mein tum ho na jalaao mire dil ko dekho meraa nuqsaan nahin apnaa ziyaan kijiyegaa kah do baqqaal pisar se ki miraa dil le kar qasd-e-akhz-e-dil-e-aghyaar na haan kijiyegaa dil se dil paas hain to bhi hai dilon ki khvaahish kyaa dilon ki kahin dilli mein dukaan kijiyegaa aur bhi soz-e-jigar bazm mein hogaa raushan shama saan qata agar meri zabaan kijiyegaa yaar jab saath safar mein ho kahaan ki rozi roz rozon hi mein id-e-ramzaan kijiyegaa kis se yaarab kahun ahvaal ye kahtaa hai vo but apni yaan raam-kahaani na bayaan kijiyegaa vo dhuaan-dhaar si zulfein hain nazar mein har shab vird ab sura-e-vallail-o-dukhaan kijiyegaa shahr-e-dil ki tumhein aabaadi kaa kuchh bhi hai khayaal yaa jahaan rahiyegaa viraan hi vahaan kijiyegaa meri jaanib se kaho mohtasib-e-shahr se ye sai-e-arzaani-e-mai az dil-o-jaan kijiyegaa paani pi pi ke tumhein deveinge dushnaam ye rind tum subuk hoge agar baada giraan kijiyegaa jald 'ehsaan' se kaho vo but-e-khud-kaam aayaa ab to lillaah kahin band zabaan kijiyegaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"