SHAWORDS

ye shahr shahr sar-e-aam ab munaadi hai — Manmohan Talkh

HomeManmohan TalkhGhazal
"ye shahr shahr sar-e-aam ab munaadi hai na vo rahegaa mulaaqaat kaa jo aadi hai zamin di hai khuli dhuup di havaa di hai ba-naam-e-zindagi kaisi kaDi sazaa di hai main apne aap se kyaa puchhtaa huun rah rah kar ye kyuun lage ki kisi ne mujhe sadaa di hai tiraa hi ruup koi thaa yahaan jab aayaa thaa ye dekh vaqt ne ab shakl kyaa banaa di hai duaa salaam to thi rasm-e-rab se thi muraad so mere shahr ne ye rasm hi uThaa di hai faqat sadaa hi suno kyuun nazar na aaegi ki ab to biich ki divaar bhi giraa di hai tamaam umr na us ko kisi ne pahchaanaa jo us ke munh pe thi chaadar vo kyuun haTaa di hai ye ab gharon mein na paani na dhuup hai na jagah zamin ne 'talkh' ye shahron ko bad-duaa di hai"
Urdu

یہ شہر شہر سر عام اب منادی ہے نہ وہ رہے گا ملاقات کا جو عادی ہے زمین دی ہے کھلی دھوپ دی ہوا دی ہے بہ نام زندگی کیسی کڑی سزا دی ہے میں اپنے آپ سے کیا پوچھتا ہوں رہ رہ کر یہ کیوں لگے کہ کسی نے مجھے صدا دی ہے ترا ہی روپ کوئی تھا یہاں جب آیا تھا یہ دیکھ وقت نے اب شکل کیا بنا دی ہے دعا سلام تو تھی رسم ربط سے تھی مراد سو میرے شہر نے یہ رسم ہی اٹھا دی ہے فقط صدا ہی سنو کیوں نظر نہ آئے گی کہ اب تو بیچ کی دیوار بھی گرا دی ہے تمام عمر نہ اس کو کسی نے پہچانا جو اس کے منہ پہ تھی چادر وہ کیوں ہٹا دی ہے یہ اب گھروں میں نہ پانی نہ دھوپ ہے نہ جگہ زمیں نے تلخؔ یہ شہروں کو بد دعا دی ہے

Hindi

ये शहर शहर सर-ए-आम अब मुनादी है न वो रहेगा मुलाक़ात का जो आदी है ज़मीन दी है खुली धूप दी हवा दी है ब-नाम-ए-ज़िंदगी कैसी कड़ी सज़ा दी है मैं अपने आप से क्या पूछता हूँ रह रह कर ये क्यूँ लगे कि किसी ने मुझे सदा दी है तिरा ही रूप कोई था यहाँ जब आया था ये देख वक़्त ने अब शक्ल क्या बना दी है दुआ सलाम तो थी रस्म-ए-रब्त से थी मुराद सो मेरे शहर ने ये रस्म ही उठा दी है फ़क़त सदा ही सुनो क्यूँ नज़र न आएगी कि अब तो बीच की दीवार भी गिरा दी है तमाम उम्र न उस को किसी ने पहचाना जो उस के मुँह पे थी चादर वो क्यूँ हटा दी है ये अब घरों में न पानी न धूप है न जगह ज़मीं ने 'तल्ख़' ये शहरों को बद-दुआ दी है

ye shahr shahr sar-e-ām ab munādī hai
Manmohan Talkh
Manmohan Talkh
Manmohan Talkh
poet47 quotes

More by Manmohan Talkh

View all →
Quote
"kholegaa raaz kaun tiri kaaenaat ke laale paDe hue hain yahaan apni zaat ke yuun ruui se khayaal ko rakhtaa huun kaat ke uDte phirein roein na kahin meri baat ke sab muntazir hain aisi kisi apni maat ke khul jaaein sab bharam kisi raah-e-najaat ke suntaa huun mujh se maangti hai maut bhi panaah vo parkhachche uDaae hain main ne hayaat ke khud ko sameTne ke bakheDe mein kyuun paDe kaahe ko ho ke rah na gae haadsaat ke in aandhiyon pe zor chaman kaa to kuchh na thaa qisse bikhar gae hain magar paat paat ke kam ye bhi to khalaaon mein takhliq se nahin jaise mahal kiye hain khaDe mushkilaat ke is se ziyaada ret ke tufaan tujh mein hain jharne tiri nigaah mein jitne hain zaat ke nauha-kunaan azal se andheron mein hain sadaaein ye dukh to hain sadaaon ki bas ek raat ke Takraao be-sabab jo nazar aur dil kaa thaa afsaane sab ne ghaD liye ek raat ke sach sach bataa ki 'talkh' ye dil ki navaa mein yuun kaise kiye hain jam' ye dukh kaaenaat ke"
Manmohan TalkhManmohan Talkh
Quote
"yunhi nahin ham bolte jaate ye apni majburi hai junhi kuchh kah chukte hain lagtaa hai baat adhuri hai sab apni afvaah bane hain asl mein kyaa the bhuul gae jiine ki jo surat hai so ye bhi aaj zaruri hai duniyaa meri zindagi ke din kam karti jaati hai kyuun khuun pasina ek kiyaa hai ye meri mazduri hai apne baad hi duniyaa mein Thahraao jo aae to aae jab tak ham zinda hain tab tak har ik daur uburi hai DhunD rahe hain kis ko log shikaari jaisi nazron se saf-dar-saf maujud huun main to har ik saf to puuri hai sab ik dusre ko nazron se bas ye dilaasa dete hain hain to ham sab paas hi bas andar ki ye ik duuri hai itni saari aavaazon mein shaayad sunne vaale ko bas itnaa hi yaad rahegaa meri baat zaruri hai koi bahaanaa mil jaae to haath nahin ham aane ke der ye hai chal dene mein tayyaari to puuri hai 'talkh' hamaare hosh ke aalam kaa hai rang-e-sukhan kuchh aur jis par vajd mein hai ik duniyaa vo to ghair-shuuri hai"
Manmohan TalkhManmohan Talkh
Quote
"kis liye sab ko ajab bojh lagaa sar apnaa le ke mahfil mein jo pahunchaa main kaTaa sar apnaa haath lapke to bahut pahunche na gardan tak bhi na magar ahl-e-nazar the na jhukaa sar apnaa rasm phir rasm hai Thahraa hai lahu hi jo suhaag chamak ai tegh-e-havaa le ye rahaa sar apnaa sab havaa bhuul gai sarkashi-o-sha-zori ik zaraa dosh-e-havaa par jo uDaa sar apnaa ham ne Thokar bhi agar khaai to ghar aa kar hi apni dahliz hi se jaa ke lagaa sar apnaa bas ki ab dekhnaa hai apne lahu se rishta khvaab mein dekhtaa huun tan se judaa sar apnaa kam se kam bhuul gae vaar to shamshiron ko 'talkh' jaane do bhulaa do jo gayaa sar apnaa"
Manmohan TalkhManmohan Talkh
Quote
"kuchh der to sab kuchh TuTne kaa maahaul rahaa mat puchh ki phir is dil par kaisaa haul rahaa jab chaahaa us mein khud ko chhupaa lete hain sab aavaazon kaa har zaat pe koi khol rahaa yuun lagtaa thaa jo baat hai ulTi paDti hai ab kyaa hi kahein tab haul saa koi haul rahaa ab kaun kahaan aayaa ki gayaa maalum nahin bas qadmon ki aahaT kaa ik maahaul rahaa kah bhi na sakaa main us mein shaamil thaa ki nahin bas ek chhalaave saa maston kaa ghol rahaa aavaaz-e-faqiraana kashkol ummidon kaa ab ye to rahi aavaaz vahaan kashkol rahaa ham 'talkh' faqat us daur ki ab kuchh yaadein hain jab dard bhi thaa kahne kaa bhi maahaul rahaa"
Manmohan TalkhManmohan Talkh
Quote
"koi chehra jo mire saamne laayaa hai mujhe yahi har haal mein kyaa dekhtaa aayaa hai mujhe sa'i ye thi kisi kandhe pe khaDaa ho jaaun bhaag niklaa huun ki har ik ne giraayaa hai mujhe na kabhi baat hui us se na pahchaan kabhi hai magar koi yahaan tak vahi laayaa hai mujhe muntazir jo bhi the ye kah ke lapak nikle hain ye jo aayaa hai bulaavaa faqat aayaa hai mujhe baahar aataa huun to uThti hai mujhi par har aankh jaane kis khauf ne is ghar mein basaayaa hai mujhe ek hi lamhe mein suntaa huun main do aavaazein yaad ye kis ne kiyaa kis ne bulaayaa hai mujhe haan ye sach hai ki ba-sad jabr main ghar lauTaa huun kis ne is haal mein lekin kahin paayaa hai mujhe 'talkh' main ne jo laDi jang laDi phir kis se apne kandhon pe sabhi ne to uThaayaa hai mujhe"
Manmohan TalkhManmohan Talkh
Quote
"thoDi der ko ham jo kahin ruk jaate to ye mumkin thaa mil hi jaataa vo jo apne ilaaqe kaa ik saakin thaa kuchh bhi yaad nahin ab paDtaa kab pardes ko nikle the shaayad shaam lagi thi Dhalne yaa shaayad chaDhtaa din thaa ham ne jatan to laakh kiye the vaqt ne aisi karvaT li apni jaDon se ham juD paate ek yahi naa-mumkin thaa vo ik saaneha ham na jise kah paae ab tak guzraa jab kaise kaise dil se chaahaa thaa ki na sach ho lekin thaa 'talkh' nahin thaa sahl ye lahja jivan bhar ki tapasyaa hai har jazbe ke ham zaamin the dard hamaaraa zaamin thaa"
Manmohan TalkhManmohan Talkh

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim