"vahshat-e-baam-o-dar se bhaagte hain jab kabhi apne ghar se bhaagte hain haath maltaa hai dida-e-hairaan log itnaa hunar se bhaagte hain jis mein kuchh bhi buraa nahin lagtaa aise husn-e-nazar se bhaagte hain mere is shahr-e-be-yaqin ke log shor se aur shar se bhaagte hain aisaa badlaa mizaaj-e-aab-o-havaa peD apne samar se bhaagte hain qahqahon mein jo the sharik vahi ab miri chashm-e-tar se bhaagte hain 'badr' ham hain ghazaal-e-dasht-e-junun vo jidhar ho udhar se bhaagte hain"
zamin ko bhi khalaa se misaal di jaae — Badr Muneer
"zamin ko bhi khalaa se misaal di jaae jo zindagi se mohabbat nikaal di jaae nikal hi aaegaa har masale kaa hal khud hi jo darmiyaan se hujjat nikaal di jaae phir us ke baa'd to mashq-e-sukhan akaarat hai agar khayaal se jiddat nikaal di jaae miri nazar mein hai vo shakhs rahm ke qaabil ki jis ke maal se barakat nikaal di jaae qubul hai ye tamannaaon kaa hujum mujhe magar ye vasl ki hasrat nikaal di jaae 'munir' khalq-e-khudaa ko mile sukun kaa saans mire vatan se siyaasat nikaal di jaae"
زمین کو بھی خلا سے مثال دی جائے جو زندگی سے محبت نکال دی جائے نکل ہی آئے گا ہر مسئلے کا حل خود ہی جو درمیان سے حجت نکال دی جائے پھر اس کے بعد تو مشق سخن اکارت ہے اگر خیال سے جدت نکال دی جائے مری نظر میں ہے وہ شخص رحم کے قابل کہ جس کے مال سے برکت نکال دی جائے قبول ہے یہ تمناؤں کا ہجوم مجھے مگر یہ وصل کی حسرت نکال دی جائے منیرؔ خلق خدا کو ملے سکون کا سانس مرے وطن سے سیاست نکال دی جائے
ज़मीन को भी ख़ला से मिसाल दी जाए जो ज़िंदगी से मोहब्बत निकाल दी जाए निकल ही आएगा हर मसअले का हल ख़ुद ही जो दरमियान से हुज्जत निकाल दी जाए फिर उस के बा'द तो मश्क़-ए-सुख़न अकारत है अगर ख़याल से जिद्दत निकाल दी जाए मिरी नज़र में है वो शख़्स रहम के क़ाबिल कि जिस के माल से बरकत निकाल दी जाए क़ुबूल है ये तमन्नाओं का हुजूम मुझे मगर ये वस्ल की हसरत निकाल दी जाए 'मुनीर' ख़ल्क़-ए-ख़ुदा को मिले सुकून का साँस मिरे वतन से सियासत निकाल दी जाए

More by Badr Muneer
View all →"mahv kar Daali kisi ne dil se meri yaad tak ho nahin sakti magar is zulm par fariyaad tak vahshatein itni baDhi hain kaarobaar-e-shauq mein duur mujh se bhaagtaa hai ab miraa ham-zaad tak teri meri laghzishon par hi kahaan mauquf hai baat chal nikli to phir jaaegi ye ajdaad tak sochtaa huun kyaa kareinge indimaal-e-dard-e-dil ghaur se sunte nahin hain jo miri rudaad tak ban gae insaan apni zaat mein jangal 'munir' uD gai hai bastiyon se bu-e-aadam-zaad tak"
"kalaam apnaa tabhi to aksar se mukhtalif hai jo sochte hain vo pesh-e-manzar se mukhtalif hai kahaan se ham apni gardishon kaa javaaz DhunDein hamaaraa mehvar zamin ke mehvar se mukhtalif hai isi liye to qubuliyat ke hain dar muqaffal du'aa tumhaari mire muqaddar se mukhtalif hai tabhi to baiThe hain manzaron par jamaae aankhein jo un kaa zaahir hai un ke andar se mukhtalif hai taraashte hain jo aazaraan-e-khayaal aksar vo ek paikar tumhaare paikar se mukhtalif hai 'munir' donon hain nilgun vus'aton ke haamil magar samandar kaa khvaab ambar se mukhtalif hai"
"hiddat-o-habs pe tanqid nahin kar sakte kyon ham aisaa mire khurshid nahin kar sakte karni paD jaae vazaahat pe vazaahat lekin ham tiri baat ki tardid nahin kar sakte jab tiraa saamnaa hotaa hai to ai sehr-jamaal 'arz kar sakte hain taakid nahin kar sakte misl-e-auraaq-e-pareshaan hai kitaab-e-hasti nuskha-e-dard ki tasvid nahin kar sakte jo mohabbat ki haqiqat se karein sarf-e-nazar vo kabhi 'ahd ki tajdid nahin kar sakte zahr piinaa to baDi duur kaa qissa hai 'munir' log sachchaai ki taaid nahin kar sakte"
"dekh lete ho mohabbat se yahi kaafi hai dil dhaDaktaa hai suhulat se yahi kaafi hai muddaton se nahin dekhaa tiraa jalva lekin yaad aa jaate ho shiddat se yahi kaafi hai jo bhi raste mein guzartaa hai mire pahlu se dekhtaa hai tiri nisbat se yahi kaafi hai mere aangan mein utartaa nahin vo chaand kabhi dekh lete hain use chhat se yahi kaafi hai saari duniyaa se ulajhte hain magar teraa kahaa maan lete hain sharaafat se yahi kaafi hai haal duniyaa ke sataae hue kuchh logon kaa puchh lete ho sharaarat se yahi kaafi hai kyaa huaa ham ko mayassar jo zar-o-maal nahin kaT rahi hai baDi 'izzat se yahi kaafi hai aaj ke ‘ahd-e-taghaaful mein kisi dar pe 'munir' koi aa jaae zarurat se yahi kaafi hai"
"vafur-e-ishtiyaaq mein zabaan se kyaa nikal gayaa phir us ke baa'd bazm kaa mizaaj hi badal gayaa idhar-udhar ke log to kareinge us ki parvarish zaraa saa koi khauf bhi agar dilon mein pal gayaa hamaari raat jagmagaa rahi hai aab-o-taab se zamin kaa chaand aasmaan ke chaand ko nigal gayaa makaan se makaan to hue hain muttasil magar khulus jis kaa naam thaa vo shahr se nikal gayaa ye bhed puure shahr ko diyaa hai main ne is liye ki hote hote baat kaa pata use bhi chal gayaa na-jaane us ghaDi thi kyaa dil-o-nazar ki kaifiyat chhuaa jo main ne phuul ko to meraa haath jal gayaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"