"yakaayak 'aks dhundlaane lage hain nazar mein aaine aane lage hain zamin hai muntazir fasl-e-ziyaa ki falak par nuur ke daane lage hain khizaan aane se pahle baanch lenaa darakhton par jo afsaane lage hain hamein is tarah hi honaa thaa aabaad hamaare saath viraane lage hain fasil-e-dil giraa to duun main lekin isi divaar se shaane lage hain kabhi faaqa-kashi dikhlaaegi rang isi mein solahon aane lage hain"
ye kis ki yaad kaa dil par rafu thaa — Bakul Dev
"ye kis ki yaad kaa dil par rafu thaa ki bah jaane pe aamaada lahu thaa chamakte hain jo patthar se yahaan ab unhin palkon mein sail-e-aabju thaa kashish tujh si na thi tere ghamon mein lab-o-lahja magar haan hu-ba-hu thaa ujaale si koi shai bach gai thi us ik lamhe mein jab main thaa na tu thaa thami ik nabz to uqda khulaa ye khamoshi kaa saraapaa haa-o-hu thaa mile ab ke to roe TuuT kar ham gunaah apni sazaa ke ru-ba-ru thaa kabhi khushbu huaa karte the ham bhi kabhi qissa hamaaraa ku-ba-ku thaa"
یہ کس کی یاد کا دل پر رفو تھا کہ بہہ جانے پہ آمادہ لہو تھا چمکتے ہیں جو پتھر سے یہاں اب انہیں پلکوں میں سیل آب جو تھا کشش تجھ سی نہ تھی تیرے غموں میں لب و لہجہ مگر ہاں ہو بہ ہو تھا اجالے سی کوئی شے بچ گئی تھی اس اک لمحے میں جب میں تھا نہ تو تھا تھمی اک نبض تو عقدہ کھلا یہ خموشی کا سراپا ہا و ہو تھا ملے اب کے تو روئے ٹوٹ کر ہم گناہ اپنی سزا کے رو بہ رو تھا کبھی خوشبو ہوا کرتے تھے ہم بھی کبھی قصہ ہمارا کو بہ کو تھا
ये किस की याद का दिल पर रफ़ू था कि बह जाने पे आमादा लहू था चमकते हैं जो पत्थर से यहाँ अब उन्हीं पलकों में सैल-ए-आबजू था कशिश तुझ सी न थी तेरे ग़मों में लब-ओ-लहजा मगर हाँ हू-ब-हू था उजाले सी कोई शय बच गई थी उस इक लम्हे में जब मैं था न तू था थमी इक नब्ज़ तो उक़्दा खुला ये ख़मोशी का सरापा हा-ओ-हू था मिले अब के तो रोए टूट कर हम गुनाह अपनी सज़ा के रू-ब-रू था कभी ख़ुशबू हुआ करते थे हम भी कभी क़िस्सा हमारा कू-ब-कू था

More by Bakul Dev
View all →"kam na hogi ye sargiraani kyaa yuun hi guzregi zindagaani kyaa ashk pahle kahaan nikalte the ho gai aag paani paani kyaa saare kirdaar ek hi saf mein khatm hone ko hai kahaani kyaa aaine mein hai phir vahi surat yuun hi hoti hai tarjumaani kyaa rabt kitnaa hai do kinaaron mein koi dariyaa hai darmiyaani kyaa muskuraahaT pe hairati ki girah aur khulne lage maaani kyaa"
"baat bigDi hui bani si rahi jaan nahin nikli jaankani si rahi baat khinchti chali gai dil se umr bhar phir tanaa tani si rahi husn-e-shab subh-dam Dhalaa lekin peshtar us ke chaandni si rahi bahs ham ko na thi manaazir se yuun thaa binaai se Thani si rahi us kaa radd-e-amal thaa khanjar saa ishq kahne ko thaa ani si rahi samt duniyaa ke ham gae hi nahin us ilaaqe se dushmani si rahi kar ke ik qaafila ghubaar ghubaar raah kuchh der an-mani si rahi"
"samaaat ke liye ik imtihaan hai khamoshi in dinon misl-e-bayaan hai safar apne hi bhitar kar rahaa huun miraa Thahraav muddat se ravaan hai havas shaamil hai thoDi si duaa mein abhi is lau mein halkaa saa dhuaan hai nayaa ik khvaab dekhein aur roein ab itni taab aankhon mein kahaan hai uDaa deti hai apni khaak jab tab zamin ki justuju bhi aasmaan hai tabhi aahon ke sur uThte hain is se hamaaraa soz-e-jaan hi saaz-e-jaan hai hamesha duur se dekhaa kiyaa huun jahaan mujh ko javaahir ki dukaan hai miraa kirdaar is mein ho gayaa gum tumhaari yaad bhi ik daastaan hai mohabbat ek kashti mukhtasar si tamannaaon kaa dariyaa be-karaan hai main saare faasle tai kar chukaa huun khudi jo darmiyaan thi darmiyaan hai 'bakul' khvaabon ke panchhi aa base hain hamaaraa aashiyaan ab aashiyaan hai"
"jo hai chashma use saraab karo shahr-e-tishna mein inqalaab karo muskuraane kaa fan to baad kaa hai pahle saaat kaa intikhaab karo ab ke taabir masala na rahe ye jo duniyaa hai is ko khvaab karo aur pakne do ishq ki miTTi paar ujlat mein mat chanaab karo ahd-e-nau ke ajab taqaaze hain jo hai khushbu use gulaab karo yuun khushi ki havas na jaaegi ek ik gham ko be-naqaab karo harsingaaron se bolti hai zamin ab ki rut mein mujhe kitaab karo pahle puchho savaal apne taiin phir khalaa se talab javaab karo"
"dil se be-sud aur jaan se kharaab ho rahaa huun kahaan kahaan se kharaab gham ki dahliz hai bhali kitni koi uThtaa nahin yahaan se kharaab main miraa aks aur aaina ye nazaara thaa darmiyaan se kharaab khud ko taamir karte karte main ho gayaa huun yahaan vahaan se kharaab raushni ik haqir taare ki aa gai ho ke kahkashaan se kharaab zer-e-lab rakh chhupaa ke naam us kaa lafz hote hain kuchh bayaan se kharaab ek muddat se huun main munkir-e-ishq aa mujhe kar de apni haan se kharaab rang nikhre hain phir vahin pe 'bakul' meri tasvir thi jahaan se kharaab"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"