Quote
"zamin pe aane se saanson ke ruuTh jaane tak ye ik safar hai musalsal qazaa ke shaane tak jo kaaenaat pe haq apnaa maan baiThe the unhein bhi aanaa paDaa aakhiri Thikaane tak zamin pe dil ki mohabbat javaan hoti rahi vafaa ki dhuup pe baadal jafaa ke chhaane tak phir us ke baad huaa kyaa mujhe nahin maalum main hosh mein rahi but ko khudaa banaane tak sunaa hai aap inaayat sabhi pe karte hain kabhi to aaein hamaare gharib-khaane tak nahin hai umr koi tai kisi bhi rishte ki rahegaa saath koi sirf aazmaane tak"
