SHAWORDS

ye reg-e-ravaan yaad-dahaani to nahin kyaa — Aftab Ahmad

HomeAftab AhmadGhazal
"ye reg-e-ravaan yaad-dahaani to nahin kyaa sahraa kisi dariyaa ki nishaani to nahin kyaa dekho miraa kirdaar kahin par bhi nahin hai dekho ye koi aur kahaani to nahin kyaa raushan hai nayaa aks sar-e-chashm-e-tamaasha biite hue manzar ki ravaani to nahin kyaa is ghar ke dar-o-baam bhi apne nahin lagte qismat mein nai naql-e-makaani to nahin kyaa khvaabon pe paDi os kaa matlab to yahi hai ashkon ke jo shoale vo the paani to nahin kyaa main misra-e-ulaa huun to aaine mein saahab jo aks hai vo misra-e-saani to nahin kyaa puchhungaa kisi roz charaaghon se main 'ahmad' ye lau koi paighaam zabaani to nahin kyaa"
Urdu

یہ ریگ رواں یاد دہانی تو نہیں کیا صحرا کسی دریا کی نشانی تو نہیں کیا دیکھو مرا کردار کہیں پر بھی نہیں ہے دیکھو یہ کوئی اور کہانی تو نہیں کیا روشن ہے نیا عکس سر چشم تماشہ بیتے ہوئے منظر کی روانی تو نہیں کیا اس گھر کے در و بام بھی اپنے نہیں لگتے قسمت میں نئی نقل مکانی تو نہیں کیا خوابوں پہ پڑی اوس کا مطلب تو یہی ہے اشکوں کے جو شعلے وہ تھے پانی تو نہیں کیا میں مصرع اولیٰ ہوں تو آئینے میں صاحب جو عکس ہے وہ مصرع ثانی تو نہیں کیا پوچھوں گا کسی روز چراغوں سے میں احمدؔ یہ لو کوئی پیغام زبانی تو نہیں کیا

Hindi

ये रेग-ए-रवाँ याद-दहानी तो नहीं क्या सहरा किसी दरिया की निशानी तो नहीं क्या देखो मिरा किरदार कहीं पर भी नहीं है देखो ये कोई और कहानी तो नहीं क्या रौशन है नया अक्स सर-ए-चश्म-ए-तमाशा बीते हुए मंज़र की रवानी तो नहीं क्या इस घर के दर-ओ-बाम भी अपने नहीं लगते क़िस्मत में नई नक़्ल-ए-मकानी तो नहीं क्या ख़्वाबों पे पड़ी ओस का मतलब तो यही है अश्कों के जो शो'ले वो थे पानी तो नहीं क्या मैं मिस्रा-ए-ऊला हूँ तो आईने में साहब जो अक्स है वो मिस्रा-ए-सानी तो नहीं क्या पूछूँगा किसी रोज़ चराग़ों से मैं 'अहमद' ये लौ कोई पैग़ाम ज़बानी तो नहीं क्या

ye reg-e-ravāñ yād-dahānī to nahīñ kyā
Aftab Ahmad
Aftab Ahmad
Aftab Ahmad
poet5 quotes

More by Aftab Ahmad

View all →
Quote
"umr-e-rafta main tire haath bhi kyaa aayaa huun din bitaane the magar khud ko bitaa aayaa huun dhuul bhi aise qarine se uDaai hai ki main ek marte hue raste ko bachaa aayaa huun kal ko de aaungaa jaa kar use binaai bhi aankh divaar pe filhaal banaa aayaa huun vaadi-e-saut nahin mujh ko bhulaane vaali naqsh yuun kar ke vahaan apni sadaa aayaa huun sirf paanv hi nahin qaid se baahar aae apni zanjir ko bhi kar ke rihaa aayaa huun apne aansu bhi kiye nazr kisi paani ke pyaas dariyaa ki bahar-taur bujhaa aayaa huun zindagi tu bhi bahut yaad karegi mujh ko tere hisse ke bhi dukh-dard uThaa aayaa huun ab pareshaan huun ki taabir kaa jaane kyaa ho band kaanon ko nayaa khvaab sunaa aayaa huun jaane kis ghaaT lage umr ki kashti 'ahmad' khud ko sukhe hue dariyaa mein bahaa aayaa huun"
Aftab AhmadAftab Ahmad
Quote
"kisi nishaan se alaamat se yaa sanad se na ho agar main huun to ye honaa bhi khaal-o-khad se na ho main ek aise zamaane mein basnaa chaahtaa huun zamaana jis kaa taalluq azal abad se na ho mire adu vo haqiqat bhi kyaa haqiqat hai subut jis kaa mayassar usi ke rad se na ho isi liye to main rakhtaa huun khushbuon saa mizaaj main chaahtaa huun ki meraa shumaar had se na ho banaane vaalaa huun haathon se apne fardaa kaa vo zaaicha jo lakiron se yaa adad se na ho vajud vaahima hai ai badan-nazhaad samajh ye teraa saaya bhi shaayad tire jasad se na ho main apnaa aap usi ke supurd kar dungaa ik aisaa shakhs jo amboh-e-nek-o-bad se na ho"
Aftab AhmadAftab Ahmad
Quote
"khuli aankhon mein dar aane se pahle nazar aao nazar aane se pahle nahin thaa mujh ko zoam-e-paarsaai koi ilzaam sar aane se pahle hamein dar-pesh thi naql-e-makaani tiraa hukm-e-safar aane se pahle gale milti hai mujh se be-ghari bhi gali mein roz ghar aane se pahle huaa karte hain raste bhi rukaavaT guzar jaa rahguzar aane se pahle nazar-andaaz kar deti thi aankhein mujhe tujh saa nazar aane se pahle bahut aasaan thaa kaar-e-hunar bhi mire haathon hunar aane se pahle kabhi to baar-var ho jaae 'ahmad' duaa baab-e-asar aane se pahle"
Aftab AhmadAftab Ahmad
Quote
"mumkin hai shai vahi ho magar hu-ba-hu na ho reg-e-ravaan bhi dekh kahin aabju na ho qaaem isi tazaad ke dam se hai kaaenaat main aarzu huun jis ki miri aarzu na ho manzar badal badal ke bhi dekhaa hai baarhaa jo zakhm ab hai aankh pe shaayad rafu na ho sahtaa rahaa huun ek tasalsul se is liye ye TuT-phuT hi miri vajh-e-numu na ho main khud hi bujhne lagtaa huun jalte hue charaagh jis roz teri lau se miri guftugu na ho dekho badal ke zaaviya apni nigaah kaa jo ru-ba-ru nahin hai vahi ru-ba-ru na ho mere vajud se hai ye duniyaa-e-rang-o-bu lekin miraa jahaan faqat rang-o-bu na ho mushkil miri hadon kaa taayyun hai 'aaftaab' vo raushni bhi kyaa hai ki jo chaar su na ho"
Aftab AhmadAftab Ahmad

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi